Yashāyāh 25

najāt ke liye allāh kī tārīf

1ai rabb, tū merā ḵẖudā hai, maiṅ terī tāzīm aur tere nām kī tārīf karūṅgā. kyūṅki tū ne baṛī vafādārī se anokhā kām karke qadīm zamāne meṅ baṅdhe hue mansūboṅ ko pūrā kiyā hai.

2tū ne shahar ko malbe kā ḍher banā kar hamloṅ se mahfūz ābādī ko khaṅḍarāt meṅ tabdīl kar diyā. ġairmulkiyoṅ kā qil’āband mahal yūṅ ḵẖāk meṅ milāyā gayā ki āindā kabhī shahar nahīṅ kahalāegā, kabhī az sar-e-nau tāmīr nahīṅ hogā.

3yah dekh kar ek zorāvar qaum terī tāzīm karegī, zabardast aqvām ke shahar terā ḵẖauf māneṅge. 4kyūṅki tū pastahāloṅ ke liye qil’ā aur musībatzadā ġarīboṅ ke liye panāhgāh sābit huā hai. terī āṛ meṅ insān tūfān aur garmī kī shiddat se mahfūz rahatā hai. go zabaradastoṅ kī phūṅkeṅ bārish kī bauchhāṛ 5yā registān meṅ tapish jaisī kyūṅ na hoṅ, tāham tū ġairmulkiyoṅ kī garaj ko rok detā hai. jis tarah bādal ke sāy se jhulastī garmī jātī rahatī hai, usī tarah zabaradastoṅ kī sheḵẖī ko tū band kar detā hai.

yarūshalam meṅ bain-ul-aqvāmī ziyāfat

6yahīṅ koh-e-siyyūn par rabb-ul-afwāj tamām aqvām kī zabardast ziyāfat karegā. behtarīn qism kī qadīm aur sāf-shaffāf mai pī jāegī, umdā aur lazīztarīn khānā khāyā jāegā.

7isī pahāṛ par vah tamām ummatoṅ par kā niqāb utāregā aur tamām aqvām par kā pardā haṭā degā. 8maut ilāhī fatah kā luqmā ho kar abad tak nest-o-nābūd rahegī. tab rabb qādir-e-mutlaq har chihare ke āṅsū poṅchh kar tamām duniyā meṅ se apnī qaum kī rusvāī dūr karegā. rabb hī ne yah sab kuchh farmāyā hai. 9us din log kaheṅge, “yahī hamārā ḵẖudā hai jis kī najāt ke intizār meṅ ham rahe. yahī hai rabb jis se ham ummīd rakhte rahe. āo, ham shādiyānā bajā kar us kī najāt kī ḵẖushī manāeṅ.”

rabb moāb ke qilaoṅ ko ḍhā degā

10rabb kā hāth is pahāṛ par ṭhaharā rahegā. lekin moāb ko vah yūṅ rauṅdegā jis tarah bhūsā gobar meṅ milāne ke liye rauṅdā jātā hai. 11aur go moāb hāth phailā kar us meṅ tairne kī koshish kare to bhī rabb us kā ġarūr gobar meṅ dabāe rakhegā, chāhe vah kitnī mahārat se hāth-pāoṅ mārne kī koshish kyūṅ na kare. 12ai moāb, vah terī buland aur qil’āband dīvāroṅ ko girāegā, unheṅ ḍhā kar ḵẖāk meṅ milāegā.