Yashāyāh 4

1tab sāt aurteṅ ek hī mard se lipaṭ kar kaheṅgī, “ham se shādī kareṅ! beshak ham ḵẖud hī rozmarrā kī zarūriyāt pūrī kareṅgī, ḵẖwāh khānā ho yā kapṛā. lekin ham āp ke nām se kahalāeṅ tāki hamārī sharmindagī dūr ho jāe.”

yarūshalam kī bahālī

2us din jo kuchh rabb phūṭne degā vah shāndār aur jalālī hogā, mulk kī paidāvār bache hue isrāīliyoṅ ke liye faḵẖar aur āb-o-tāb kā bāis hogī. 3tab jo bhī siyyūn meṅ bāqī rah gae hoṅge vah muqaddas kahalāeṅge. yarūshalam ke jin bāshindoṅ ke nām zindoṅ kī faharist meṅ darj kie gae haiṅ vah bach kar muqaddas kahalāeṅge. 4rabb siyyūn kī fuzlā se latpat beṭiyoṅ ko dho kar pāk-sāf karegā, vah adālat aur tabāhī kī rūh se yarūshalam kī ḵẖūṅrezī ke dhabbe dūr kar degā. 5phir rabb hone degā ki din ko bādal siyyūn ke pūre pahāṛ aur us par jamā hone vāloṅ par sāyā ḍāle jabki rāt ko dhuāṅ aur dahaktī āg kī chamak-damak us par chhāī rahe. yūṅ us pūre shāndār ilāqe par sāybān hogā 6jo use jhulastī dhūp se mahfūz rakhegā aur tūfān aur bārish se panāh degā.