Yashāyāh 30

misr ke vāde bekār haiṅ

1rabb farmātā hai, “ai ziddī baccho, tum par afsos! kyūṅki tum mere baġair mansūbe bāṅdhte aur mere rūh ke baġair muāhade kar lete ho. gunāhoṅ meṅ izāfā karte karte 2tum ne mujh se mashvrā liye baġair misr kī taraf rujū kiyā tāki firaaun kī āṛ meṅ panāh lo aur misr ke sāy meṅ hifāzat pāo. 3lekin ḵẖabardār! firaaun kā tahaffuz tumhāre liye sharm kā bāis banegā, misr ke sāy meṅ panāh lene se tumhārī rusvāī ho jāegī. 4kyūṅki go us ke afsar zuan meṅ haiṅ aur us ke elchī hanīs tak pahuṅch gae haiṅ 5to bhī sab is qaum se sharmindā ho jāeṅge, kyūṅki is ke sāth muāhadā bekār hogā. is se na madad aur na fāidā hāsil hogā balki yah sharm aur ḵẖajālat kā bāis hī hogī.”

6dasht-e-najab ke jānvaroṅ ke bāre meṅ rabb kā farmān :

yahūdāh ke safīr ek taklīfdih aur pareshānakun mulk meṅ se guzar rahe haiṅ jis meṅ sherbabar, shernī, zaharīle aur uṛanasāṁp baste haiṅ. un ke gadhe aur ūṅṭ yahūdāh kī daulat aur ḵẖazānoṅ se lade hue haiṅ, aur vah sab kuchh misr ke pās pahuṅchā rahe haiṅ, go is qaum kā koī fāidā nahīṅ. 7misr kī madad fuzūl hī hai! is liye maiṅ ne misr kā nām ‘rahab ajhdahā jis kā muṅh band kar diyā gayā hai’ rakhā hai.

8ab dūsroṅ ke pās jā kar sab kuchh taḵẖte par likh. use kitāb kī sūrat meṅ qalamband kar tāki mere alfāz āne vāle dinoṅ meṅ hameshā tak gavāhī deṅ. 9kyūṅki yah qaum sarkash hai, yah log dhokebāz bacche haiṅ jo rabb kī hidāyāt ko mānne ke liye tayyār hī nahīṅ. 10ġaibbīnoṅ ko vah kahate haiṅ, “royā se bāz āo.” aur royā dekhne vāloṅ ko vah hukm dete haiṅ, “hameṅ sacchī royā mat batānā balki hamārī ḵẖushāmad karne vālī bāteṅ. farebdih royā dekh kar hamāre āge bayān karo! 11sahīh rāste se haṭ jāo, sīdhī rāh ko chhoṛ do. hamāre sāmne isrāīl ke quddūs kā zikr karne se bāz āo!”

12javāb meṅ isrāīl kā quddūs farmātā hai, “tum ne yah kalām radd karke zulm aur chālākī par bharosā balki pūrā etimād kiyā hai. 13ab yah gunāh tumhāre liye us ūṅchī dīvār kī mānind hogā jis meṅ darāṛeṅ paṛ gaī haiṅ. darāṛeṅ phailtī haiṅ aur dīvār baiṭhī jātī hai. phir achānak ek hī lamhe meṅ vah dhaṛām se zamīnabos ho jātī hai. 14vah ṭukṛe ṭukṛe ho jātī hai, bilkul miṭṭī ke us bartan kī tarah jo berahamī se chiknā-chūr kiyā jātā hai aur jis kā ek ṭukṛā bhī āg se koile uṭhā kar le jāne yā hauz se thoṛā bahut pānī nikālne ke qābil nahīṅ rah jātā.”

sabr ke sāth rabb par bharosā rakho

15rabb qādir-e-mutlaq jo isrāīl kā quddūs hai farmātā hai, “vāpas ā kar sukūn pāo, tab hī tumheṅ najāt milegī. ḵẖāmosh rah kar mujh par bharosā rakho, tab hī tumheṅ taqviyat milegī. lekin tum is ke liye tayyār hī nahīṅ the.

16chūṅki tum javāb meṅ bole, ‘hargiz nahīṅ, ham apne ghoṛoṅ par savār ho kar bhāgeṅge’ is liye tum bhāg jāoge. chūṅki tum ne kahā, ‘ham tez ghoṛoṅ par savār ho kar bach nikaleṅge’ is liye tumhārā tāqqub karne vāle kahīṅ ziyādā tez hoṅge. 17tumhāre hazār mard ek hī ādmī kī dhamkī par bhāg jāeṅge. aur jab dushman ke pāṅch afrād tumheṅ dhamakāeṅge to tum sab ke sab farār ho jāoge. āḵẖirkār jo bacheṅge vah pahāṛ kī choṭī par parcham ke ḍaṅḍe kī tarah tanhā rah jāeṅge, pahāṛī par jhaṅḍe kī tarah akele hoṅge.”

