Yashāyāh 15

moāb ke anjām kā elān

1moāb ke bāre meṅ rabb kā farmān :

ek hī rāt meṅ moāb kā shahar ār tabāh ho gayā hai. ek hī rāt meṅ moāb kā shahar qīr barbād ho gayā hai. 2ab dībon ke bāshinde mātam karne ke liye apne mandir aur pahāṛī qurbānagāhoṅ kī taraf chaṛh rahe haiṅ. moāb apne shaharoṅ nabū aur mīdbā par vāvailā kar rahā hai. har sar muṅḍā huā aur har dāṛhī kaṭ gaī hai. 3galiyoṅ meṅ vah ṭāṭ se mulabbas phir rahe haiṅ, chhatoṅ par aur chaukoṅ meṅ sab ro ro kar āh-o-bukā kar rahe haiṅ. 4hasbon aur ilīālī madad ke liye pukār rahe haiṅ, aur un kī āvāzeṅ yahaz tak sunāī de rahī haiṅ. is liye moāb ke musallah mard jaṅg ke nāre lagā rahe haiṅ, go vah andar hī andar kāṁp rahe haiṅ.

5merā dil moāb ko dekh kar ro rahā hai. us ke muhājirīn bhāg kar zuġar aur ijlat-shalīshiyāh tak pahuṅch rahe haiṅ. log ro ro kar lūhīt kī taraf chaṛh rahe haiṅ, vah horonāim tak jāne vāle rāste par chalte hue apnī tabāhī par giryā-o-zārī kar rahe haiṅ. 6nimrīm kā pānī sūkh gayā hai, ghās jhulas gaī hai, tamām hariyālī ḵẖatm ho gaī hai, sabzāzāroṅ kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahā. 7is liye log apnā sārā jamāshudā sāmān sameṭ kar vādī-e-safedā ko ubūr kar rahe haiṅ. 8chīḵẖeṅ moāb kī hudūd tak gūṅj rahī haiṅ, hāy hāy kī āvāzeṅ ijlāim aur bair-elīm tak sunāī de rahī haiṅ. 9lekin go dīmon kī nahar ḵẖūn se surḵẖ ho gaī hai, tāham maiṅ us par mazīd musībat lāūṅgā. maiṅ sherbabar bhejūṅgā jo un par bhī dhāvā boleṅge jo moāb se bach nikle hoṅge aur un par bhī jo mulk meṅ pīchhe rah gae hoṅge.