Yashāyāh 11

masīh kī pur’amn saltanat

1yassī [a] yassī se murād hazrat dāūd kī nasal hai (yassī hazrat dāūd kā bāp thā). ke muḍh meṅ se koṁpal phūṭ niklegī, aur us kī bachī huī jaṛoṅ se shāḵẖ nikal kar phal lāegī. 2rabb kā rūh us par ṭhaharegā yānī hikmat aur samajh kā rūh, mashvarat aur quvvat kā rūh, irfān aur rabb ke ḵẖauf kā rūh. 3rabb kā ḵẖauf use azīz hogā. na vah dikhāve kī binā par faislā karegā, na sunī-sunāī bātoṅ kī binā par fatwā degā 4balki insāf se bebasoṅ kī adālat karegā aur ġairjānibdārī se mulk ke musībatazadoṅ kā faislā karegā. apne kalām kī lāṭhī se vah zamīn ko māregā aur apne muṅh kī phūṅk se bedīn ko halāk karegā. 5vah rāstbāzī ke paṭke aur vafādārī ke zerjāme se mulabbas rahegā.

6bheṛiyā us vaqt bheṛ ke bacche ke pās ṭhaharegā, aur chītā bheṛ ke bacche ke pās ārām karegā. bachhṛā, javān sherbabar aur moṭā-tāzā bail mil kar raheṅge, aur chhoṭā laṛkā unheṅ hāṅk kar saṁbhālegā . 7gāy rīchh ke sāth charegī, aur un ke bacche ek dūsre ke sāth ārām kareṅge. sherbabar bail kī tarah bhūsā khāegā. 8shīraḵẖwār bacchā nāg kī bāṁbī ke qarīb khelegā, aur javān bacchā apnā hāth zaharīle sāṁp ke bil meṅ ḍālegā.

9mere tamām muqaddas pahāṛ par na ġalat aur na tabāhakun kām kiyā jāegā. kyūṅki mulk rabb ke irfān se yūṅ māmūr hogā jis tarah samundar pānī se bharā rahatā hai. 10us din yassī [b] yassī se murād hazrat dāūd kī nasal hai (yassī hazrat dāūd kā bāp thā). kī jaṛ se phūṭī huī koṁpal ummatoṅ ke liye jhaṅḍā hogā. qaumeṅ us kī tālib hoṅgī, aur us kī sukūnatgāh jalālī hogī.

rabb apnī qaum ko vāpas lāegā

11us din rabb ek bār phir apnā hāth baṛhāegā tāki apnī qaum kā vah bachā khachā hissā dubārā hāsil kare jo asūr, shimālī aur junūbī misr, ethopiyā, ailām, bābal, hamāt aur sāhilī ilāqoṅ meṅ muntashir hogā. 12vah qaumoṅ ke liye jhaṅḍā gāṛ kar isrāīl ke jilāvatanoṅ ko ikaṭṭhā karegā. hāṅ, vah yahūdāh ke bikhre afrād ko duniyā ke chāroṅ konoṅ se lā kar jamā karegā. 13tab isrāīl kā hasad ḵẖatm ho jāegā, aur yahūdāh ke dushman nest-o-nābūd ho jāeṅge. na isrāīl yahūdāh se hasad karegā, na yahūdāh isrāīl se dushmanī rakhegā. 14phir donoṅ maġrib meṅ filistī mulk par jhapaṭ paṛeṅge aur mil kar mashriq ke bāshindoṅ ko lūṭ leṅge. adom aur moāb un ke qabze meṅ āeṅge, aur ammon un ke tābe ho jāegā. 15rabb bahar-e-qulzum ko ḵẖushk karegā aur sāth sāth daryā-e-furāt ke ūpar hāth hilā kar us par zordār havā chalāegā. tab daryā sāt aisī naharoṅ meṅ baṭ jāegā jo paidal hī pār kī jā sakeṅgī. 16ek aisā rāstā banegā jo rabb ke bache hue afrād ko asūr se isrāīl tak pahuṅchāegā, bilkul us rāste kī tarah jis ne isrāīliyoṅ ko misr se nikalte vaqt isrāīl tak pahuṅchāyā thā.

[a] yassī se murād hazrat dāūd kī nasal hai (yassī hazrat dāūd kā bāp thā).
[b] yassī se murād hazrat dāūd kī nasal hai (yassī hazrat dāūd kā bāp thā).