Galātiyoṅ 6

ek dūsre ke bojh uṭhānā

1bhāiyo, agar koī kisī gunāh meṅ phaṅs jāe to āp jo ruhānī haiṅ use narmdilī se bahāl kareṅ. lekin apnā bhī ḵẖayāl rakheṅ, aisā na ho ki āp bhī āzmāish meṅ phaṅs jāeṅ. 2bojh uṭhāne meṅ ek dūsre kī madad kareṅ, kyūṅki is tarah āp masīh kī sharīat pūrī kareṅge. 3jo samajhtā hai ki maiṅ kuchh hūṅ agarchi vah haqīqat meṅ kuchh bhī nahīṅ hai to vah apne āp ko fareb de rahā hai. 4har ek apnā zātī amal parkhe. phir hī use apne āp par faḵẖar kā mauqā hogā aur use kisī dūsre se apnā muvāznā karne kī zarūrat na hogī. 5kyūṅki har ek ko apnā zātī bojh uṭhānā hotā hai.

6jise kalām-e-muqaddas kī tālīm dī jātī hai us kā farz hai ki vah apne ustād ko apnī tamām acchhī chīzoṅ meṅ sharīk kare.

7fareb mat khānā, allāh insān ko apnā mazāq uṛāne nahīṅ detā. jo kuchh bhī insān botā hai usī kī fasal vah kāṭegā. 8jo apnī purānī fitrat ke khet meṅ bīj boe vah halākat kī fasal kāṭegā. aur jo rūh-ul-quds ke khet meṅ bīj boe vah abdī zindagī kī fasal kāṭegā. 9chunāṅche ham nek kām karne meṅ bedil na ho jāeṅ, kyūṅki ham muqarrarā vaqt par zarūr fasal kī kaṭāī kareṅge. shart sirf yah hai ki ham hathiyār na ḍāleṅ. 10is liye āeṅ, jitnā vaqt rah gayā hai sab ke sāth nekī kareṅ, ḵẖāskar un ke sāth jo īmān meṅ hamāre bhāī aur bahaneṅ haiṅ.

āḵẖirī āgāhī aur salām

11dekheṅ, maiṅ baṛe baṛe hurūf ke sāth apne hāth se āp ko likh rahā hūṅ. 12yah log jo duniyā ke sāmne izzat hāsil karnā chāhate haiṅ āp ko ḵẖatnā karvāne par majbūr karnā chāhate haiṅ. maqsad un kā sirf ek hī hai, ki vah us īzārasānī se bache raheṅ jo tab paidā hotī hai jab ham masīh kī salībī maut kī tālīm dete haiṅ. 13bāt yah hai ki jo apnā ḵẖatnā karāte haiṅ vah ḵẖud sharīat kī pairvī nahīṅ karte. to bhī yah chāhate haiṅ ki āp apnā ḵẖatnā karvāeṅ tāki āp ke jism kī hālat par vah faḵẖar kar sakeṅ. 14lekin ḵẖudā kare ki maiṅ sirf hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kī salīb hī par faḵẖar karūṅ. kyūṅki us kī salīb se duniyā mere liye maslūb huī hai aur maiṅ duniyā ke liye. 15ḵẖatnā karvāne yā na karvāne se koī farq nahīṅ paṛtā balki farq us vaqt paṛtā hai jab allāh kisī ko nae sire se ḵẖalaq kartā hai. 16jo bhī is usūl par amal karte haiṅ unheṅ salāmatī aur raham hāsil hotā rahe, unheṅ bhī aur allāh kī qaum isrāīl ko bhī.

17āindā koī mujhe taklīf na de, kyūṅki mere jism par zaḵẖmoṅ ke nishān zāhir karte haiṅ ki maiṅ īsā kā ġulām hūṅ.

18bhāiyo, hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kā fazl āp kī rūh ke sāth hotā rahe. āmīn.