Yashāyāh 59

tumhāre qusūr ne tumheṅ rabb se dūr kar diyā hai

1yaqīnan rabb kā bāzū chhoṭā nahīṅ ki vah bachā na sake, us kā kān baharā nahīṅ ki sun na sake. 2haqīqat meṅ tumhāre bure kāmoṅ ne tumheṅ us se alag kar diyā, tumhāre gunāhoṅ ne us kā chiharā tum se chhupāe rakhā, is liye vah tumhārī nahīṅ suntā. 3kyūṅki tumhāre hāth ḵẖūn’ālūdā, tumhārī uṅgaliyāṅ gunāh se nāpāk haiṅ. tumhāre hoṅṭ jhūṭ bolte aur tumhārī zabān sharīr bāteṅ phusaphusātī hai. 4adālat meṅ koī munsifānā muqaddmā nahīṅ chalātā, koī sacche dalāil pesh nahīṅ kartā. log sacchāī se ḵẖālī bātoṅ par etibār karke jhūṭ bolte haiṅ, vah badkārī se hāmilā ho kar bedīnī ko janm dete haiṅ. 5-6 vah zaharīle sāṁpoṅ ke aṅḍoṅ par baiṭh jāte haiṅ tāki bacche nikleṅ. jo un ke aṅḍe khāe vah mar jātā hai, aur agar un ke aṅḍe dabāe to zaharīlā sāṁp nikal ātā hai. yah log makṛī ke jāle tān lete haiṅ, aisā kapṛā jo pahanne ke liye bekār hai. apne hāthoṅ ke banāe hue is kapṛe se vah apne āp ko ḍhāṁp nahīṅ sakte. un ke āmāl bure hī haiṅ, un ke hāth tashaddud hī karte haiṅ. 7jahāṅ bhī ġalat kām karne kā mauqā mile vahāṅ un ke pāoṅ bhāg kar pahuṅch jāte haiṅ. vah bequsūr ko qatl karne ke liye tayyār rahate haiṅ. un ke ḵẖayālāt sharīr hī haiṅ, apne pīchhe vah tabāhī-o-barbādī chhoṛ jāte haiṅ. 8na vah salāmatī kī rāh jānte haiṅ, na un ke rāstoṅ meṅ insāf pāyā jātā hai. kyūṅki unhoṅ ne unheṅ ṭeṛhā-meṛhā banā rakhā hai, aur jo bhī un par chale vah salāmatī ko nahīṅ jāntā.

taubā kī duā

9isī liye insāf ham se dūr hai, rāstī ham tak pahuṅchtī nahīṅ. ham raushnī ke intizār meṅ rahate haiṅ, lekin afsos, aṅdherā hī aṅdherā nazar ātā hai. ham āb-o-tāb kī ummīd rakhte haiṅ, lekin afsos, jahāṅ bhī chalte haiṅ vahāṅ ghanī tārīkī chhāī rahatī hai. 10ham aṅdhoṅ kī tarah dīvār ko hāth se chhū chhū kar rāstā mālūm karte haiṅ, āṅkhoṅ se maharūm logoṅ kī tarah ṭaṭol ṭaṭol kar āge baṛhte haiṅ. dopahar ke vaqt bhī ham ṭhokar khā khā kar yūṅ phirte haiṅ jaise dhundalkā ho. go ham tan’āvar logoṅ ke darmiyān rahate haiṅ, lekin ḵẖud murdoṅ kī mānind haiṅ. 11ham sab niḍhāl hālat meṅ rīchhoṅ kī tarah ġurrāte, kabūtaroṅ kī mānind ġūṅ ġūṅ karte haiṅ. ham insāf ke intizār meṅ rahate haiṅ, lekin besūd. ham najāt kī ummīd rakhte haiṅ, lekin vah ham se dūr hī rahatī hai.

12kyūṅki hamāre mut’addid jarāim tere sāmne haiṅ, aur hamāre gunāh hamāre ḵẖilāf gavāhī dete haiṅ. hameṅ mutvātir apne jarāim kā ihsās hai, ham apne gunāhoṅ se ḵẖūb vāqif haiṅ. 13ham mānte haiṅ ki rabb se bevafā rahe balki us kā inkār bhī kiyā hai. ham ne apnā muṅh apne ḵẖudā se pher kar zulm aur dhoke kī bāteṅ phailāī haiṅ. hamāre diloṅ meṅ jhūṭ kā bīj baṛhte baṛhte muṅh meṅ se niklā. 14natīje meṅ insāf pīchhe haṭ gayā, aur rāstī dūr khaṛī rahatī hai. sacchāī chauk meṅ ṭhokar khā kar gir gaī hai, aur diyānatdārī dāḵẖil hī nahīṅ ho saktī. 15chunāṅche sacchāī kahīṅ bhī pāī nahīṅ jātī, aur ġalat kām se gurez karne vāle ko lūṭā jātā hai.

rabb kā javāb

yah sab kuchh rabb ko nazar āyā, aur vah nāḵẖush thā ki insāf nahīṅ hai. 16us ne dekhā ki koī nahīṅ hai, vah hairān huā ki mudāḵẖalat karne vālā koī nahīṅ hai. tab us ke zorāvar bāzū ne us kī madad kī, aur us kī rāstī ne us ko sahārā diyā. 17rāstī ke zirābaktar se mulabbas ho kar us ne sar par najāt kā ḵẖod rakhā, intiqām kā libās pahan kar us ne ġairat kī chādar oṛh lī. 18har ek ko vah us kā munāsib muāvazā degā. vah muḵẖālifoṅ par apnā ġazab nāzil karegā aur dushmanoṅ se badlā legā balki jazīroṅ ko bhī un kī harkatoṅ kā ajr degā. 19tab insān maġrib meṅ rabb ke nām kā ḵẖauf māneṅge aur mashriq meṅ use jalāl deṅge. kyūṅki vah rabb kī phūṅk se chalāe hue zordār sailāb kī tarah un par ṭūṭ paṛegā.

20rabb farmātā hai, “chhuṛāne vālā koh-e-siyyūn par āegā. vah yāqūb ke un farzandoṅ ke pās āegā jo apne gunāhoṅ ko chhoṛ kar vāpas āeṅge.”

21rabb farmātā hai, “jahāṅ tak merā tālluq hai, un ke sāth merā yah ahd hai : merā rūh jo tujh par ṭhaharā huā hai aur mere alfāz jo maiṅ ne tere muṅh meṅ ḍāle haiṅ vah ab se abad tak na tere muṅh se, na terī aulād ke muṅh se aur na terī aulād kī aulād se haṭeṅge.” yah rabb kā farmān hai.