Yashāyāh 35

qaum kī rihāī

1registān aur piyāsī zamīn bāġ bāġ hoṅge, biyābān ḵẖushī manā kar khil uṭhegā. us ke phūl sosan kī tarah 2phūṭ nikaleṅge, aur vah zor se shādiyānā bajā kar ḵẖushī ke nāre lagāegā. use lubnān kī shān, karmil aur shārūn kā pūrā husn-o-jamāl diyā jāegā. log rabb kā jalāl aur hamāre ḵẖudā kī shān-o-shaukat dekheṅge.

3niḍhāl hāthoṅ ko taqviyat do, ḍāṅvāṅḍol ghuṭnoṅ ko mazbūt karo! 4dhaṛakte hue diloṅ se kaho, “hauslā rakho, mat ḍaro. dekho, tumhārā ḵẖudā intiqām lene ke liye ā rahā hai. vah har ek ko jazā-o-sazā de kar tumheṅ bachāne ke liye ā rahā hai.”

5tab aṅdhoṅ kī āṅkhoṅ ko aur baharoṅ ke kānoṅ ko kholā jāegā.

6laṅgṛe hiran kī sī chhalāṅgeṅ lagāeṅge, aur gūṅge ḵẖushī ke nāre lagāeṅge. registān meṅ chashme phūṭ nikaleṅge, aur biyābān meṅ se nadiyāṅ guzareṅgī.

7jhulastī huī ret kī jagah johaṛ banegā, aur piyāsī zamīn kī jagah pānī ke sote phūṭ nikaleṅge. jahāṅ pahale gīdaṛ ārām karte the vahāṅ harī ghās, sarkaṅḍe aur ābī narsal kī nashv-o-numā hogī.

8mulk meṅ se shāharāh guzregī jo ‘shāharāh-e-muqaddas’ kahalāegī. nāpāk log us par safar nahīṅ kareṅge, kyūṅki vah sahīh rāh par chalne vāloṅ ke liye maḵẖsūs hai. ahamaq us par bhaṭakne nahīṅ pāeṅge.

9us par na sherbabar hogā, na koī aur vahashī jānvar āegā yā pāyā jāegā. sirf vah us par chaleṅge jinheṅ allāh ne ivzānā de kar chhuṛā liyā hai.

10jitnoṅ ko rabb ne fidyā de kar rihā kiyā hai vah vāpas āeṅge aur gīt gāte hue siyyūn meṅ dāḵẖil hoṅge. un ke sar par abdī ḵẖushī kā tāj hogā, aur vah itne masrūr aur shādmān hoṅge ki mātam aur giryā-o-zārī un ke āge āge bhāg jāegī.