Ibrāniyoṅ 8

īsā hamārā imām-e-āzam

1jo kuchh ham kah rahe haiṅ us kī markzī bāt yah hai, hamārā ek aisā imām-e-āzam hai jo āsmān par jalālī ḵẖudā ke taḵẖt ke dahane hāth baiṭhā hai. 2vahāṅ vah maqdis meṅ ḵẖidmat kartā hai, us haqīqī mulāqāt ke ḵẖaime meṅ jise insānī hāthoṅ ne khaṛā nahīṅ kiyā balki rabb ne.

3har imām-e-āzam ko nazrāne aur qurbāniyāṅ pesh karne ke liye muqarrar kiyā jātā hai. is liye lāzim hai ki hamāre imām-e-āzam ke pās bhī kuchh ho jo vah pesh kar sake. 4agar yah duniyā meṅ hotā to imām-e-āzam na hotā, kyūṅki yahāṅ imām to haiṅ jo sharīat ke matlūbā nazrāne pesh karte haiṅ. 5jis maqdis meṅ vah ḵẖidmat karte haiṅ vah us maqdis kī sirf naqlī sūrat aur sāyā hai jo āsmān par hai. yahī vajah hai ki allāh ne mūsā ko mulāqāt kā ḵẖaimā banāne se pahale āgāh karke yah kahā, “ġaur kar ki sab kuchh ain us namūne ke mutābiq banāyā jāe jo maiṅ tujhe yahāṅ pahāṛ par dikhātā hūṅ.” 6lekin jo ḵẖidmat īsā ko mil gaī hai vah duniyā ke imāmoṅ kī ḵẖidmat se kahīṅ behatar hai, utnī behatar jitnā vah ahd jis kā darmiyānī īsā hai purāne ahd se behatar hai. kyūṅki yah ahd behatar vādoṅ kī bunyād par bāṅdhā gayā.

7agar pahalā ahd beilzām hotā to phir nae ahd kī zarūrat na hotī. 8lekin allāh ko apnī qaum par ilzām lagānā paṛā. us ne kahā,

“rabb kā farmān hai, aise din ā rahe haiṅ

jab maiṅ isrāīl ke gharāne aur yahūdāh ke gharāne se ek nayā ahd bāṅdhūṅgā.

9yah us ahd kī mānind nahīṅ hogā

jo maiṅ ne un ke bāpdādā ke sāth

us din bāṅdhā thā jab maiṅ un kā hāth pakaṛ kar

unheṅ misr se nikāl lāyā.

kyūṅki vah us ahd ke vafādār na rahe

jo maiṅ ne un se bāṅdhā thā.

natīje meṅ merī un ke liye fikr na rahī.

10ḵẖudāvand farmātā hai ki

jo nayā ahd maiṅ un dinoṅ ke bād un se bāṅdhūṅgā

us ke tahat maiṅ apnī sharīat

un ke zahanoṅ meṅ ḍāl kar

un ke diloṅ par kandā karūṅgā.

tab maiṅ hī un kā ḵẖudā hūṅgā, aur vah merī qaum hoṅge.

11us vaqt se is kī zarūrat nahīṅ rahegī

ki koī apne paṛosī yā bhāī ko tālīm de kar kahe,

‘rabb ko jān lo.’

kyūṅki chhoṭe se le kar baṛe tak

sab mujhe jāneṅge,

12kyūṅki maiṅ un kā qusūr muāf karūṅgā

aur āindā un ke gunāhoṅ ko yād nahīṅ karūṅgā.”

13in alfāz meṅ allāh ek nae ahd kā zikr kartā hai aur yūṅ purāne ahd ko matrūk qarār detā hai. aur jo matrūk aur purānā hai us kā anjām qarīb hī hai.