Yashāyāh 42

allāh kā paiġambar aqvām ke liye mash’al-e-rāh hai

1dekho, merā ḵẖādim jise maiṅ qāim rakhtā hūṅ, merā barguzīdā jo mujhe pasand hai. maiṅ apne rūh ko us par ḍālūṅgā, aur vah aqvām meṅ insāf qāim karegā. 2vah na to chīḵẖegā, na chillāegā, galiyoṅ meṅ us kī āvāz sunāī nahīṅ degī. 3na vah kuchle hue sarkaṅḍe ko toṛegā, na bujhtī huī battī ko bujhāegā. vafādārī se vah insāf qāim karegā. 4aur jab tak us ne duniyā meṅ insāf qāim na kar liyā ho tab tak na us kī battī bujhegī, na use kuchlā jāegā. jazīre us kī hidāyat se ummīd rakheṅge.”

5rabb ḵẖudā ne āsmān ko ḵẖalaq karke ḵẖaime kī tarah zamīn ke ūpar tān liyā. usī ne zamīn ko aur jo kuchh us meṅ se phūṭ nikaltā hai tashkīl diyā, aur usī ne rū-e-zamīn par basne aur chalne vāloṅ meṅ dam phūṅk kar jān ḍālī. ab yahī ḵẖudā apne ḵẖādim se farmātā hai, 6“maiṅ, rabb ne insāf se tujhe bulāyā hai. maiṅ tere hāth ko pakaṛ kar tujhe mahfūz rakhūṅgā. kyūṅki maiṅ tujhe qaum kā ahd aur dīgar aqvām kī raushnī banā dūṅgā 7tāki tū aṅdhoṅ kī āṅkheṅ khole, qaidiyoṅ ko koṭhṛī se rihā kare aur tārīkī kī qaid meṅ basne vāloṅ ko chhuṭkārā de. 8maiṅ rabb hūṅ, yahī merā nām hai! maiṅ bardāsht nahīṅ karūṅgā ki jo jalāl mujhe milnā hai vah kisī aur ko de diyā jāe, ki log butoṅ kī tamjīd kareṅ jabki unheṅ merī tamjīd karnī chāhie. 9dekho, jis kī bhī peshgoī maiṅ ne kī thī vah vuqū meṅ āyā hai. ab maiṅ naī bātoṅ kā elān kartā hūṅ. is se pahale ki vah vujūd meṅ āeṅ maiṅ unheṅ tumheṅ sunā detā hūṅ.”

rabb kī tamjīd meṅ gīt gāo!

10rabb kī tamjīd meṅ gīt gāo, duniyā kī intihā tak us kī madahsarāī karo! ai samundar ke musāfiro aur jo kuchh us meṅ hai, us kī sitāish karo! ai jazīro, apne bāshindoṅ samet us kī tārīf karo! 11biyābān aur us ke qasbe ḵẖushī ke nāre lagāeṅ, jin ābādiyoṅ meṅ qīdār bastā hai vah shādmān hoṅ. silā ke bāshinde bāġ bāġ ho kar pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ par zor se shādiyānā bajāeṅ. 12sab rabb ko jalāl deṅ aur jazīroṅ tak us kī tārīf phailāeṅ.

13rabb sūrme kī tarah laṛne ke liye niklegā, faujī kī tarah josh meṅ āegā aur jaṅg ke nāre lagā lagā kar apne dushmanoṅ par ġālib āegā.

14vah farmātā hai, “maiṅ baṛī der se ḵẖāmosh rahā hūṅ. maiṅ chup rahā aur apne āp ko roktā rahā. lekin ab maiṅ dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah karāhatā hūṅ. merā sāṅs phūl jātā aur maiṅ betābī se hāṁptā rahatā hūṅ. 15maiṅ pahāṛoṅ aur pahāṛiyoṅ ko tabāh karke un kī tamām hariyālī jhulsā dūṅgā. daryā ḵẖushk zamīn ban jāeṅge, aur johaṛ sūkh jāeṅge. 16maiṅ aṅdhoṅ ko aisī rāhoṅ par le chalūṅgā jin se vah vāqif nahīṅ hoṅge, ġairmānūs rāstoṅ par un kī rāhanumāī karūṅgā. un ke āge maiṅ aṅdhere ko raushan aur nāhamvār zamīn ko hamvār karūṅgā. yah sab kuchh maiṅ sar’anjām dūṅgā, ek bāt bhī adhūrī nahīṅ rah jāegī.

17lekin jo butoṅ par bharosā rakh kar un se kahate haiṅ, ‘tum hamāre devtā ho’ vah saḵẖt sharm khā kar pīchhe haṭ jāeṅge.

sazā kā sabab aṅdhāpan hai

18ai baharo, suno! ai aṅdho, nazar uṭhāo tāki dekh sako! 19kaun mere ḵẖādim jaisā aṅdhā hai? kaun mere paiġambar jaisā baharā hai, us jaisā jise maiṅ bhej rahā hūṅ? go maiṅ ne us ke sāth ahd bāṅdhā to bhī rabb ke ḵẖādim jaisā aṅdhā aur nābīnā koī nahīṅ hai. 20go tū ne bahut kuchh dekhā hai tū ne tavajjuh nahīṅ dī, go tere kān har bāt sun lete haiṅ tū suntā nahīṅ.” 21rabb ne apnī rāstī kī ḵẖātir apnī sharīat kī azmat aur jalāl ko baṛhāyā hai, kyūṅki yah us kī marzī thī. 22lekin ab us kī qaum ko ġārat kiyā gayā, sab kuchh lūṭ liyā gayā hai. sab ke sab gaṛhoṅ meṅ jakṛe yā jeloṅ meṅ chhupāe hue haiṅ. vah lūṭ kā māl ban gae haiṅ, aur koī nahīṅ hai jo unheṅ bachāe. unheṅ chhīn liyā gayā hai, aur koī nahīṅ hai jo kahe, “unheṅ vāpas karo!”

23kāsh tum meṅ se koī dhyān de, koī āindā ke liye tavajjuh de. 24soch lo! kis ne ijāzat dī ki yāqūb kī aulād ko ġārat kiyā jāe? kis ne isrāīl ko luṭeroṅ ke havāle kar diyā? kyā yah rabb kī taraf se nahīṅ huā, jis ke ḵẖilāf ham ne gunāh kiyā hai? log to us kī rāhoṅ par chalnā hī nahīṅ chāhate the, vah us kī sharīat ke tābe rahane ke liye tayyār hī na the. 25isī vajah se us ne un par apnā saḵẖt ġazab nāzil kiyā, unheṅ shadīd jaṅg kī zad meṅ āne diyā. lekin afsos, go āg ne qaum ko gher kar jhulsā diyā tāham use samajh nahīṅ āī, go vah bhasm huī to bhī us ne dil se sabaq nahīṅ sīkhā.