Yashāyāh 45

ḵẖoras rabb kā ālā-e-kār hai

1rabb apne masah kie hue ḵẖādim ḵẖoras se farmātā hai, “maiṅ ne tere dahane hāth ko pakaṛ liyā hai, is liye jahāṅ bhī tū jāe vahāṅ qaumeṅ tere tābe ho jāeṅgī, bādshāhoṅ kī tāqat jātī rahegī, darvāze khul jāeṅge aur shahar ke darvāze band nahīṅ raheṅge. 2maiṅ ḵẖud tere āge āge jā kar qil’ābandiyoṅ ko zamīnabos kar dūṅgā. maiṅ pītal ke darvāze ṭukṛe ṭukṛe karke tamām kuṅḍe tuṛvā dūṅgā. 3maiṅ tujhe aṅdhere meṅ chhupe ḵẖazāne aur poshīdā māl-o-daulat atā karūṅgā tāki tū jān le ki maiṅ rabb hūṅ jo terā nām le kar tujhe bulātā hai, ki maiṅ isrāīl kā ḵẖudā hūṅ. 4go tū mujhe nahīṅ jāntā thā, lekin apne ḵẖādim yāqūb kī ḵẖātir maiṅ ne terā nām le kar tujhe bulāyā, apne barguzīdā isrāīl ke vāste tujhe ezāzī nām se navāzā hai.

5maiṅ hī rabb hūṅ, aur mere sivā koī aur ḵẖudā nahīṅ hai. go tū mujhe nahīṅ jāntā thā to bhī maiṅ tujhe kamarbastā kartā hūṅ 6tāki mashriq se maġrib tak insān jān leṅ ki mere sivā koī aur nahīṅ hai. maiṅ hī rabb hūṅ, aur mere sivā koī aur nahīṅ hai. 7maiṅ hī raushnī ko tashkīl detā aur aṅdhere ko vujūd meṅ lātā hūṅ, maiṅ hī acchhe aur bure hālāt paidā kartā, maiṅ rabb hī yah sab kuchh kartā hūṅ. 8ai āsmān, rāstī kī būṅdā-bāṅdī se zamīn ko tar-o-tāzā kar! ai bādlo, sadāqat barsāo! zamīn khul kar najāt kā phal lāe aur rāstī kā paudā phūṭne de. maiṅ rabb hī use vujūd meṅ lāyā hūṅ.”

apne ḵẖāliq par ilzām lagāne vāle par afsos

9us par afsos jo apne ḵẖāliq se jhagṛā kartā hai, go vah miṭṭī ke ṭūṭe-phūṭe bartanoṅ kā ṭhīkrā hī hai. kyā gārā kumhār se pūchhtā hai, “tū kyā banā rahā hai?” kyā terī banāī huī koī chīz tere bāre meṅ shikāyat kartī hai, “us kī koī tāqat nahīṅ”? 10us par afsos jo bāp se savāl kare, “tū kyūṅ bāp ban rahā hai?” yā aurat se, “tū kyūṅ bacchā janm de rahī hai?”

11rabb jo isrāīl kā quddūs aur use tashkīl dene vālā hai farmātā hai, “tum kis tarah mere bacchoṅ ke bāre meṅ merī pūchhgichh kar sakte ho? jo kuchh mere hāthoṅ ne banāyā us ke bāre meṅ tum kaise mujhe hukm de sakte ho? 12maiṅ hī ne zamīn ko banā kar insān ko us par ḵẖalaq kiyā. mere apne hāthoṅ ne āsmān ko ḵẖaime kī tarah us ke ūpar tān liyā aur maiṅ hī ne us ke sitāroṅ ke pūre lashkar ko tartīb diyā. 13maiṅ hī ne ḵẖoras ko insāf se jagā diyā, aur maiṅ hī us ke tamām rāste sīdhe banā detā hūṅ. vah mere shahar ko nae sire se tāmīr karegā aur mere jilāvatanoṅ ko āzād karegā. aur yah sab kuchh muft meṅ hogā, na vah paise legā, na tuhfe.” yah rabb-ul-afwāj kā farmān hai.

