Yashāyāh 38

allāh hizaqiyāh ko shifā detā hai

1un dinoṅ meṅ hizaqiyāh itnā bīmār huā ki marne kī naubat ā pahuṅchī. āmūs kā beṭā yasāyāh nabī us se milne āyā aur kahā, “rabb farmātā hai ki apne ghar kā band-o-bast kar le, kyūṅki tujhe marnā hai. tū is bīmārī se shifā nahīṅ pāegā.”

2yah sun kar hizaqiyāh ne apnā muṅh dīvār kī taraf pher kar duā kī, 3“ai rabb, yād kar ki maiṅ vafādārī aur ḵẖulūsdilī se tere sāmne chaltā rahā hūṅ, ki maiṅ vah kuchh kartā āyā hūṅ jo tujhe pasand hai.” phir vah phūṭ phūṭ kar rone lagā.

4tab yasāyāh nabī ko rabb kā kalām milā, 5“hizaqiyāh ke pās jā kar use batā denā ki rabb tere bāp dāūd kā ḵẖudā farmātā hai, ‘maiṅ ne terī duā sun lī aur tere āṅsū dekhe haiṅ. maiṅ terī zindagī meṅ 15 sāl kā izāfā karūṅgā. 6sāth sāth maiṅ tujhe aur is shahar ko asūr ke bādshāh se bachā lūṅgā. maiṅ hī is shahar kā difā karūṅgā’.”

7yah paiġām hizaqiyāh ko sunā kar yasāyāh ne mazīd kahā, “rabb tujhe ek nishān degā jis se tū jān legā ki vah apnā vādā pūrā karegā. 8mere kahane par āḵẖaz kī banāī huī dhūpaghṛī kā sāyā das darje pīchhe jāegā.” aur aisā hī huā. sāyā das darje pīchhe haṭ gayā.

shifā pāne par hizaqiyāh kā gīt

9yahūdāh ke bādshāh hizaqiyāh ne shifā pāne par zail kā gīt qalamband kiyā,

10“maiṅ bolā, kyā mujhe zindagī ke urūj par pātāl ke darvāzoṅ meṅ dāḵẖil honā hai? bāqīmāndā sāl mujh se chhīn liye gae haiṅ.

11maiṅ bolā, āindā maiṅ rabb ko zindoṅ ke mulk meṅ nahīṅ dekhūṅgā. ab se maiṅ pātāl ke bāshindoṅ ke sāth rah kar is duniyā ke logoṅ par nazar nahīṅ ḍālūṅgā.

12mere ghar ko gallābānoṅ ke ḵẖaime kī tarah utārā gayā hai, vah mere ūpar se chhīn liyā gayā hai. maiṅ ne apnī zindagī ko jūlāhe kī tarah iḵẖtitām tak bun liyā hai. ab us ne mujhe kāṭ kar tāṅt ke dhāgoṅ se alag kar diyā hai. ek din ke andar andar tū ne mujhe ḵẖatm kiyā.

13subah tak maiṅ chīḵẖ kar faryād kartā rahā, lekin us ne sherbabar kī tarah merī tamām haḍḍiyāṅ toṛ dīṅ. ek din ke andar andar tū ne mujhe ḵẖatm kiyā.

14maiṅ bejān ho kar abābīl yā bulbul kī tarah chīṅ chīṅ karne lagā, ġūṅ ġūṅ karke kabūtar kī sī āheṅ bharne lagā. merī āṅkheṅ niḍhāl ho kar āsmān kī taraf taktī rahīṅ. ai rabb, mujh par zulm ho rahā hai. merī madad ke liye ā!

15lekin maiṅ kyā kahūṅ? us ne ḵẖud mujh se hamkalām ho kar yah kiyā hai. maiṅ talḵẖiyoṅ se maġlūb ho kar zindagī ke āḵẖir tak dabī huī hālat meṅ phirūṅgā.

16ai rabb, in hī chīzoṅ ke sabab se insān zindā rahatā hai, merī rūh kī zindagī bhī in hī par mabnī hai. tū mujhe bahāl karke jīne degā.

17yaqīnan yah talḵẖ tajribā merī barkat kā bāis ban gayā. terī muhabbat ne merī jān ko qabr se mahfūz rakhā, tū ne mere tamām gunāhoṅ ko apnī pīṭh pīchhe phaiṅk diyā hai.

18kyūṅki pātāl terī hamd-o-sanā nahīṅ kartā, aur maut terī sitāish meṅ gīt nahīṅ gātī, zamīn kī gaharāiyoṅ meṅ utre hue terī vafādārī ke intizār meṅ nahīṅ rahate.

19nahīṅ, jo zindā hai vahī terī tārīf kartā, vahī terī tamjīd kartā hai, jis tarah maiṅ āj kar rahā hūṅ. pusht-dar-pusht bāp apne bacchoṅ ko terī vafādārī ke bāre meṅ batāte haiṅ.

20rabb mujhe bachāne ke liye tayyār thā. āo, ham umr bhar rabb ke ghar meṅ tārdār sāz bajāeṅ.”

ilāj kā tarīq-e-kār

21yasāyāh ne hidāyat dī thī, “anjīr kī ṭikkī lā kar bādshāh ke nāsūr par bāṅdh do! tab use shifā milegī.” 22pahale hizaqiyāh ne pūchhā thā, “rabb kaun sā nishān degā jis se mujhe yaqīn āe ki maiṅ dubārā rabb ke ghar kī ibādat meṅ sharīk hūṅgā?”