Ibrāniyoṅ 2

najāt kī azmat

1is liye lāzim hai ki ham aur ziyādā dhyān se kalām-e-muqaddas kī un bātoṅ par ġaur kareṅ jo ham ne sun lī haiṅ. aisā na ho ki ham samundar par bekābū kashtī kī tarah bemaqsad idhar udhar phireṅ. 2jo kalām farishtoṅ ne insān tak pahuṅchāyā vah to anmiṭ rahā, aur jis se bhī koī ḵẖatā yā nāfarmānī huī use us kī munāsib sazā milī. 3to phir ham kis tarah allāh ke ġazab se bach sakeṅge agar ham masīh kī itnī azīm najāt ko nazar’andāz kareṅ? pahale ḵẖudāvand ne ḵẖud is najāt kā elān kiyā, aur phir aise logoṅ ne hamāre pās ā kar is kī tasdīq kī jinhoṅ ne use sun liyā thā. 4sāth sāth allāh ne is bāt kī is tarah tasdīq bhī kī ki us ne apnī marzī ke mutābiq ilāhī nishān, mojize aur muḵẖtalif qism ke zordār kām dikhāe aur rūh-ul-quds kī nemteṅ logoṅ meṅ taqsīm kīṅ.

masīh kā najātabaḵẖsh kām

5ab aisā hai ki allāh ne mazkūrā āne vālī duniyā ko farishtoṅ ke tābe nahīṅ kiyā. 6kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ kisī ne kahīṅ yah gavāhī dī hai,

“insān kaun hai ki tū use yād kare

yā ādamzād ki tū us kā ḵẖayāl rakhe?

7tū ne use thoṛī der ke liye farishtoṅ se kam kar diyā,

tū ne use jalāl aur izzat kā tāj pahanā kar

8sab kuchh us ke pāoṅ ke nīche kar diyā.”

jab likhā hai ki sab kuchh us ke pāoṅ tale kar diyā gayā to is kā matlab hai ki koī chīz na rahī jo us ke tābe nahīṅ hai. beshak hameṅ hāl meṅ yah bāt nazar nahīṅ ātī ki sab kuchh us ke tābe hai, 9lekin ham use zarūr dekhte haiṅ jo “thoṛī der ke liye farishtoṅ se kam” thā yānī īsā ko jise us kī maut tak ke dukh kī vajah se “jalāl aur izzat kā tāj” pahanāyā gayā hai. hāṅ, allāh ke fazl se us ne sab kī ḵẖātir maut bardāsht kī. 10kyūṅki yahī munāsib thā ki allāh jis ke liye aur jis ke vasīle se sab kuchh hai yūṅ bahut se beṭoṅ ko apne jalāl meṅ sharīk kare ki vah un kī najāt ke bānī īsā ko dukh uṭhāne se kāmiliyat tak pahuṅchāe.

11īsā aur vah jinheṅ vah maḵẖsūs-o-muqaddas kar detā hai donoṅ kā ek hī bāp hai. yahī vajah hai ki īsā yah kahane se nahīṅ sharmātā ki muqaddasīn mere bhāī haiṅ. 12maslan vah allāh se kahatā hai,

“maiṅ apne bhāiyoṅ ke sāmne tere nām kā elān karūṅgā,

jamāat ke darmiyān hī terī madahsarāī karūṅgā.”

13vah yah bhī kahatā hai, “maiṅ us par bharosā rakhūṅgā.” aur phir “maiṅ hāzir hūṅ, maiṅ aur vah bacche jo allāh ne mujhe die haiṅ.”

14ab chūṅki yah bacche gosht-post aur ḵẖūn ke insān haiṅ is liye īsā ḵẖud un kī mānind ban gayā aur un kī insānī fitrat meṅ sharīk huā. kyūṅki is tarah hī vah apnī maut se maut ke mālik iblīs ko tabāh kar sakā, 15aur is tarah hī vah unheṅ chhuṛā sakā jo maut se ḍarne kī vajah se zindagī bhar ġulāmī meṅ the. 16zāhir hai ki jin kī madad vah kartā hai vah farishte nahīṅ haiṅ balki ibrāhīm kī aulād. 17is liye lāzim thā ki vah har lihāz se apne bhāiyoṅ kī mānind ban jāe. sirf is se us kā yah maqsad pūrā ho sakā ki vah allāh ke huzūr ek rahīm aur vafādār imām-e-āzam ban kar logoṅ ke gunāhoṅ kā kaffārā de sake. 18aur ab vah un kī madad kar saktā hai jo āzmāish meṅ uljhe hue haiṅ, kyūṅki us kī bhī āzmāish huī aur us ne ḵẖud dukh uṭhāyā hai.