Ibrāniyoṅ 10

1mūsvī sharīat āne vālī acchhī aur aslī chīzoṅ kī sirf naqlī sūrat aur sāyā hai. yah un chīzoṅ kī aslī shakl nahīṅ hai. is liye yah unheṅ kabhī bhī kāmil nahīṅ kar saktī jo sāl-ba-sāl aur bār bār allāh ke huzūr ā kar vahī qurbāniyāṅ pesh karte rahate haiṅ. 2agar vah kāmil kar saktī to qurbāniyāṅ pesh karne kī zarūrat na rahatī. kyūṅki is sūrat meṅ parastār ek bār sadā ke liye pāk-sāf ho jāte aur unheṅ gunāhgār hone kā shaūr na rahatā. 3lekin is ke bajāy yah qurbāniyāṅ sāl-ba-sāl logoṅ ko un ke gunāhoṅ kī yād dilātī haiṅ. 4kyūṅki mumkin hī nahīṅ ki bail-bakroṅ kā ḵẖūn gunāhoṅ ko dūr kare.

5is liye masīh duniyā meṅ āte vaqt allāh se kahatā hai,

“tū qurbāniyāṅ aur nazreṅ nahīṅ chāhatā thā

lekin tū ne mere liye ek jism tayyār kiyā.

6bhasm hone vālī qurbāniyāṅ aur gunāh kī qurbāniyāṅ

tujhe pasand nahīṅ thīṅ.

7phir maiṅ bol uṭhā, ‘ai ḵẖudā, maiṅ hāzir hūṅ

tāki terī marzī pūrī karūṅ,

jis tarah mere bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ [a] lafzī tarjumā : kitāb ke tūmār meṅ. likhā hai’.”

8pahale masīh kahatā hai, “na tū qurbāniyāṅ, nazreṅ, bhasm hone vālī qurbāniyāṅ yā gunāh kī qurbāniyāṅ chāhatā thā, na unheṅ pasand kartā thā” go sharīat inheṅ pesh karne kā mutālbā kartī hai. 9phir vah farmātā hai, “maiṅ hāzir hūṅ tāki terī marzī pūrī karūṅ.” yūṅ vah pahalā nizām ḵẖatm karke us kī jagah dūsrā nizām qāim kartā hai. 10aur us kī marzī pūrī ho jāne se hameṅ īsā masīh ke badan ke vasīle se maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā gayā hai. kyūṅki use ek hī bār sadā ke liye hamāre liye qurbān kiyā gayā.

11har imām roz-ba-roz maqdis meṅ khaṛā apnī ḵẖidmat ke farāiz adā kartā hai. rozānā aur bār bār vah vahī qurbāniyāṅ pesh kartā rahatā hai jo kabhī bhī gunāhoṅ ko dūr nahīṅ kar saktīṅ. 12lekin masīh ne gunāhoṅ ko dūr karne ke liye ek hī qurbānī pesh kī, ek aisī qurbānī jis kā asar sadā ke liye rahegā. phir vah allāh ke dahane hāth baiṭh gayā. 13vahīṅ vah ab intizār kartā hai jab tak allāh us ke dushmanoṅ ko us ke pāoṅ kī chaukī na banā de. 14yūṅ us ne ek hī qurbānī se unheṅ sadā ke liye kāmil banā diyā hai jinheṅ muqaddas kiyā jā rahā hai.

15rūh-ul-quds bhī hameṅ is ke bāre meṅ gavāhī detā hai. pahale vah kahatā hai,

16“rabb farmātā hai ki

jo nayā ahd maiṅ un dinoṅ ke bād un se bāṅdhūṅgā

us ke tahat maiṅ apnī sharīat

un ke diloṅ meṅ ḍāl kar

un ke zahanoṅ par kandā karūṅgā.”

17phir vah kahatā hai, “us vaqt se maiṅ un ke gunāhoṅ aur burāiyoṅ ko yād nahīṅ karūṅgā.” 18aur jahāṅ in gunāhoṅ kī muāfī huī hai vahāṅ gunāhoṅ ko dūr karne kī qurbāniyoṅ kī zarūrat hī nahīṅ rahī.

