Yashāyāh 41

dushman ke hamle rabb hī kī taraf se haiṅ

1“ai jazīro, ḵẖāmosh rah kar merī bāt suno! aqvām az sar-e-nau taqviyat pāeṅ aur mere huzūr āeṅ, phir bāt kareṅ. āo, ham ek dūsre se mil kar adālat meṅ hāzir ho jāeṅ!

2kaun us ādmī ko jagā kar mashriq se lāyā hai jis ke dāman meṅ insāf hai? kaun dīgar qaumoṅ ko is shaḵẖs ke havāle karke bādshāhoṅ ko ḵẖāk meṅ milātā hai? us kī talvār se vah gard ho jāte haiṅ, us kī kamān se log havā meṅ bhūse kī tarah uṛ kar bikhar jāte haiṅ. 3vah un kā tāqqub karke sahīh-salāmat āge nikaltā hai, bhāgte hue us ke pāoṅ rāste ko nahīṅ chhūte. 4kis ne yah sab kuchh kiyā, kis ne yah anjām diyā? usī ne jo ibtidā hī se nasloṅ ko bulātā āyā hai. maiṅ, rabb avval hūṅ, aur āḵẖir meṅ āne vāloṅ ke sāth bhī maiṅ vahī hūṅ.”

5jazīre yah dekh kar ḍar gae, duniyā ke dūrdarāz ilāqe kāṁp uṭhe haiṅ. vah qarīb āte hue 6ek dūsre ko sahārā de kar kahate haiṅ, “hauslā rakh!” 7dastakār sunār kī hausalāafzāī kartā hai, aur jo but kī nāhamvāriyoṅ ko hathauṛe se ṭhīk kartā hai vah aharan par kām karne vāle kī himmat baṛhātā aur ṭāṅke kā muāinā karke kahatā hai, “ab ṭhīk hai!” phir mil kar but ko kīloṅ se mazbūt karte haiṅ tāki hile na.

mat ḍarnā, kyūṅki maiṅ terā ḵẖudā hūṅ

8“lekin tū mere ḵẖādim isrāīl, tū farq hai. ai yāqūb kī qaum, maiṅ ne tujhe chun liyā, aur tū mere dost ibrāhīm kī aulād hai. 9maiṅ tujhe pakaṛ kar duniyā kī intihā se lāyā, us ke dūrdarāz konoṅ se bulāyā. maiṅ ne farmāyā, ‘tū merā ḵẖādim hai.’ maiṅ ne tujhe radd nahīṅ kiyā balki tujhe chun liyā hai. 10chunāṅche mat ḍar, kyūṅki maiṅ tere sāth hūṅ. dahshat mat khā, kyūṅki maiṅ terā ḵẖudā hūṅ. maiṅ tujhe mazbūt kartā, terī madad kartā, tujhe apne dahane hāth ke insāf se qāim rakhtā hūṅ. 11dekh, jitne bhī tere ḵẖilāf taish meṅ ā gae haiṅ vah sab sharmindā ho jāeṅge, un kā muṅh kālā ho jāegā. tujh se jhagaṛne vāle hech hī sābit ho kar halāk ho jāeṅge. 12tab tū apne muḵẖālifoṅ kā patā karegā lekin un kā nām-o-nishān tak nahīṅ milegā. tujh se laṛne vāle ḵẖatm hī hoṅge, aisā hī lagegā ki vah kabhī the nahīṅ. 13kyūṅki maiṅ rabb terā ḵẖudā hūṅ. maiṅ tere dahane hāth ko pakaṛ kar tujhe batātā hūṅ, ‘mat ḍarnā, maiṅ hī terī madad kartā hūṅ.’

