Galātiyoṅ 2

paulus aur dīgar rasūl

1chaudah sāl ke bād maiṅ dubārā yarūshalam gayā. is dafā barnabās sāth thā. maiṅ titus ko bhī sāth le kar gayā. 2maiṅ ek mukāshfe kī vajah se gayā jo allāh ne mujh par zāhir kiyā thā. merī alāhidagī meṅ un ke sāth mīṭiṅg huī jo asar-o-rasūḵẖ rakhte haiṅ. is meṅ maiṅ ne unheṅ vah ḵẖushḵẖabarī pesh kī jo maiṅ ġairyahūdiyoṅ ko sunātā hūṅ. maiṅ nahīṅ chāhatā thā ki jo dauṛ maiṅ dauṛ rahā hūṅ yā māzī meṅ dauṛā thā vah āḵẖirkār befāidā nikle. 3us vaqt vah yahāṅ tak mere haq meṅ the ki unhoṅ ne titus ko bhī apnā ḵẖatnā karvāne par majbūr nahīṅ kiyā, agarchi vah ġairyahūdī hai. 4aur chand yahī chāhate the. lekin yah jhūṭe bhāī the jo chupke se andar ghus āe the tāki jāsūs ban kar hamārī us āzādī ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kar leṅ jo hameṅ masīh meṅ milī hai. yah hameṅ ġulām banānā chāhate the, 5lekin ham ne lamhā bhar un kī bāt na mānī aur na un ke tābe hue tāki allāh kī ḵẖushḵẖabarī kī sacchāī āp ke darmiyān qāim rahe.

6aur jo rāhanumā samjhe jāte the unhoṅ ne merī bāt meṅ koī izāfā na kiyā. (asal meṅ mujhe koī parvā nahīṅ ki un kā asar-o-rasūḵẖ thā ki nahīṅ. allāh to insān kī zāhirī hālat kā lihāz nahīṅ kartā.) 7ba-har-hāl unhoṅ ne dekhā ki allāh ne mujhe ġairyahūdiyoṅ ko masīh kī ḵẖushḵẖabarī sunāne kī zimmādārī dī thī, bilkul usī tarah jis tarah us ne patras ko yahūdiyoṅ ko yah paiġām sunāne kī zimmādārī dī thī. 8kyūṅki jo kām allāh yahūdiyoṅ ke rasūl patras kī ḵẖidmat ke vasīle se kar rahā thā vahī kām vah mere vasīle se bhī kar rahā thā, jo ġairyahūdiyoṅ kā rasūl hūṅ. 9yāqūb, patras aur yūhannā ko jamāat ke satūn mānā jātā thā. jab unhoṅ ne pahachān liyā ki allāh ne is nāte se mujhe ḵẖās fazl diyā hai to unhoṅ ne mujh se aur barnabās se dahanā hāth milā kar is kā izhār kiyā ki vah hamāre sāth haiṅ. yūṅ ham muttafiq hue ki barnabās aur maiṅ ġairyahūdiyoṅ meṅ ḵẖidmat kareṅge aur vah yahūdiyoṅ meṅ. 10unhoṅ ne sirf ek bāt par zor diyā ki ham zarūratmandoṅ ko yād rakheṅ, vahī bāt jise maiṅ hameshā karne ke liye koshāṅ rahā hūṅ.

antākiyā meṅ paulus patras ko malāmat kartā hai

11lekin jab patras antākiyā shahar āyā to maiṅ ne rū-ba-rū us kī muḵẖālafat kī, kyūṅki vah apne ravayye ke sabab se mujrim ṭhaharā. 12jab vah āyā to pahale vah ġairyahūdī īmāndāroṅ ke sāth khānā khātā rahā. lekin phir yāqūb ke kuchh azīz āe. usī vaqt patras pīchhe haṭ kar ġairyahūdiyoṅ se alag huā, kyūṅki vah un se ḍartā thā jo ġairyahūdiyoṅ kā ḵẖatnā karvāne ke haq meṅ the. 13bāqī yahūdī bhī is riyākārī meṅ shāmil hue, yahāṅ tak ki barnabās ko bhī un kī riyākārī se bahakāyā gayā. 14jab maiṅ ne dekhā ki vah us sīdhī rāh par nahīṅ chal rahe haiṅ jo allāh kī ḵẖushḵẖabarī kī sacchāī par mabnī hai to maiṅ ne sab ke sāmne patras se kahā, “āp yahūdī haiṅ. lekin āp ġairyahūdī kī tarah zindagī guzār rahe haiṅ, yahūdī kī tarah nahīṅ. to phir yah kaisī bāt hai ki āp ġairyahūdiyoṅ ko yahūdī rivāyāt kī pairvī karne par majbūr kar rahe haiṅ?”

yahūdī aur ġairyahūdī īmān se najāt pāte haiṅ

15beshak ham paidāishī yahūdī haiṅ aur ‘ġairyahūdī gunāhgār’ nahīṅ haiṅ. 16lekin ham jānte haiṅ ki insān ko sharīat kī pairvī karne se rāstbāz nahīṅ ṭhaharāyā jātā balki īsā masīh par īmān lāne se. ham bhī masīh īsā par īmān lāe haiṅ tāki hameṅ rāstbāz qarār diyā jāe, sharīat kī pairvī karne se nahīṅ balki masīh par īmān lāne se. kyūṅki sharīat kī pairvī karne se kisī ko bhī rāstbāz qarār nahīṅ diyā jāegā. 17lekin agar masīh meṅ rāstbāz ṭhaharne kī koshish karte karte ham ḵẖud gunāhgār sābit ho jāeṅ to kyā is kā matlab yah hai ki masīh gunāh kā ḵẖādim hai? hargiz nahīṅ! 18agar maiṅ sharīat ke us nizām ko dubārā tāmīr karūṅ jo maiṅ ne ḍhā diyā to phir maiṅ zāhir kartā hūṅ ki maiṅ mujrim hūṅ. 19kyūṅki jahāṅ tak sharīat kā tālluq hai maiṅ murdā hūṅ. mujhe sharīat hī se mārā gayā hai tāki allāh ke liye jī sakūṅ. mujhe masīh ke sāth maslūb kiyā gayā 20aur yūṅ maiṅ ḵẖud zindā na rahā balki masīh mujh meṅ zindā hai. ab jo zindagī maiṅ is jism meṅ guzārtā hūṅ vah allāh ke farzand par īmān lāne se guzārtā hūṅ. usī ne mujh se muhabbat rakh kar mere liye apnī jān dī. 21maiṅ allāh kā fazl radd karne se inkār kartā hūṅ. kyūṅki agar kisī ko sharīat kī pairvī karne se rāstbāz ṭhaharāyā jā saktā to is kā matlab yah hotā ki masīh kā marnā abas thā.