Ibrāniyoṅ 5

1ab insānoṅ meṅ se chune gae imām-e-āzam ko is liye muqarrar kiyā jātā hai ki vah un kī ḵẖātir allāh kī ḵẖidmat kare, tāki vah gunāhoṅ ke liye nazrāne aur qurbāniyāṅ pesh kare. 2vah jāhil aur āvārā logoṅ ke sāth narm sulūk rakh saktā hai, kyūṅki vah ḵẖud kaī tarah kī kamzoriyoṅ kī girift meṅ hotā hai. 3yahī vajah hai ki use na sirf qaum ke gunāhoṅ ke liye balki apne gunāhoṅ ke liye bhī qurbāniyāṅ chaṛhānī paṛtī haiṅ. 4aur koī apnī marzī se imām-e-āzam kā purvaqār uhdā nahīṅ apnā saktā balki lāzim hai ki allāh use hārūn kī tarah bulā kar muqarrar kare.

5isī tarah masīh ne bhī apnī marzī se imām-e-āzam kā purvaqār uhdā nahīṅ apnāyā. is ke bajāy allāh ne us se kahā,

“tū merā farzand hai,

āj maiṅ terā bāp ban gayā hūṅ.”

6kahīṅ aur vah farmātā hai,

“tū abad tak imām hai,

aisā imām jaisā malik-e-sidq thā.”

7jab īsā is duniyā meṅ thā to us ne zor zor se pukār kar aur āṅsū bahā bahā kar use duāeṅ aur iltijāeṅ pesh kīṅ [a] yānī imām kī haisiyat se us ne yah duāeṅ aur iltijāeṅ qurbānī ke taur par pesh kīṅ. jo use maut se bachā saktā thā. aur allāh ne us kī sunī, kyūṅki vah ḵẖudā kā ḵẖauf rakhtā thā. 8vah allāh kā farzand to thā, to bhī us ne dukh uṭhāne se faramāṁbardārī sīkhī. 9jab vah kāmiliyat tak pahuṅch gayā to vah un sab kī abdī najāt kā sarchashmā ban gayā jo us kī sunte haiṅ. 10us vaqt allāh ne use imām-e-āzam bhī mut’ayyin kiyā, aisā imām jaisā malik-e-sidq thā.

īmān tark karne kī bābat āgāhī

11is ke bāre meṅ ham mazīd bahut kuchh kah sakte haiṅ, lekin ham mushkil se is kī tashrīh kar sakte haiṅ, kyūṅki āp sunne meṅ sust haiṅ. 12asal meṅ itnā vaqt guzar gayā hai ki ab āp ko ḵẖud ustād honā chāhie. afsos ki aisā nahīṅ hai balki āp ko is kī zarūrat hai ki koī āp ke pās ā kar āp ko allāh ke kalām kī bunyādī sacchāiyāṅ dubārā sikhāe. āp ab tak ṭhos khānā nahīṅ khā sakte balki āp ko dūdh kī zarūrat hai. 13jo dūdh hī pī saktā hai vah abhī chhoṭā bacchā hī hai aur vah rāstbāzī kī tālīm se nāvāqif hai. 14is ke muqāble meṅ ṭhos khānā bāliġoṅ ke liye hai jinhoṅ ne apnī balūġat ke bāis apnī ruhānī basārat ko itnī tarbiyat dī hai ki vah bhalāī aur burāī meṅ imtiyāz kar sakte haiṅ.

[a] yānī imām kī haisiyat se us ne yah duāeṅ aur iltijāeṅ qurbānī ke taur par pesh kīṅ.