14ai kīṛe yāqūb mat ḍar, ai chhoṭī qaum isrāīl ḵẖauf mat khā. kyūṅki maiṅ hī terī madad karūṅgā, aur jo ivzānā de kar tujhe chhuṛā rahā hai vah isrāīl kā quddūs hai.” yah hai rabb kā farmān. 15“mere hāth se tū gāhane kā nayā aur mut’addid tez nokeṅ rakhne vālā ālā banegā. tab tū pahāṛoṅ ko gāh kar rezā rezā kar degā, aur pahāṛiyāṅ bhūse kī mānind ho jāeṅgī. 16tū unheṅ uchhāl uchhāl kar uṛāegā to havā unheṅ le jāegī, āṅdhī unheṅ dūr tak bikher degī. lekin tū rabb kī ḵẖushī manāegā aur isrāīl ke quddūs par faḵẖar karegā.

allāh registān meṅ pānī muhayyā kartā hai

17ġarīb aur zarūratmand pānī kī talāsh meṅ haiṅ, lekin befāidā, un kī zabāneṅ piyās ke māre ḵẖushk ho gaī haiṅ. lekin maiṅ, rabb un kī sunūṅgā, maiṅ jo isrāīl kā ḵẖudā hūṅ unheṅ tark nahīṅ karūṅgā. 18maiṅ baṅjar bulandiyoṅ par nadiyāṅ jārī karūṅgā aur vādiyoṅ meṅ chashme phūṭne dūṅgā. maiṅ registān ko johaṛ meṅ aur sūkhī sūkhī zamīn ko pānī ke sotoṅ meṅ badal dūṅgā. 19mere hāth se registān meṅ deodār, kīkar, mehaṅdī aur zaitūn ke daraḵẖt lageṅge, biyābān meṅ jūnīpar, sanobar aur sarv ke daraḵẖt mil kar ugeṅge. 20maiṅ yah is liye karūṅgā ki log dhyān de kar jān leṅ ki rabb ke hāth ne yah sab kuchh kiyā hai, ki isrāīl ke quddūs ne yah paidā kiyā hai.”

devtā bekār haiṅ

21rabb jo yāqūb kā bādshāh hai farmātā hai, “āo, adālat meṅ apnā muāmalā pesh karo, apne dalāil bayān karo. 22āo, apne butoṅ ko le āo tāki vah hameṅ batāeṅ ki kyā kyā pesh ānā hai. māzī meṅ kyā kyā huā? batāo, tāki ham dhyān deṅ. yā hameṅ mustaqbil kī bāteṅ sunāo, 23vah kuchh jo āne vāle dinoṅ meṅ hogā, tāki hameṅ mālūm ho jāe ki tum devtā ho. kam az kam kuchh na kuchh karo, ḵẖwāh acchhā ho yā burā, tāki ham ghabrā kar ḍar jāeṅ. 24tum to kuchh bhī nahīṅ ho, aur tumhārā kām bhī bekār hai. jo tumheṅ chun letā hai vah qābil-e-ghin hai.

25ab maiṅ ne shimāl se ek ādmī ko jagā diyā hai, aur vah merā nām le kar mashriq se ā rahā hai. yah shaḵẖs hukmarānoṅ ko miṭṭī kī tarah kuchal detā hai, unheṅ gāre ko narm karne vāle kumhār kī tarah rauṅd detā hai. 26kis ne ibtidā se is kā elān kiyā tāki hameṅ ilm ho? kis ne pahale se is kī peshgoī kī tāki ham kaheṅ, ‘us ne bilkul sahīh kahā hai’? koī nahīṅ thā jis ne pahale se is kā elān karke is kī peshgoī kī. koī nahīṅ thā jis ne tumhāre muṅh se is ke bāre meṅ ek lafz bhī sunā. 27kis ne siyyūn ko pahale batā diyā, ‘vah dekho, terā sahārā āne ko hai!’ maiṅ hī ne yah farmāyā, maiṅ hī ne yarūshalam ko ḵẖushḵẖabarī kā paiġambar atā kiyā.

28lekin jab maiṅ apne ird-gird dekhtā hūṅ to koī nahīṅ hai jo mujhe mashvrā de, koī nahīṅ jo mere savāl kā javāb de. 29dekho, yah sab dhokā hī dhokā haiṅ. un ke kām hech aur un ke ḍhāle hue mujassme ḵẖālī havā hī haiṅ.