Ibrāniyoṅ 6

1is liye āeṅ, ham masīh ke bāre meṅ bunyādī tālīm ko chhoṛ kar balūġat kī taraf āge baṛheṅ. kyūṅki aisī bāteṅ duharāne kī zarūrat nahīṅ honī chāhie jin se īmān kī bunyād rakhī jātī hai, maslan maut tak pahuṅchāne vāle kām se taubā, 2baptismā kyā hai, kisī par hāth rakhne kī tālīm, murdoṅ ke jī uṭhne aur abdī sazā pāne kī tālīm. 3chunāṅche allāh kī marzī huī to ham yah chhoṛ kar āge baṛheṅge.

4nāmumkin hai ki unheṅ bahāl karke dubārā taubā tak pahuṅchāyā jāe jinhoṅ ne apnā īmān tark kar diyā ho. unheṅ to ek bār allāh ke nūr meṅ lāyā gayā thā, unhoṅ ne āsmān kī nemat chakh lī thī, vah rūh-ul-quds meṅ sharīk hue, 5unhoṅ ne allāh ke kalām kī bhalāī aur āne vāle zamāne kī kuvvatoṅ kā tajribā kiyā thā. 6aur phir unhoṅ ne apnā īmān tark kar diyā! aise logoṅ ko bahāl karke dubārā taubā tak pahuṅchānā nāmumkin hai. kyūṅki aisā karne se vah allāh ke farzand ko dubārā maslūb karke use lān-tān kā nishānā banā dete haiṅ.

7allāh us zamīn ko barkat detā hai jo apne par bār bār paṛne vālī bārish ko jazab karke aisī fasal paidā kartī hai jo khetībāṛī karne vāle ke liye mufīd ho. 8lekin agar vah sirf ḵẖārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā kare to vah bekār hai aur is ḵẖatre meṅ hai ki us par lānat bhejī jāe. anjām-e-kār us par kā sab kuchh jalāyā jāegā.

9azīzo, go ham is tarah kī bāteṅ kar rahe haiṅ to bhī hamārā etimād yah hai ki āp ko vah behtarīn barkateṅ hāsil haiṅ jo najāt se miltī haiṅ. 10kyūṅki allāh beinsāf nahīṅ hai. vah āp kā kām aur vah muhabbat nahīṅ bhūlegā jo āp ne us kā nām le kar zāhir kī jab āp ne muqaddasīn kī ḵẖidmat kī balki āj tak kar rahe haiṅ. 11lekin hamārī baṛī ḵẖwāhish yah hai ki āp meṅ se har ek isī sargarmī kā izhār āḵẖir tak kartā rahe tāki jin bātoṅ kī ummīd āp rakhte haiṅ vah vāqaī pūrī ho jāeṅ. 12ham nahīṅ chāhate ki āp sust ho jāeṅ balki yah ki āp un ke namūne par chaleṅ jo īmān aur sabr se vah kuchh mīrās meṅ pā rahe haiṅ jis kā vādā allāh ne kiyā hai.

allāh kā yaqīnī vādā

13jab allāh ne qasam khā kar ibrāhīm se vādā kiyā to us ne apnī hī qasam khā kar yah vādā kiyā. kyūṅki koī aur nahīṅ thā jo us se baṛā thā jis kī qasam vah khā saktā. 14us vaqt us ne kahā, “maiṅ zarūr tujhe bahut barkat dūṅgā, aur maiṅ yaqīnan tujhe kasrat kī aulād dūṅgā.” 15is par ibrāhīm ne sabr se intizār karke vah kuchh pāyā jis kā vādā kiyā gayā thā. 16qasam khāte vaqt log us kī qasam khāte haiṅ jo un se baṛā hotā hai. is tarah se qasam meṅ bayānakaradā bāt kī tasdīq bahs-mubāhasā kī har gunjāish ko ḵẖatm kar detī hai. 17allāh ne bhī qasam khā kar apne vāde kī tasdīq kī. kyūṅki vah apne vāde ke vārisoṅ par sāf zāhir karnā chāhatā thā ki us kā irādā kabhī nahīṅ badlegā. 18ġaraz, yah do bāteṅ qāim rahī haiṅ, allāh kā vādā aur us kī qasam. vah inheṅ na to badal saktā na in ke bāre meṅ jhūṭ bol saktā hai. yūṅ ham jinhoṅ ne us ke pās panāh lī hai baṛī tasallī pā kar us ummīd ko mazbūtī se thāme rakh sakte haiṅ jo hameṅ pesh kī gaī hai. 19kyūṅki yah ummīd hamārī jān ke liye mazbūt laṅgar hai. aur yah āsmānī bait-ul-muqaddas ke muqaddastarīn kamre ke parde meṅ se guzar kar us meṅ dāḵẖil hotī hai. 20vahīṅ īsā hamāre āge āge jā kar hamārī ḵẖātir dāḵẖil huā hai. yūṅ vah malik-e-sidq kī mānind hameshā ke liye imām-e-āzam ban gayā hai.