āeṅ, ham allāh ke huzūr āeṅ

19chunāṅche bhāiyo, ab ham īsā ke ḵẖūn ke vasīle se pūre etimād ke sāth muqaddastarīn kamre meṅ dāḵẖil ho sakte haiṅ. 20apne badan kī qurbānī se īsā ne us kamre ke parde meṅ se guzarne kā ek nayā aur zindagībaḵẖsh rāstā khol diyā. 21hamārā ek azīm imām-e-āzam hai jo allāh ke ghar par muqarrar hai. 22is liye āeṅ, ham ḵẖulūsdilī aur īmān ke pūre etimād ke sāth allāh ke huzūr āeṅ. kyūṅki hamāre diloṅ par masīh kā ḵẖūn chhiṛkā gayā hai tāki hamāre mujrim zamīr sāf ho jāeṅ. nīz, hamāre badnoṅ ko pāk-sāf pānī se dhoyā gayā hai. 23āeṅ, ham mazbūtī se us ummīd ko thāme rakheṅ jis kā iqrār ham karte haiṅ. ham ḍāṅvāṅḍol na ho jāeṅ, kyūṅki jis ne is ummīd kā vādā kiyā hai vah vafādār hai. 24aur āeṅ, ham is par dhyān deṅ ki ham ek dūsre ko kis tarah muhabbat dikhāne aur nek kām karne par ubhār sakeṅ. 25ham bāham jamā hone se bāz na āeṅ, jis tarah bāz kī ādat ban gaī hai. is ke bajāy ham ek dūsre kī hausalāafzāī kareṅ, ḵẖāskar yah bāt madd-e-nazar rakh kar ki ḵẖudāvand kā din qarīb ā rahā hai.

26ḵẖabardār! agar ham sacchāī jān lene ke bād bhī jān-būjh kar gunāh karte raheṅ to masīh kī qurbānī in gunāhoṅ ko dūr nahīṅ kar sakegī. 27phir sirf allāh kī adālat kī haulnāk tavaqqo bāqī rahegī, us bhaṛaktī huī āg kī jo allāh ke muḵẖālifoṅ ko bhasm kar ḍālegī. 28jo mūsā kī sharīat radd kartā hai us par raham nahīṅ kiyā jā saktā balki agar do yā is se zāid log is jurm kī gavāhī deṅ to use sazā-e-maut dī jāe. 29to phir kyā ḵẖayāl hai, vah kitnī saḵẖt sazā ke lāiq hogā jis ne allāh ke farzand ko pāoṅ tale rauṅdā? jis ne ahd kā vah ḵẖūn haqīr jānā jis se use maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā gayā thā? aur jis ne fazl ke rūh kī beizzatī kī? 30kyūṅki ham use jānte haiṅ jis ne farmāyā, “intiqām lenā merā hī kām hai, maiṅ hī badlā lūṅgā.” us ne yah bhī kahā, “rabb apnī qaum kā insāf karegā.” 31yah ek haulnāk bāt hai agar zindā ḵẖudā hameṅ sazā dene ke liye pakṛe.

32īmān ke pahale din yād kareṅ jab allāh ne āp ko raushan kar diyā thā. us vaqt ke saḵẖt muqāble meṅ āp ko kaī tarah kā dukh sahanā paṛā, lekin āp sābitqadam rahe. 33kabhī kabhī āp kī beizzatī aur avām ke sāmne hī īzārasānī hotī thī, kabhī kabhī āp un ke sāthī the jin se aisā sulūk ho rahā thā. 34jinheṅ jel meṅ ḍālā gayā āp un ke dukh meṅ sharīk hue aur jab āp kā māl-o-matā lūṭā gayā to āp ne yah bāt ḵẖushī se bardāsht kī. kyūṅki āp jānte the ki vah māl ham se nahīṅ chhīn liyā gayā jo pahale kī nisbat kahīṅ behatar hai aur har sūrat meṅ qāim rahegā. 35chunāṅche apne is etimād ko hāth se jāne na deṅ kyūṅki is kā baṛā ajr milegā. 36lekin is ke liye āp ko sābitqadmī kī zarūrat hai tāki āp allāh kī marzī pūrī kar sakeṅ aur yūṅ āp ko vah kuchh mil jāe jis kā vādā us ne kiyā hai. 37kyūṅki kalām-e-muqaddas yah farmātā hai,

“thoṛī hī der bāqī hai

to āne vālā pahuṅchegā, vah der nahīṅ karegā.

38lekin merā rāstbāz īmān hī se jītā rahegā,

aur agar vah pīchhe haṭ jāe

to maiṅ us se ḵẖush nahīṅ hūṅgā.”

39lekin ham un meṅ se nahīṅ haiṅ jo pīchhe haṭ kar tabāh ho jāeṅge balki ham un meṅ se haiṅ jo īmān rakh kar najāt pāte haiṅ.

[a] lafzī tarjumā : kitāb ke tūmār meṅ.