Yashāyāh 27

1us din rabb us bhāgne aur pech-o-tāb khāne vāle sāṁp ko sazā degā jo liviyātān kahalātā hai. apnī saḵẖt, azīm aur tāqatvar talvār se vah samundar ke ajhdahe ko mār ḍālegā.

aṅgūr ke bāġ kā nayā gīt

2us din kahā jāegā,

“aṅgūr kā kitnā ḵẖūbsūrat bāġ hai! us kī tārīf meṅ gīt gāo! 3maiṅ, rabb ḵẖud hī use saṁbhāltā, use musalsal pānī detā rahatā hūṅ. din rāt maiṅ us kī paharādārī kartā hūṅ tāki koī use nuqsān na pahuṅchāe.

4ab merā ġussā ṭhaṅḍā ho gayā hai. lekin agar bāġ meṅ ūṅṭkaṭāre aur ḵẖārdār jhāṛiyāṅ mil jāeṅ to maiṅ un se nipaṭ lūṅgā, maiṅ un se jaṅg karke sab ko jalā dūṅgā. 5lekin agar vah mān jāeṅ to mere pās ā kar panāh leṅ. vah mere sāth sulah kareṅ, hāṅ mere sāth sulah kareṅ.”

sazā ke bāvujūd isrāīl par raham

6ek vaqt āegā ki yāqūb jaṛ pakṛegā. isrāīl ko phūl lag jāeṅge, us kī koṁpleṅ nikaleṅgī aur duniyā us ke phal se bhar jāegī. 7kyā rabb ne apnī qaum ko yūṅ mārā jis tarah us ne isrāīl ko mārne vāloṅ ko mārā hai? hargiz nahīṅ! yā kyā isrāīl ko yūṅ qatl kiyā gayā jis tarah us ke qātiloṅ ko qatl kiyā gayā hai? 8nahīṅ, balki tū ne use ḍarā kar aur bhagā kar us se javāb talab kiyā, tū ne us ke ḵẖilāf mashriq se tez āṅdhī bhej kar use apne huzūr se nikāl diyā.

9is tarah yāqūb ke qusūr kā kaffārā diyā jāegā. aur jab isrāīl kā gunāh dūr ho jāegā to natīje meṅ vah tamām ġalat qurbānagāhoṅ ko chūne ke pattharoṅ kī tarah chiknā-chūr karegā. na yasīrat devī ke khambe, na baḵẖūr jalāne kī ġalat qurbāngāheṅ khaṛī raheṅgī. 10kyūṅki qil’āband shahar tanhā rah gayā hai. logoṅ ne use vīrān chhoṛ kar registān kī tarah tark kar diyā hai. ab se us meṅ bachhṛe hī chareṅge. vahī us kī galiyoṅ meṅ ārām karke us kī ṭahaniyoṅ ko chabā leṅge. 11tab us kī shāḵẖeṅ sūkh jāeṅgī aur aurteṅ unheṅ toṛ toṛ kar jalāeṅgī. kyūṅki yah qaum samajh se ḵẖālī hai, lihāzā us kā ḵẖāliq us par taras nahīṅ khāegā, jis ne use tashkīl diyā vah us par meharbānī nahīṅ karegā.

12us din tum isrāīlī ġallā jaise hoge, aur rabb tumhārī bāliyoṅ ko daryā-e-furāt se le kar misr kī shimālī sarhadd par vāqe vādī-e-misr tak kāṭegā. phir vah tumheṅ gāh kar dānā-ba-dānā tamām ġallā ikaṭṭhā karegā. 13us din narsiṅgā buland āvāz se bajegā. tab asūr meṅ tabāh hone vāle aur misr meṅ bhagāe hue log vāpas ā kar yarūshalam ke muqaddas pahāṛ par rabb ko sijdā kareṅge.