18lekin rabb tumheṅ meharbānī dikhāne ke intizār meṅ hai, vah tum par raham karne ke liye uṭh khaṛā huā hai. kyūṅki rabb insāf kā ḵẖudā hai. mubārak haiṅ vah jo us ke intizār meṅ rahate haiṅ.

19ai siyyūn ke bāshindo jo yarūshalam meṅ rahate ho, āindā tum nahīṅ rooge. jab tum faryād karoge to vah zarūr tum par meharbānī karegā. tumhārī sunte hī vah javāb degā. 20go māzī meṅ rabb ne tumheṅ taṅgī kī roṭī khilāī aur zulm kā pānī pilāyā, lekin ab terā ustād chhupā nahīṅ rahegā balki terī apnī hī āṅkheṅ use dekheṅgī. 21agar dāīṅ yā bāīṅ taraf muṛnā hai to tumheṅ pīchhe se hidāyat milegī, “yahī rāstā sahīh hai, isī par chalo!” tumhāre apne kān yah suneṅge. 22us vaqt tum chāṅdī aur sone se saje hue apne butoṅ kī behuramtī karoge. tum “uf, gandī chīz!” kah kar unheṅ nāpāk kachre kī tarah bāhar phaiṅkoge.

23bīj bote vaqt rabb tere khetoṅ par bārish bhej kar behtarīn fasleṅ pakne degā, ġizāiyatabaḵẖsh ḵẖurāk muhayyā karegā. us din terī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail vasī charāgāhoṅ meṅ chareṅge. 24khetībāṛī ke liye mustāmal bailoṅ aur gadhoṅ ko chhāj aur doshāḵẖe ke zarīe sāf kī gaī behtarīn ḵẖurāk milegī. 25us din jab dushman halāk ho jāegā aur us ke burj gir jāeṅge to har ūṅche pahāṛ se nahareṅ aur har bulandī se nāle baheṅge. 26chāṅd sūraj kī mānind chamkegā jabki sūraj kī raushnī sau gunā ziyādā tez hogī. ek din kī raushnī sāt ām dinoṅ kī raushnī ke barābar hogī. us din rabb apnī qaum ke zaḵẖmoṅ par marham-paṭṭī karke use shifā degā.

rabb asūriyoṅ kī adālat kartā hai

27vah dekho, rabb kā nām dūrdarāz ilāqe se ā rahā hai. vah ġaiz-o-ġazab se aur baṛe rob ke sāth qarīb pahuṅch rahā hai. us ke hoṅṭ qahar se hil rahe haiṅ, us kī zabān ke āge āge sab kuchh rākh ho rahā hai. 28us kā dam kināroṅ se bāhar āne vālī nadī hai jo sab kuchh gale tak ḍubo detī hai. vah aqvām ko halākat kī chhalnī meṅ chhān chhānkar un ke muṅh meṅ dahānā ḍāltā hai tāki vah bhaṭak kar tabāhakun rāh par āeṅ.

29lekin tum gīt gāoge, aise gīt jaise muqaddas īd kī rāt gāe jāte haiṅ. itnī raunaq hogī ki tumhāre dil phūle na samāeṅge. tumhārī ḵẖushī un zāirīn kī mānind hogī jo bāṅsrī bajāte hue rabb ke pahāṛ par chaṛhte aur isrāīl kī chaṭān ke huzūr āte haiṅ.

30tab rabb apnī bārob āvāz se logoṅ par apnī qudrat kā izhār karegā. us kā saḵẖt ġazab aur bhasm karne vālī āg nāzil hogī, sāth sāth bārish kī tez bauchhāṛ aur oloṅ kā tūfān un par ṭūṭ paṛegā. 31rabb kī āvāz asūr ko pāsh pāsh kar degī, us kī lāṭhī use mārtī rahegī. 32aur jūṅ jūṅ rabb sazā ke laṭh se asūr ko zarb lagāegā tūṅ tūṅ daf aur sarod bajeṅge. apne zorāvar bāzū se vah asūr se laṛegā. 33kyūṅki baṛī der se vah gaṛhā tayyār hai jahāṅ asūrī bādshāh kī lāsh ko jalānā hai. use gaharā aur chauṛā banāyā gayā hai, aur us meṅ lakṛī kā baṛā ḍher hai. rabb kā dam hī use gaṅdhak kī tarah jalāegā.