Ibrāniyoṅ 3

īsā mūsā se baṛā hai

1muqaddas bhāiyo, jo mere sāth allāh ke bulāe hue haiṅ! īsā par ġaur-o-ḵẖauz karte raheṅ jo allāh kā paiġambar aur imām-e-āzam hai aur jis kā ham iqrār karte haiṅ. 2īsā allāh kā vafādār rahā jab us ne use yah kām karne ke liye muqarrar kiyā, bilkul usī tarah jis tarah mūsā bhī vafādār rahā jab allāh kā pūrā ghar us ke sapurd kiyā gayā. 3ab jo kisī ghar ko tāmīr kartā hai use ghar kī nisbat ziyādā izzat hāsil hotī hai. isī tarah īsā mūsā kī nisbat ziyādā izzat ke lāiq hai. 4kyūṅki har ghar ko kisī na kisī ne banāyā hotā hai, jabki allāh ne sab kuchh banāyā hai. 5mūsā to allāh ke pūre ghar meṅ ḵẖidmat karte vaqt vafādār rahā, lekin mulāzim kī haisiyat se tāki kalām-e-muqaddas kī āne vālī bātoṅ kī gavāhī detā rahe. 6masīh farq hai. use farzand kī haisiyat se allāh ke ghar par iḵẖtiyār hai aur isī meṅ vah vafādār hai. ham us kā ghar haiṅ bashartīki ham apnī dilerī aur vah ummīd qāim rakheṅ jis par ham faḵẖar karte haiṅ.

allāh kī qaum ke liye sukūn

7chunāṅche jis tarah rūh-ul-quds farmātā hai,

“agar tum āj allāh kī āvāz suno

8to apne diloṅ ko saḵẖt na karo jis tarah baġāvat ke din huā,

jab tumhāre bāpdādā ne registān meṅ mujhe āzmāyā.

9vahāṅ unhoṅ ne mujhe āzmāyā aur jāṅchā,

hālāṅki unhoṅ ne chālīs sāl ke daurān mere kām dekh liye the.

10is liye mujhe us nasal par ġussā āyā aur maiṅ bolā,

‘un ke dil hameshā sahīh rāh se haṭ jāte haiṅ

aur vah merī rāheṅ nahīṅ jānte.’

11apne ġazab meṅ maiṅ ne qasam khāī,

‘yah kabhī us mulk meṅ dāḵẖil nahīṅ hoṅge

jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā’.”

12bhāiyo, ḵẖabardār raheṅ tāki āp meṅ se kisī kā dil burāī aur kufr se bhar kar zindā ḵẖudā se bargashtā na ho jāe. 13is ke bajāy jab tak allāh kā yah farmān qāim hai rozānā ek dūsre kī hausalāafzāī kareṅ tāki āp meṅ se koī bhī gunāh ke fareb meṅ ā kar saḵẖtdil na ho. 14bāt yah hai ki ham masīh ke sharīk-e-kār ban gae haiṅ. lekin is shart par ki ham āḵẖir tak vah etimād mazbūtī se qāim rakheṅ jo ham āġāz meṅ rakhte the.

15mazkūrā kalām meṅ likhā hai,

“agar tum āj allāh kī āvāz suno,

to apne diloṅ ko saḵẖt na karo jis tarah baġāvat ke din huā.”

16yah kaun the jo allāh kī āvāz sun kar bāġī ho gae? vah sab jinheṅ mūsā misr se nikāl kar bāhar lāyā. 17aur yah kaun the jin se allāh chālīs sāl ke daurān nārāz rahā? yah vahī the jinhoṅ ne gunāh kiyā aur jo registān meṅ mar kar vahīṅ paṛe rahe. 18allāh ne kin kī bābat qasam khāī ki “yah kabhī bhī us mulk meṅ dāḵẖil nahīṅ hoṅge jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā”? zāhir hai un kī bābat jinhoṅ ne nāfarmānī kī thī. 19chunāṅche ham dekhte haiṅ ki vah īmān na rakhne kī vajah se mulk meṅ dāḵẖil na ho sake.