Paidāish 44

gumshudā piyālā

1yūsuf ne ghar par muqarrar mulāzim ko hukm diyā, “un mardoṅ kī boriyāṅ ḵẖurāk se itnī bhar denā jitnī vah uṭhā kar le jā sakeṅ. har ek ke paise us kī apnī borī ke muṅh meṅ rakh denā. 2sab se chhoṭe bhāī kī borī meṅ na sirf paise balki mere chāṅdī ke piyāle ko bhī rakh denā.” mulāzim ne aisā hī kiyā.

3aglī subah jab pau phaṭne lagī to bhāiyoṅ ko un ke gadhoṅ samet ruḵẖsat kar diyā gayā. 4vah abhī shahar se nikal kar dūr nahīṅ gae the ki yūsuf ne apne ghar par muqarrar mulāzim se kahā, “jaldī karo. un ādmiyoṅ kā tāqqub karo. un ke pās pahuṅch kar yah pūchhnā, ‘āp ne hamārī bhalāī ke javāb meṅ ġalat kām kyūṅ kiyā hai? 5āp ne mere mālik kā chāṅdī kā piyālā kyūṅ churāyā hai? us se vah na sirf pīte haiṅ balki use ġaibdānī ke liye bhī istemāl karte haiṅ. āp ek nihāyat saṅgīn jurm ke murtaqib hue haiṅ’.”

6jab mulāzim bhāiyoṅ ke pās pahuṅchā to us ne un se yahī bāteṅ kīṅ. 7javāb meṅ unhoṅ ne kahā, “hamāre mālik aisī bāteṅ kyūṅ karte haiṅ? kabhī nahīṅ ho saktā ki āp ke ḵẖādim aisā kareṅ. 8āp to jānte haiṅ ki ham mulk-e-kan’ān se vah paise vāpas le āe jo hamārī boriyoṅ meṅ the. to phir ham kyūṅ āp ke mālik ke ghar se chāṅdī yā sonā churāeṅge? 9agar vah āp ke ḵẖādimoṅ meṅ se kisī ke pās mil jāe to use mār ḍālā jāe aur bāqī sab āp ke ġulām baneṅ.”

10mulāzim ne kahā, “ṭhīk hai aisā hī hogā. lekin sirf vahī merā ġulām banegā jis ne piyālā churāyā hai. bāqī sab āzād haiṅ.” 11unhoṅ ne jaldī se apnī boriyāṅ utār kar zamīn par rakh dīṅ. har ek ne apnī borī khol dī. 12mulāzim boriyoṅ kī talāshī lene lagā. vah baṛe bhāī se shurū karke āḵẖirkār sab se chhoṭe bhāī tak pahuṅch gayā. aur vahāṅ binyamīn kī borī meṅ se piyālā niklā. 13bhāiyoṅ ne yah dekh kar pareshānī meṅ apne libās phāṛ liye. vah apne gadhoṅ ko dubārā lād kar shahar vāpas ā gae.

14jab yahūdāh aur us ke bhāī yūsuf ke ghar pahuṅche to vah abhī vahīṅ thā. vah us ke sāmne muṅh ke bal gir gae. 15yūsuf ne kahā, “yah tum ne kyā kiyā hai? kyā tum nahīṅ jānte ki mujh jaisā ādmī ġaib kā ilm rakhtā hai?” 16yahūdāh ne kahā, “janāb-e-ālī, ham kyā kaheṅ? ab ham apne difā meṅ kyā kaheṅ? allāh hī ne hameṅ qusūrvār ṭhaharāyā hai. ab ham sab āp ke ġulām haiṅ, na sirf vah jis ke pās se piyālā mil gayā.” 17yūsuf ne kahā, “allāh na kare ki maiṅ aisā karūṅ, balki sirf vahī merā ġulām hogā jis ke pās piyālā thā. bāqī sab salāmatī se apne bāp ke pās vāpas chale jāeṅ.”

yahūdāh binyamīn kī sifārish kartā hai

18lekin yahūdāh ne yūsuf ke qarīb ā kar kahā, “mere mālik, meharbānī karke apne bande ko ek bāt karne kī ijāzat deṅ. mujh par ġussā na kareṅ agarchi āp misr ke bādshāh jaise haiṅ. 19janāb-e-ālī, āp ne ham se pūchhā, ‘kyā tumhārā bāp yā koī aur bhāī hai?’ 20ham ne javāb diyā, ‘hamārā bāp hai. vah būṛhā hai. hamārā ek chhoṭā bhāī bhī hai jo us vaqt paidā huā jab hamārā bāp umrrasīdā thā. us laṛke kā bhāī mar chukā hai. us kī māṅ ke sirf yah do beṭe paidā hue. ab vah akelā hī rah gayā hai. us kā bāp use shiddat se piyār kartā hai.’ 21janāb-e-ālī, āp ne hameṅ batāyā, ‘use yahāṅ le āo tāki maiṅ ḵẖud use dekh sakūṅ.’ 22ham ne javāb diyā, ‘yah laṛkā apne bāp ko chhoṛ nahīṅ saktā, varnā us kā bāp mar jāegā.’ 23phir āp ne kahā, ‘tum sirf is sūrat meṅ mere pās ā sakoge ki tumhārā sab se chhoṭā bhāī tumhāre sāth ho.’ 24jab ham apne bāp ke pās vāpas pahuṅche to ham ne unheṅ sab kuchh batāyā jo āp ne kahā thā. 25phir unhoṅ ne ham se kahā, ‘misr lauṭ kar kuchh ġallā ḵẖarīd lāo.’ 26ham ne javāb diyā, ‘ham jā nahīṅ sakte. ham sirf is sūrat meṅ us mard ke pās jā sakte haiṅ ki hamārā sab se chhoṭā bhāī sāth ho. ham tab hī jā sakte haiṅ jab vah bhī hamāre sāth chale.’ 27hamāre bāp ne ham se kahā, ‘tum jānte ho ki merī bīvī rāḵẖil se mere do beṭe paidā hue. 28pahalā mujhe chhoṛ chukā hai. kisī jaṅglī jānvar ne use phāṛ khāyā hogā, kyūṅki usī vaqt se maiṅ ne use nahīṅ dekhā. 29agar is ko bhī mujh se le jāne kī vajah se jānī nuqsān pahuṅche to tum mujh būṛhe ko ġam ke māre pātāl meṅ pahuṅchāoge’.”

30-31 yahūdāh ne apnī bāt jārī rakhī, “janāb-e-ālī, ab agar maiṅ apne bāp ke pās jāūṅ aur vah dekheṅ ki laṛkā mere sāth nahīṅ hai to vah dam toṛ deṅge. un kī zindagī is qadar laṛke kī zindagī par munhasir hai aur vah itne būṛhe haiṅ ki ham aisī harkat se unheṅ qabr tak pahuṅchā deṅge. 32na sirf yah balki maiṅ ne bāp se kahā, ‘maiṅ ḵẖud is kā zāmin hūṅgā. agar maiṅ ise salāmatī se vāpas na pahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagī ke āḵẖir tak qusūrvār ṭhaharūṅgā.’ 33ab apne ḵẖādim kī guzārish suneṅ. maiṅ yahāṅ rah kar is laṛke kī jagah ġulām ban jātā hūṅ, aur vah dūsre bhāiyoṅ ke sāth vāpas chalā jāe 34agar laṛkā mere sāth na huā to maiṅ kis tarah apne bāp ko muṅh dikhā saktā hūṅ? maiṅ bardāsht nahīṅ kar sakūṅgā ki vah is musībat meṅ mubtalā ho jāeṅ.”