Yashāyāh 24

rabb tamām duniyā kī adālat kartā hai

1dekho, rabb duniyā ko vīrān-o-sunsān kar degā, rū-e-zamīn ko ulaṭ-palaṭ karke us ke bāshindoṅ ko muntashir kar degā. 2kisī ko bhī chhoṛā nahīṅ jāegā, ḵẖwāh imām ho yā ām shaḵẖs, mālik yā naukar, mālikan yā naukrānī, bechane vālā yā ḵẖarīdār, udhār lene yā dene vālā, qarzdār yā qarzaḵẖwāh. 3zamīn mukammal taur par ujaṛ jāegī, use sarāsar lūṭā jāegā. rabb hī ne yah sab kuchh farmāyā hai. 4zamīn sūkh sūkh kar sukaṛ jāegī, duniyā ḵẖushk ho kar murjhā jāegī. us ke baṛe baṛe log bhī niḍhāl ho jāeṅge. 5zamīn ke apne bāshindoṅ ne us kī behuramtī kī hai, kyūṅki vah sharīat ke tābe na rahe balki us ke ahkām ko tabdīl karke allāh ke sāth kā abdī ahd toṛ diyā hai.

6isī liye zamīn lānat kā luqmā ban gaī hai, us par basne vāle apnī sazā bhugat rahe haiṅ. isī liye duniyā ke bāshinde bhasm ho rahe haiṅ aur kam hī bāqī rah gae haiṅ. 7aṅgūr kā tāzā ras sūkh kar ḵẖatm ho rahā, aṅgūr kī beleṅ murjhā rahī haiṅ. jo pahale ḵẖushbāsh the vah āheṅ bharne lage haiṅ. 8dafoṅ kī ḵẖushkun āvāzeṅ band, raṅgraliyāṅ manāne vāloṅ kā shor band, sarodoṅ ke surīle naġme band ho gae haiṅ. 9ab log gīt gā gā kar mai nahīṅ pīte balki sharāb unheṅ kaṛvī hī lagtī hai. 10vīrān-o-sunsān shahar tabāh ho gayā hai, har ghar ke darvāze par kuṅḍī lagī hai tāki andar ghusne vāloṅ se mahfūz rahe. 11galiyoṅ meṅ log giryā-o-zārī kar rahe haiṅ ki mai ḵẖatm hai. har ḵẖushī dūr ho gaī hai, har shādmānī zamīn se ġāib hai. 12shahar meṅ malbe ke ḍher hī rah gae haiṅ, us ke darvāze ṭukṛe ṭukṛe ho gae haiṅ.

13kyūṅki mulk ke darmiyān aur aqvām ke bīch meṅ yahī sūrat-e-hāl hogī ki chand ek hī bach pāeṅge, bilkul un do chār zaitūnoṅ kī mānind jo daraḵẖt ko jhāṛne ke bāvujūd us par rah jāte haiṅ, yā un do chār aṅgūroṅ kī tarah jo fasal chunne ke bāvujūd beloṅ par lage rahate haiṅ. 14lekin yah chand ek hī pukār kar ḵẖushī ke nāre lagāeṅge. maġrib se vah rabb kī azmat kī sitāish kareṅge. 15chunāṅche mashriq meṅ rabb ko jalāl do, jazīroṅ meṅ isrāīl ke ḵẖudā ke nām kī tāzīm karo. 16hameṅ duniyā kī intihā se gīt sunāī de rahe haiṅ, “rāst ḵẖudā kī tārīf ho!”

lekin maiṅ bol uṭhā, “hāy, maiṅ ghul ghul kar mar rahā hūṅ, maiṅ ghul ghul kar mar rahā hūṅ! mujh par afsos, kyūṅki bevafā apnī bevafāī dikhā rahe haiṅ, bevafā khule taur par apnī bevafāī dikhā rahe haiṅ!” 17ai duniyā ke bāshindo, tum dahshatanāk musībat, gaṛhoṅ aur phaṅdoṅ meṅ phaṅs jāoge. 18tab jo haulnāk āvāzoṅ se bhāg kar bach jāe vah gaṛhe meṅ gir jāegā, aur jo gaṛhe se nikal jāe vah phaṅde meṅ phaṅs jāegā. kyūṅki āsmān ke darīche khul rahe aur zamīn kī bunyādeṅ hil rahī haiṅ. 19zamīn kaṛak se fuṭ rahī hai. vah ḍagamgā rahī, jhūm rahī, 20nashe meṅ āe sharābī kī tarah laṛakhṛā rahī aur kacchī jhoṁpṛī kī tarah jhūl rahī hai. āḵẖirkār vah apnī bevafāī ke bojh tale itne dhaṛām se giregī ki āindā kabhī nahīṅ uṭhne kī.

21us din rabb āsmān ke lashkar aur zamīn ke bādshāhoṅ se javāb talab karegā. 22tab vah giriftār ho kar gaṛhe meṅ jamā hoṅge, unheṅ qaidḵẖāne meṅ ḍāl kar mut’addid dinoṅ ke bād sazā milegī. 23us vaqt chāṅd nādim hogā aur sūraj sharm khāegā, kyūṅki rabb-ul-afwāj koh-e-siyyūn par taḵẖtnashīn hogā. vahāṅ yarūshalam meṅ vah baṛī shān-o-shaukat ke sāth apne buzurgoṅ ke sāmne hukūmat karegā.