Yashāyāh 36

asūrī yarūshalam kā muhāsarā karte haiṅ

1hizaqiyāh bādshāh kī hukūmat ke 14veṅ sāl meṅ asūr ke bādshāh sanherib ne yahūdāh ke tamām qil’āband shaharoṅ par dhāvā bol kar un par qabzā kar liyā. 2phir us ne apne ālā afsar rabshāqī ko baṛī fauj ke sāth lakīs se yarūshalam ko bhejā. yarūshalam pahuṅch kar rabshāqī us nāle ke pās ruk gayā jo pānī ko ūpar vāle tālāb tak pahuṅchātā hai (yah tālāb us rāste par hai jo dhobiyoṅ ke ghāṭ tak le jātā hai). 3yah dekh kar mahal kā iṅchārj iliyāqīm bin ḵẖilaqiyāh, mīramunshī shabnāh aur mushīr-e-ḵẖās yūāḵẖ bin āsaf shahar se nikal kar us se milne āe. 4rabshāqī ne un ke hāth hizaqiyāh ko paiġām bhejā,

“asūr ke azīm bādshāh farmāte haiṅ, tumhārā bharosā kis chīz par hai? 5tum samajhte ho ki ḵẖālī bāteṅ karnā faujī hikmat-e-amlī aur tāqat ke barābar hai. yah kaisī bāt hai? tum kis par etimād kar rahe ho ki mujh se sarkash ho gae ho? 6kyā tum misr par bharosā karte ho? vah to ṭūṭā huā sarkaṅḍā hī hai. jo bhī us par ṭek lagāe us kā hāth vah chīr kar zaḵẖmī kar degā. yahī kuchh un sab ke sāth ho jāegā jo misr ke bādshāh firaaun par bharosā kareṅ! 7shāyad tum kaho, ‘ham rabb apne ḵẖudā par tavakkul karte haiṅ.’ lekin yah kis tarah ho saktā hai? hizaqiyāh ne to us kī behuramtī kī hai. kyūṅki us ne ūṅchī jagahoṅ ke mandiroṅ aur qurbānagāhoṅ ko ḍhā kar yahūdāh aur yarūshalam se kahā hai ki sirf yarūshalam kī qurbāngāh ke sāmne parastish kareṅ. 8āo, mere āqā asūr ke bādshāh se saudā karo. maiṅ tumheṅ 2,000 ghoṛe dūṅgā bashartīki tum un ke liye savār muhayyā kar sako. lekin afsos, tumhāre pās itne ghuṛsavār haiṅ hī nahīṅ! 9tum mere āqā asūr ke bādshāh ke sab se chhoṭe afsar kā bhī muqāblā nahīṅ kar sakte. lihāzā misr ke rathoṅ par bharosā rakhne kā kyā fāidā? 10shāyad tum samajhte ho ki maiṅ rabb kī marzī ke baġair hī is mulk par hamlā karne āyā hūṅ tāki sab kuchh barbād karūṅ. lekin aisā hargiz nahīṅ hai! rabb ne ḵẖud mujhe kahā ki is mulk par dhāvā bol kar ise tabāh kar de.”

11yah sun kar iliyāqīm, shabnāh aur yūāḵẖ ne rabshāqī kī taqrīr meṅ daḵẖal de kar kahā, “barāh-e-karam arāmī zabān meṅ apne ḵẖādimoṅ ke sāth guftagu kījie, kyūṅki ham yah acchhī tarah bol lete haiṅ. ibrānī zabān istemāl na kareṅ, varnā shahar kī fasīl par khaṛe log āp kī bāteṅ sun leṅge.” 12lekin rabshāqī ne javāb diyā, “kyā tum samajhte ho ki mere mālik ne yah paiġām sirf tumheṅ aur tumhāre mālik ko bhejā hai? hargiz nahīṅ! vah chāhate haiṅ ki tamām log yah bāteṅ sun leṅ. kyūṅki vah bhī tumhārī tarah apnā fuzlā khāne aur apnā peshāb pīne par majbūr ho jāeṅge.”

13phir vah fasīl kī taraf muṛ kar buland āvāz se ibrānī zabān meṅ avām se muḵẖātib huā, “suno! shahanshāh, asūr ke bādshāh ke farmān par dhyān do! 14bādshāh farmāte haiṅ ki hizaqiyāh tumheṅ dhokā na de. vah tumheṅ bachā nahīṅ saktā. 15beshak vah tumheṅ tasallī dilāne kī koshish karke kahatā hai, ‘rabb hameṅ zarūr chhuṭkārā degā, yah shahar kabhī bhī asūrī bādshāh ke qabze meṅ nahīṅ āegā.’ lekin is qism kī bātoṅ se tasallī pā kar rabb par bharosā mat karnā. 16hizaqiyāh kī bāteṅ na māno balki asūr ke bādshāh kī. kyūṅki vah farmāte haiṅ, mere sāth sulah karo aur shahar se nikal kar mere pās ā jāo. phir tum meṅ se har ek aṅgūr kī apnī bel aur anjīr ke apne daraḵẖt kā phal khāegā aur apne hauz kā pānī piegā. 17phir kuchh der ke bād maiṅ tumheṅ ek aise mulk meṅ le jāūṅgā jo tumhāre apne mulk kī mānind hogā. us meṅ bhī anāj aur naī mai, roṭī aur aṅgūr ke bāġ haiṅ. 18hizaqiyāh kī mat sunnā. jab vah kahatā hai, ‘rabb hameṅ bachāegā’ to vah tumheṅ dhokā de rahā hai. kyā dīgar aqvām ke devtā apne mulkoṅ ko shāh-e-asūr se bachāne ke qābil rahe haiṅ? 19hamāt aur arfād ke devtā kahāṅ rah gae haiṅ? sifarvāim ke devtā kyā kar sake? aur kyā kisī devtā ne sāmriyā ko merī girift se bachāyā? 20nahīṅ, koī bhī devtā apnā mulk mujh se bachā na sakā. to phir rabb yarūshalam ko kis tarah mujh se bachāegā?”

21fasīl par khaṛe log ḵẖāmosh rahe. unhoṅ ne koī javāb na diyā, kyūṅki bādshāh ne hukm diyā thā ki javāb meṅ ek lafz bhī na kaheṅ. 22phir mahal kā iṅchārj iliyāqīm bin ḵẖilaqiyāh, mīramunshī shabnāh aur mushīr-e-ḵẖās yūāḵẖ bin āsaf raṅjish ke māre apne libās phāṛ kar hizaqiyāh ke pās vāpas gae. darbār meṅ pahuṅch kar unhoṅ ne bādshāh ko sab kuchh kah sunāyā jo rabshāqī ne unheṅ kahā thā.