Yashāyāh 39

hizaqiyāh se saṅgīn ġaltī hotī hai

1thoṛī der ke bād bābal ke bādshāh marūdak-baldān bin baldān ne hizaqiyāh kī bīmārī aur shifā kī ḵẖabar sun kar vafad ke hāth ḵẖat aur tuhfe bheje. 2hizaqiyāh ne ḵẖushī se vafad kā istiqbāl karke use vah tamām ḵẖazāne dikhāe jo zaḵẖīrāḵẖāne meṅ mahfūz rakhe gae the yānī tamām sonā-chāṅdī, balsān kā tel aur bāqī qīmtī tel. us ne pūrā aslihāḵẖānā aur bāqī sab kuchh bhī dikhāyā jo us ke ḵẖazānoṅ meṅ thā. pūre mahal aur pūre mulk meṅ koī ḵẖās chīz na rahī jo us ne unheṅ na dikhāī.

3tab yasāyāh nabī hizaqiyāh bādshāh ke pās āyā aur pūchhā, “in ādmiyoṅ ne kyā kahā? kahāṅ se āe haiṅ?” hizaqiyāh ne javāb diyā, “dūrdarāz mulk bābal se mere pās āe haiṅ.” 4yasāyāh bolā, “unhoṅ ne mahal meṅ kyā kuchh dekhā?” hizaqiyāh ne kahā, “unhoṅ ne mahal meṅ sab kuchh dekh liyā hai. mere ḵẖazānoṅ meṅ koī chīz na rahī jo maiṅ ne unheṅ nahīṅ dikhāī.”

5tab yasāyāh ne kahā, “rabb-ul-afwāj kā farmān suneṅ! 6ek din āne vālā hai ki tere mahal kā tamām māl chhīn liyā jāegā. jitne bhī ḵẖazāne tū aur tere bāpdādā ne āj tak jamā kie haiṅ un sab ko dushman bābal le jāegā. rabb farmātā hai ki ek bhī chīz pīchhe nahīṅ rahegī. 7tere beṭoṅ meṅ se bhī bāz chhīn liye jāeṅge, aise jo ab tak paidā nahīṅ hue. tab vah ḵẖwājāsarā ban kar shāh-e-bābal ke mahal meṅ ḵẖidmat kareṅge.”

8hizaqiyāh bolā, “rabb kā jo paiġām āp ne mujhe diyā hai vah ṭhīk hai.” kyūṅki us ne sochā, “baṛī bāt yah hai ki mere jīte jī amn-o-amān hogā.”