Galātiyoṅ 3

sharīat yā īmān

1nāsamajh galtiyo! kis ne āp par jādū kar diyā? āp kī āṅkhoṅ ke sāmne hī īsā masīh aur us kī salībī maut ko sāf sāf pesh kiyā gayā. 2mujhe ek bāt batāeṅ, kyā āp ko sharīat kī pairvī karne se rūh-ul-quds milā? hargiz nahīṅ! vah āp ko us vaqt milā jab āp masīh ke bāre meṅ paiġām sun kar us par īmān lāe. 3kyā āp itne besamajh haiṅ? āp kī ruhānī zindagī rūh-ul-quds ke vasīle se shurū huī. to ab āp yah kām apnī insānī koshishoṅ se kis tarah takmīl tak pahuṅchānā chāhate haiṅ? 4āp ko kaī tarah ke tajribe hāsil hue haiṅ. kyā yah sab befāidā the? yaqīnan yah befāidā nahīṅ the. 5kyā allāh is liye āp ko apnā rūh detā aur āp ke darmiyān mojize kartā hai ki āp sharīat kī pairvī karte haiṅ? hargiz nahīṅ, balki is liye ki āp masīh ke bāre meṅ paiġām sun kar īmān lāe haiṅ.

6ibrāhīm kī misāl leṅ. us ne allāh par bharosā kiyā aur is binā par allāh ne use rāstbāz qarār diyā. 7to phir āp ko jān lenā chāhie ki ibrāhīm kī haqīqī aulād vah log haiṅ jo īmān rakhte haiṅ. 8kalām-e-muqaddas ne is bāt kī peshgoī kī ki allāh ġairyahūdiyoṅ ko īmān ke zarīe rāstbāz qarār degā. yūṅ us ne ibrāhīm ko yah ḵẖushḵẖabarī sunāī, “tamām qaumeṅ tujh se barkat pāeṅgī.” 9ibrāhīm īmān lāyā, is liye use barkat milī. isī tarah sab ko īmān lāne par ibrāhīm kī sī barkat miltī hai.

10lekin jo bhī is par takiyā karte haiṅ ki hameṅ sharīat kī pairvī karne se rāstbāz qarār diyā jāegā un par allāh kī lānat hai. kyūṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai, “har ek par lānat jo sharīat kī kitāb kī tamām bāteṅ qāim na rakhe, na in par amal kare.” 11yah bāt to sāf hai ki allāh kisī ko bhī sharīat kī pairvī karne kī binā par rāstbāz nahīṅ ṭhaharātā, kyūṅki kalām-e-muqaddas ke mutābiq rāstbāz īmān hī se jītā rahegā. 12īmān kī yah rāh sharīat kī rāh se bilkul farq hai jo kahatī hai, “jo yūṅ karegā vah jītā rahegā.”

13lekin masīh ne hamārā fidyā de kar hameṅ sharīat kī lānat se āzād kar diyā hai. yah us ne is tarah kiyā ki vah hamārī ḵẖātir ḵẖud lānat banā. kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “jise bhī daraḵẖt se laṭkāyā gayā hai us par allāh kī lānat hai.” 14is kā maqsad yah thā ki jo barkat ibrāhīm ko hāsil huī vah masīh ke vasīle se ġairyahūdiyoṅ ko bhī mile aur yūṅ ham īmān lā kar vādā kiyā huā rūh pāeṅ.

sharīat aur vādā

15bhāiyo, insānī zindagī kī ek misāl leṅ. jab do pārṭiyāṅ kisī muāmale meṅ muttafiq ho kar muāhadā kartī haiṅ to koī is muāhade ko mansūḵẖ yā is meṅ izāfā nahīṅ kar saktā. 16ab ġaur kareṅ ki allāh ne apne vāde ibrāhīm aur us kī aulād se hī kie. lekin jo lafz ibrānī meṅ aulād ke liye istemāl huā hai is se murād bahut se afrād nahīṅ balki ek fard hai aur vah hai masīh. 17kahane se murād yah hai ki allāh ne ibrāhīm se ahd bāṅdh kar use qāim rakhne kā vādā kiyā. sharīat jo 430 sāl ke bād dī gaī is ahd ko radd karke allāh kā vādā mansūḵẖ nahīṅ kar saktī. 18kyūṅki agar ibrāhīm kī mīrās sharīat kī pairvī karne se miltī to phir vah allāh ke vāde par munhasir na hotī. lekin aisā nahīṅ thā. allāh ne ise apne vāde kī binā par ibrāhīm ko de diyā.

19to phir sharīat kā kyā maqsad thā? use is liye vāde ke ilāvā diyā gayā tāki logoṅ ke gunāhoṅ ko zāhir kare. aur use us vaqt tak qāim rahanā thā jab tak ibrāhīm kī vah aulād na ā jātī jis se vādā kiyā gayā thā. allāh ne apnī sharīat farishtoṅ ke vasīle se mūsā ko de dī jo allāh aur logoṅ ke bīch meṅ darmiyānī rahā. 20ab darmiyānī us vaqt zarūrī hotā hai jab ek se ziyādā pārṭiyoṅ meṅ ittifāq karāne kī zarūrat hai. lekin allāh jo ek hī hai us ne darmiyānī istemāl na kiyā jab us ne ibrāhīm se vādā kiyā.

sharīat kā maqsad

21to kyā is kā matlab yah hai ki sharīat allāh ke vādoṅ ke ḵẖilāf hai? hargiz nahīṅ! agar insān ko aisī sharīat milī hotī jo zindagī dilā saktī to phir sab us kī pairvī karne se rāstbāz ṭhaharte. 22lekin kalām-e-muqaddas farmātā hai ki pūrī duniyā gunāh ke qabze meṅ hai. chunāṅche hameṅ allāh kā vādā sirf īsā masīh par īmān lāne se hāsil hotā hai.

23is se pahale ki īmān kī yah rāh dastayāb huī sharīat ne hameṅ qaid karke mahfūz rakhā thā. is qaid meṅ ham us vaqt tak rahe jab tak īmān kī rāh zāhir nahīṅ huī thī. 24yūṅ sharīat ko hamārī tarbiyat karne kī zimmādārī dī gaī. use hameṅ masīh tak pahuṅchānā thā tāki hameṅ īmān se rāstbāz qarār diyā jāe. 25ab chūṅki īmān kī rāh ā gaī hai is liye ham sharīat kī tarbiyat ke tahat nahīṅ rahe.

26kyūṅki masīh īsā par īmān lāne se āp sab allāh ke farzand ban gae haiṅ. 27āp meṅ se jitnoṅ ko masīh meṅ baptismā diyā gayā unhoṅ ne masīh ko pahan liyā. 28ab na yahūdī rahā na ġairyahūdī, na ġulām rahā na āzād, na mard rahā na aurat. masīh īsā meṅ āp sab ke sab ek haiṅ. 29shart yah hai ki āp masīh ke hoṅ. tab āp ibrāhīm kī aulād aur un chīzoṅ ke vāris haiṅ jin kā vādā allāh ne kiyā hai.