Yashāyāh 58

rabb ko pasandīdā rozā

1galā phāṛ kar āvāz de, ruk ruk kar bāt na kar! narsiṅge kī sī buland āvāz ke sāth merī qaum ko us kī sarkashī sunā, yāqūb ke gharāne ko us ke gunāhoṅ kī faharist bayān kar. 2roz-ba-roz vah merī marzī darayāft karte haiṅ, kyūṅki vah merī rāhoṅ ko jānne ke shauqīn haiṅ. un ke āmāl se lagtā hai ki qaum ne apne ḵẖudā ke ahkām ko tark nahīṅ kiyā balki rāstbāz hai. chunāṅche vah mujh se munsifānā faisle māṅg kar zāhiran allāh kī qurbat se lutf’andoz hote haiṅ. 3vah shikāyat karte haiṅ, ‘jab ham rozā rakhte haiṅ to tū tavajjuh kyūṅ nahīṅ detā? jab ham apne āp ko ḵẖāksār banā kar inkisārī kā izhār karte haiṅ to tū dhyān kyūṅ nahīṅ detā?’

suno! rozā rakhte vaqt tum apnā kārobār māmūl ke mutābiq chalā kar apne mazdūroṅ ko dabāe rakhte ho. 4na sirf yah balki tum rozā rakhne ke sāth sāth jhagaṛte aur laṛte bhī ho. tum ek dūsre ko sharārat ke mukke mārne se bhī nahīṅ chūkte. yah kaisī bāt hai? agar tum yūṅ rozā rakho to is kī tavaqqo nahīṅ kar sakte ki tumhārī bāt āsmān tak pahuṅche. 5kyā mujhe is qism kā rozā pasand hai? kyā yah kāfī hai ki bandā apne āp ko kuchh der ke liye ḵẖāksār banā kar inkisārī kā izhār kare? ki vah apne sar ko ābī narsal kī tarah jhukā kar ṭāṭ aur rākh meṅ leṭ jāe? kyā tum vāqaī samajhte ho ki yah rozā hai, ki aisā vaqt rabb ko pasand hai?

6yah kis tarah ho saktā hai? jo rozā maiṅ pasand kartā hūṅ vah farq hai. haqīqī rozā yah hai ki tū beinsāfī kī zanjīroṅ meṅ jakṛe huoṅ ko rihā kare, mazlūmoṅ kā jūā haṭāe, kuchle huoṅ ko āzād kare, har jūe ko toṛe, 7bhūke ko apne khāne meṅ sharīk kare, beghar musībatzadā ko panāh de, barahanā ko kapṛe pahanāe aur apne rishtedār kī madad karne se gurez na kare!

8agar tū aisā kare to tū subah kī pahalī kirnoṅ kī tarah chamak uṭhegā, aur tere zaḵẖm jald hī bhareṅge. tab terī rāstbāzī tere āge āge chalegī, aur rabb kā jalāl tere pīchhe terī hifāzat karegā. 9tab tū faryād karegā aur rabb javāb degā. jab tū madad ke liye pukāregā to vah faramāegā, ‘maiṅ hāzir hūṅ.’

apne darmiyān dūsroṅ par jūā ḍālne, uṅgaliyāṅ uṭhāne aur dūsroṅ kī badnāmī karne kā silsilā ḵẖatm kar! 10bhūke ko apnī roṭī de aur mazlūmoṅ kī zarūriyāt pūrī kar! phir terī raushnī aṅdhere meṅ chamak uṭhegī aur terī rāt dopahar kī tarah raushan hogī. 11rabb hameshā terī qiyādat karegā, vah jhulaste hue ilāqoṅ meṅ bhī terī jān kī zarūriyāt pūrī karegā aur tere āzā ko taqviyat degā. tab tū serāb bāġ kī mānind hogā, us chashme kī mānind jis kā pānī kabhī ḵẖatm nahīṅ hotā. 12tere log qadīm khaṅḍarāt ko nae sire se tāmīr kareṅge. jo bunyādeṅ guzrī nasloṅ ne rakhī thīṅ unheṅ tū dubārā rakhegā. tab tū ‘raḵẖne ko band karne vālā’ aur ‘galiyoṅ ko dubārā rahane ke qābil banāne vālā’ kahalāegā.

13sabat ke din apne pairoṅ ko kām karne se rok. mere muqaddas din ke daurān kārobār mat karnā balki use ‘rāhatabaḵẖsh’ aur ‘muazzaz’ qarār de. us din na māmūl kī rāhoṅ par chal, na apne kārobār chalā, na ḵẖālī gappeṅ hāṅk. yūṅ tū sabat kā sahīh ehatirām karegā. 14tab rabb terī rāhat kā mambā hogā, aur maiṅ tujhe rath meṅ biṭhā kar mulk kī bulandiyoṅ par se guzarne dūṅgā, tujhe tere bāp yāqūb kī mīrās meṅ se ser karūṅgā.” rabb ke muṅh ne yah farmāyā hai.