Paidāish 36

esau kī aulād

1yah esau kī aulād kā nasabnāmā hai (esau ko adom bhī kahā jātā hai) :

2esau ne tīn kan’ānī aurtoṅ se shādī kī : hittī ādmī ailon kī beṭī adā se, anā kī beṭī uhalībāmā se jo hivvī ādmī sibaon kī navāsī thī 3aur ismāīl kī beṭī bāsmat se jo nabāyot kī bahan thī. 4adā kā ek beṭā ilīfaz aur bāsmat kā ek beṭā raūel paidā huā. 5uhalībāmā ke tīn beṭe paidā hue, yaūs, yālām aur qorah. esau ke yah tamām beṭe mulk-e-kan’ān meṅ paidā hue.

6bād meṅ esau dūsre mulk meṅ chalā gayā. us ne apnī bīviyoṅ, beṭe-beṭiyoṅ aur ghar ke rahane vāloṅ ko apne tamām maveshiyoṅ aur mulk-e-kan’ān meṅ hāsil kie hue māl samet apne sāth liyā. 7vah is vajah se chalā gayā ki donoṅ bhāiyoṅ ke pās itne revaṛ the ki charāne kī jagah kam paṛ gaī. 8chunāṅche esau pahāṛī ilāqe saīr meṅ ābād huā. esau kā dūsrā nām adom hai.

9yah esau yānī saīr ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād adomiyoṅ kā nasabnāmā hai : 10esau kī bīvī adā kā ek beṭā ilīfaz thā jabki us kī bīvī bāsmat kā ek beṭā raūel thā. 11ilīfaz ke beṭe temān, omar, safo, jātām, qanaz 12aur amālīq the. amālīq ilīfaz kī haram timnā kā beṭā thā. yah sab esau kī bīvī adā kī aulād meṅ shāmil the. 13raūel ke beṭe nahat, zārah, sammā aur mizzā the. yah sab esau kī bīvī bāsmat kī aulād meṅ shāmil the. 14esau kī bīvī uhalībāmā jo anā kī beṭī aur sibaon kī navāsī thī ke tīn beṭe yaūs, yālām aur qorah the.

15esau se muḵẖtalif qabīloṅ ke sardār nikle. us ke pahalauṭhe ilīfaz se yah qabāilī sardār nikle : temān, omar, safo, qanaz, 16qorah, jātām aur amālīq. yah sab esau kī bīvī adā kī aulād the. 17esau ke beṭe raūel se yah qabāilī sardār nikle : nahat, zārah, sammā aur mizzā. yah sab esau kī bīvī bāsmat kī aulād the. 18esau kī bīvī uhalībāmā yānī anā kī beṭī se yah qabāilī sardār nikle : yaūs, yālām aur qorah. 19yah tamām sardār esau kī aulād haiṅ.

saīr kī aulād

20mulk-e-adom ke kuchh bāshinde horī ādmī saīr kī aulād the. un ke nām lotān, sobal, sibaon, anā, 21dīson, esar aur dīsān the. saīr ke yah beṭe mulk-e-adom meṅ horī qabīloṅ ke sardār the.

22lotān horī aur hemām kā bāp thā. (timnā lotān kī bahan thī.) 23sobal ke beṭe alvān, mānahat, aibāl, safo aur onām the. 24sibaon ke beṭe ayyāh aur anā the. isī anā ko garm chashme mile jab vah biyābān meṅ apne bāp ke gadhe charā rahā thā. 25anā kā ek beṭā dīson aur ek beṭī uhalībāmā thī. 26dīson ke chār beṭe hamdān, ishbān, yitrān aur kirān the. 27esar ke tīn beṭe bilhān, zāvān aur aqān the. 28dīsān ke do beṭe ūz aur arān the.

29-30 yahī yānī lotān, sobal, sibaon, anā, dīson, esar aur dīsān saīr ke mulk meṅ horī qabāil ke sardār the.

adom ke bādshāh

31is se pahale ki isrāīliyoṅ kā koī bādshāh thā zail ke bādshāh yake bād dīgre mulk-e-adom meṅ hukūmat karte the :

32bālā bin baor jo dinhābā shahar kā thā mulk-e-adom kā pahalā bādshāh thā.

33us kī maut par yūbāb bin zārah jo busrā shahar kā thā.

34us kī maut par hushām jo temāniyoṅ ke mulk kā thā.

35us kī maut par hadad bin bidad jis ne mulk-e-moāb meṅ midiyāniyoṅ ko shikast dī. vah avīt kā thā.

36us kī maut par samlā jo masriqā kā thā.

37us kī maut par sāūl jo daryā-e-furāt par rahobot shahar kā thā.

38us kī maut par bāl-hanān bin akbor.

39us kī maut par hadad jo fāū shahar kā thā (bīvī kā nām mahetab-el bint matrid bint mezāhāb thā).

40-43 esau se adomī qabīloṅ ke yah sardār nikle : timnā, alvah, yatet, uhalībāmā, ailā, fīnon, qanaz, temān, mibsār, majadīel aur irām. adom ke sardāroṅ kī yah faharist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. esau un kā bāp hai.