Yashāyāh 17

shām aur isrāīl kī tabāhī

1damishq shahar ke bāre meṅ allāh kā farmān :

“damishq miṭ jāegā, malbe kā ḍher hī rah jāegā. 2aroīr ke shahar bhī vīrān-o-sunsān ho jāeṅge. tab revaṛ hī un kī galiyoṅ meṅ chareṅge aur ārām kareṅge. koī nahīṅ hogā jo unheṅ bhagāe. 3isrāīl ke qil’āband shahar nest-o-nābūd ho jāeṅge, aur damishq kī saltanat jātī rahegī. shām ke jo log bach nikaleṅge un kā aur isrāīl kī shān-o-shaukat kā ek hī anjām hogā.” yah hai rabb-ul-afwāj kā farmān.

4us din yāqūb kī shān-o-shaukat kam aur us kā moṭā-tāzā jism lāġar hotā jāegā. 5fasal kī kaṭāī kī sī hālat hogī. jis tarah kāṭne vālā ek hāth se gandum ke ḍaṅṭhal ko pakaṛ kar dūsre se bāloṅ ko kāṭtā hai usī tarah isrāīliyoṅ ko kāṭā jāegā. aur jis tarah vādī-e-rafāīm meṅ ġarīb log fasal kāṭne vāloṅ ke pīchhe pīchhe chal kar bachī huī bāliyoṅ ko chunte haiṅ usī tarah isrāīl ke bache huoṅ ko chunā jāegā. 6tāham kuchh na kuchh bachā rahegā, un do chār zaitūnoṅ kī tarah jo chunte vaqt daraḵẖt kī choṭī par rah jāte haiṅ. daraḵẖt ko ḍaṅḍe se jhāṛne ke bāvujūd kahīṅ na kahīṅ chand ek lage raheṅge.” yah hai rabb, isrāīl ke ḵẖudā kā farmān.

7tab insān apnī nazar apne ḵẖāliq kī taraf uṭhāegā, aur us kī āṅkheṅ isrāīl ke quddūs kī taraf dekheṅgī. 8āindā na vah apne hāthoṅ se banī huī qurbānagāhoṅ ko takegā, na apnī uṅgaliyoṅ se bane hue yasīrat devī ke khamboṅ aur baḵẖūr kī qurbānagāhoṅ par dhyān degā.

9us vaqt isrāīlī apne qil’āband shaharoṅ ko yūṅ chhoṛeṅge jis tarah kan’āniyoṅ ne apne jaṅgaloṅ aur pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ ko isrāīliyoṅ ke āge āge chhoṛā thā. sab kuchh vīrān-o-sunsān hogā. 10afsos, tū apnī najāt ke ḵẖudā ko bhūl gayā hai. tujhe vah chaṭān yād na rahī jis par tū panāh le saktā hai. chunāṅche apne piyāre devtāoṅ ke bāġ lagātā jā, aur un meṅ pardesī aṅgūr kī qalmeṅ lagātā jā. 11shāyad hī vah lagāte vaqt tezī se ugne lageṅ, shāyad hī un ke phūl usī subah khilne lageṅ. to bhī terī mehanat abas hai. tū kabhī bhī un ke phal se lutf’andoz nahīṅ hogā balki mahaz bīmārī aur lāilāj dard kī fasal kāṭegā.

dīgar qaumoṅ ke bekār hamle

12beshumār qaumoṅ kā shor-sharābā suno jo tūfānī samundar kī sī ṭhāṭheṅ mār rahī haiṅ. ummatoṅ kā ġul-ġapāṛā suno jo thapeṛe mārne vālī maujoṅ kī tarah garaj rahī haiṅ. 13kyūṅki ġairqaumeṅ pahāṛanumā laharoṅ kī tarah mutlātim haiṅ. lekin rabb unheṅ ḍāṅṭegā to vah dūr dūr bhāg jāeṅgī. jis tarah pahāṛoṅ par bhūsā havā ke jhoṅkoṅ se uṛ jātā aur luṛhakbūṭī āṅdhī meṅ chakkar khāne lagtī hai usī tarah vah farār ho jāeṅgī. 14shām ko isrāīl saḵẖt ghabrā jāegā, lekin pau phaṭne se pahale pahale us ke dushman mar gae hoṅge. yahī hameṅ lūṭne vāloṅ kā nasīb, hamārī ġāratagarī karne vāloṅ kā anjām hogā.