Yashāyāh 20

yasāyāh kī barahanagī aur misr aur ethopiyā kā anjām

1ek din asūrī bādshāh sarjūn ne apne kamāṅḍar ko ashdūd se laṛne bhejā. jab asūriyoṅ ne us filistī shahar par hamlā kiyā to vah un ke qabze meṅ ā gayā.

2tīn sāl pahale rabb yasāyāh bin āmūs se hamkalām huā thā, “jā, ṭāṭ kā jo libās tū pahane rahā hai utār. apne jūtoṅ ko bhī utār.” nabī ne aisā hī kiyā aur isī hālat meṅ phirtā rahā thā. 3jab ashdūd asūriyoṅ ke qabze meṅ ā gayā to rabb ne farmāyā, “mere ḵẖādim yasāyāh ko barahanā aur naṅge pāoṅ phirte tīn sāl ho gae haiṅ. is se us ne alāmtī taur par is kī nishāndihī kī hai ki misr aur ethopiyā kā kyā anjām hogā. 4shāh-e-asūr misrī qaidiyoṅ aur ethopiyā ke jilāvatanoṅ ko isī hālat meṅ apne āge āge hāṅkegā. naujavān aur buzurg sab barahanā aur naṅge pāoṅ phireṅge, vah kamar se le kar pāoṅ tak barahanā hoṅge. misr kitnā sharmindā hogā.

5yah dekh kar filistī dahshat khāeṅge. unheṅ sharm āegī, kyūṅki vah ethopiyā se ummīd rakhte aur apne misrī ittihādī par faḵẖar karte the. 6us vaqt is sāhilī ilāqe ke bāshinde kaheṅge, ‘dekho un logoṅ kī hālat jin se ham ummīd rakhte the. un hī ke pās ham bhāg kar āe tāki madad aur asūrī bādshāh se chhuṭkārā mil jāe. agar un ke sāth aisā huā to ham kis tarah bacheṅge’?”