rabb vāhid ḵẖudā hai

14rabb farmātā hai, “misr kī daulat, ethopiyā kā tijārtī māl aur sibā ke darāzaqad afrād tere mā-tahat ho kar terī milkiyat ban jāeṅge. vah tere pīchhe chaleṅge, zanjīroṅ meṅ jakṛe tere tābe ho jāeṅge. tere sāmne jhuk kar vah iltimās karke kaheṅge, ‘yaqīnan allāh tere sāth hai. us ke sivā koī aur ḵẖudā hai nahīṅ’.” 15ai isrāīl ke ḵẖudā aur najātadihandā, yaqīnan tū apne āp ko chhupāe rakhne vālā ḵẖudā hai. 16but banāne vāle sab sharmindā ho jāeṅge. un ke muṅh kāle ho jāeṅge, aur vah mil kar sharmasār hālat meṅ chale jāeṅge. 17lekin isrāīl ko chhuṭkārā milegā, rabb use abdī najāt degā. tab tumhārī rusvāī kabhī nahīṅ hogī, tum hameshā tak sharmindā hone se mahfūz rahoge.

18kyūṅki rabb farmātā hai, “maiṅ hī rabb hūṅ, aur mere sivā koī aur nahīṅ hai! jo yah farmātā hai vah ḵẖudā hai, jis ne āsmān ko ḵẖalaq kiyā aur zamīn ko tashkīl de kar mahfūz bunyād par rakhā. aur zamīn sunsān biyābān na rahī balki us ne use basne ke qābil banā diyā tāki jāndār us meṅ rah sakeṅ. 19maiṅ ne poshīdgī meṅ yā duniyā ke kisī tārīk kone se bāt nahīṅ kī. maiṅ ne yāqūb kī aulād se yah bhī nahīṅ kahā, ‘beshak mujhe talāsh karo, lekin tum mujhe nahīṅ pāoge.’ nahīṅ, maiṅ rabb hī hūṅ, jo insāf bayān kartā, sacchāī kā elān kartā hai.

20tum jo dīgar aqvām se bach nikle ho āo, jamā ho jāo. mil kar mere huzūr hāzir ho jāo! jo lakṛī ke but uṭhā kar apne sāth liye phirte haiṅ vah kuchh nahīṅ jānte! jo devtā chhuṭkārā nahīṅ de sakte un se vah kyūṅ iltijā karte haiṅ? 21āo, apnā muāmalā sunāo, apne dalāil pesh karo! beshak pahale ek dūsre se mashvrā karo. kis ne baṛī der pahale yah kuchh sunāyā thā? kyā maiṅ, rabb ne tavīl arsā pahale is kā elān nahīṅ kiyā thā? kyūṅki mere sivā koī aur ḵẖudā nahīṅ hai. maiṅ rāst ḵẖudā aur najātadihandā hūṅ. mere sivā koī aur nahīṅ hai.

22ai zamīn kī intihāo, sab merī taraf rujū karke najāt pāo! kyūṅki maiṅ hī ḵẖudā hūṅ, mere sivā koī aur nahīṅ hai. 23maiṅ ne apne nām kī qasam khā kar farmāyā hai, aur merā farmān rāst hai, vah kabhī mansūḵẖ nahīṅ hogā. farmān yah hai ki mere sāmne har ghuṭnā jhukegā aur har zabān merī qasam khā kar 24kahegī, ‘rabb hī rāstī aur quvvat kā mambā hai’!”

jo pahale taish meṅ ā kar rabb kī muḵẖālafat karte the vah bhī sab sharmindā ho kar us ke huzūr āeṅge. 25lekin isrāīl kī tamām aulād rabb meṅ rāstbāz ṭhahar kar us par faḵẖar karegī.