Paidāish 18

mamre meṅ ibrāhīm ke tīn mehamān

1ek din rabb mamre ke daraḵẖtoṅ ke pās ibrāhīm par zāhir huā. ibrāhīm apne ḵẖaime ke darvāze par baiṭhā thā. din kī garmī urūj par thī. 2achānak us ne dekhā ki tīn mard mere sāmne khaṛe haiṅ. unheṅ dekhte hī vah ḵẖaime se un se milne ke liye dauṛā aur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā. 3us ne kahā, “mere āqā, agar mujh par āp ke karam kī nazar hai to āge na baṛheṅ balki kuchh der apne bande ke ghar ṭhahareṅ. 4agar ijāzat ho to maiṅ kuchh pānī le āūṅ tāki āp apne pāoṅ dho kar daraḵẖt ke sāy meṅ ārām kar sakeṅ. 5sāth sāth maiṅ āp ke liye thoṛā bahut khānā bhī le āūṅ tāki āp taqviyat pā kar āge baṛh sakeṅ. mujhe yah karne deṅ, kyūṅki āp apne ḵẖādim ke ghar ā gae haiṅ.” unhoṅ ne kahā, “ṭhīk hai. jo kuchh tū ne kahā hai vah kar.”

6ibrāhīm ḵẖaime kī taraf dauṛ kar sārā ke pās āyā aur kahā, “jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” 7phir vah bhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. un meṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛā chun liyā jis kā gosht narm thā aur use apne naukar ko diyā jis ne jaldī se use tayyār kiyā. 8jab khānā tayyār thā to ibrāhīm ne use le kar lassī aur dūdh ke sāth apne mehamānoṅ ke āge rakh diyā. vah khāne lage aur ibrāhīm un ke sāmne daraḵẖt ke sāy meṅ khaṛā rahā.

9unhoṅ ne pūchhā, “terī bīvī sārā kahāṅ hai?” us ne javāb diyā, “ḵẖaime meṅ.” 10rabb ne kahā, “ain ek sāl ke bād maiṅ vāpas āūṅgā to terī bīvī sārā ke beṭā hogā.”

sārā yah bāteṅ sun rahī thī, kyūṅki vah us ke pīchhe ḵẖaime ke darvāze ke pās thī. 11donoṅ miyāṅ-bīvī būṛhe ho chuke the aur sārā us umr se guzar chukī thī jis meṅ aurtoṅ ke bacche paidā hote haiṅ. 12is liye sārā andar hī andar haṅs paṛī aur sochā, “yah kaise ho saktā hai? kyā jab maiṅ buṛhāpe ke bāis ghise phaṭe libās kī mānind hūṅ to javānī ke joban kā lutf uṭhāūṅ? aur merā shauhar bhī būṛhā hai.”

13rabb ne ibrāhīm se pūchhā, “sārā kyūṅ haṅs rahī hai? vah kyūṅ kah rahī hai, ‘kyā vāqaī mere hāṅ bacchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’ 14kyā rabb ke liye koī kām nāmumkin hai? ek sāl ke bād muqarrarā vaqt par maiṅ vāpas āūṅgā to sārā ke beṭā hogā.” 15sārā ḍar gaī. us ne jhūṭ bol kar inkār kiyā, “maiṅ nahīṅ haṅs rahī thī.”

rabb ne kahā, “nahīṅ, tū zarūr haṅs rahī thī.”

ibrāhīm sadūm ke liye minnat kartā hai

16phir mehamān uṭh kar ravānā hue aur nīche vādī meṅ sadūm kī taraf dekhne lage. ibrāhīm unheṅ ruḵẖsat karne ke liye sāth sāth chal rahā thā. 17rabb ne dil meṅ kahā, “maiṅ ibrāhīm se vah kām kyūṅ chhupāe rakhūṅ jo maiṅ karne ke liye jā rahā hūṅ? 18isī se to ek baṛī aur tāqatvar qaum niklegī aur isī se maiṅ duniyā kī tamām qaumoṅ ko barkat dūṅgā. 19usī ko maiṅ ne chun liyā hai tāki vah apnī aulād aur apne bād ke gharāne ko hukm de ki vah rabb kī rāh par chal kar rāst aur munsifānā kām kareṅ. kyūṅki agar vah aisā kareṅ to rabb ibrāhīm ke sāth apnā vādā pūrā karegā.”

20phir rabb ne kahā, “sadūm aur amūrā kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho rahī haiṅ, kyūṅki un se bahut saṅgīn gunāh sarzad ho rahe haiṅ. 21maiṅ utar kar un ke pās jā rahā hūṅ tāki dekhūṅ ki yah ilzām vāqaī sacch haiṅ jo mujh tak pahuṅche haiṅ. agar aisā nahīṅ hai to maiṅ yah jānnā chāhatā hūṅ.”

22dūsre do ādmī sadūm kī taraf āge nikle jabki rabb kuchh der ke liye vahāṅ ṭhaharā rahā aur ibrāhīm us ke sāmne khaṛā rahā. 23phir us ne qarīb ā kar us se bāt kī, “kyā tū rāstbāzoṅ ko bhī sharīroṅ ke sāth tabāh kar degā? 24ho saktā hai ki shahar meṅ 50 rāstbāz hoṅ. kyā tū phir bhī shahar ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā? 25yah kaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ ko sharīroṅ ke sāth halāk kar de? yah to nāmumkin hai ki tū nek aur sharīr logoṅ se ek jaisā sulūk kare. kyā lāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsif insāf kare?”

26rabb ne javāb diyā, “agar mujhe shahar meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.”

27ibrāhīm ne kahā, “maiṅ muāfī chāhatā hūṅ ki maiṅ ne rabb se bāt karne kī jur’at kī hai agarchi maiṅ ḵẖāk aur rākh hī hūṅ. 28lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahar ko tabāh karegā?” us ne kahā, “agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅgā.”

29ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” rabb ne kahā, “maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.”

30ibrāhīm ne kahā, “rabb ġussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. shāyad vahāṅ sirf 30 hoṅ.” us ne javāb diyā, “phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.”

31ibrāhīm ne kahā, “maiṅ muāfī chāhatā hūṅ ki maiṅ ne rabb se bāt karne kī jur’at kī hai. agar sirf 20 pāe jāeṅ?” rabb ne kahā, “maiṅ 20 ke sabab se shahar ko barbād karne se bāz rahūṅgā.”

32ibrāhīm ne ek āḵẖirī dafā bāt kī, “rabb ġussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” rabb ne kahā, “maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅgā.”

33in bātoṅ ke bād rabb chalā gayā aur ibrāhīm apne ghar ko lauṭ āyā.