Yashāyāh 46

devtā madad nahīṅ kar sakte

1bābal ke devtā bel aur nabū jhuk kar gir gae haiṅ, aur lādū jānvar un ke butoṅ ko uṭhāe phir rahe haiṅ. tumhāre jo but uṭhāe jā sakte haiṅ thakehāre jānvaroṅ kā bojh ban gae haiṅ. 2kyūṅki donoṅ devtā jhuk kar gir gae haiṅ. vah bojh banne se bach na sake, aur ab ḵẖud jilāvatanī meṅ jā rahe haiṅ.

3“ai yāqūb ke gharāne, suno! ai isrāīl ke gharāne ke bache hue afrād, dhyān do! māṅ ke peṭ se hī tum mere liye bojh rahe ho, paidāish se pahale hī maiṅ tumheṅ uṭhāe phir rahā hūṅ. 4tumhāre būṛhe hone tak maiṅ vahī rahūṅgā, tumhāre bāl ke safed ho jāne tak tumheṅ uṭhāe phirūṅgā. yah ibtidā se merā hī kām rahā hai, aur āindā bhī maiṅ tujhe uṭhāe phirūṅgā, āindā bhī terā sahārā ban kar tujhe bachāe rakhūṅgā.

5tum merā muqāblā kis se karoge, mujhe kis ke barābar ṭhaharāoge? tum merā muvāznā kis se karoge jo merī mānind ho? 6log but banvāne ke liye baṭve se kasrat kā sonā nikālte aur chāṅdī tarāzū meṅ tolte haiṅ. phir vah sunār ko but banāne kā ṭhekā dete haiṅ. jab tayyār ho jāe to vah jhuk kar muṅh ke bal us kī pūjā karte haiṅ. 7vah use apne kaṅdhoṅ par rakh kar idhar udhar liye phirte haiṅ, phir use dubārā us kī jagah par rakh dete haiṅ. vahāṅ vah khaṛā rahatā hai aur zarā bhī nahīṅ hiltā. log chillā kar us se faryād karte haiṅ, lekin vah javāb nahīṅ detā, duāgo ko musībat se nahīṅ bachātā.

8ai bevafā logo, is kā ḵẖayāl rakho! mardāngī dikhā kar sanjīdgī se is par dhyān do! 9jo kuchh azal se pesh āyā hai use yād rakho. kyūṅki maiṅ hī rabb hūṅ, aur mere sivā koī aur nahīṅ. maiṅ hī rabb hūṅ, aur merī mānind koī nahīṅ.

10maiṅ ibtidā se anjām kā elān, qadīm zamāne se āne vālī bātoṅ kī peshgoī kartā āyā hūṅ. ab maiṅ farmātā hūṅ ki merā mansūbā aṭal hai, maiṅ apnī marzī har lihāz se pūrī karūṅgā. 11mashriq se maiṅ shikārī parindā bulā rahā hūṅ, dūrdarāz mulk se ek aisā ādmī jo merā mansūbā pūrā kare. dhyān do, jo kuchh maiṅ ne farmāyā vah takmīl tak pahuṅchāūṅgā, jo mansūbā maiṅ ne bāṅdhā vah pūrā karūṅgā.

12ai ziddī logo jo rāstī se kahīṅ dūr ho, merī suno! 13maiṅ apnī rāstī qarīb hī lāyā hūṅ, vah dūr nahīṅ hai. merī najāt ke āne meṅ der nahīṅ hogī. maiṅ siyyūn ko najāt dūṅgā, isrāīl ko apnī shān-o-shaukat se navāzūṅgā.