Galātiyoṅ 1

1yah ḵẖat paulus rasūl kī taraf se hai. mujhe na kisī guroh ne muqarrar kiyā na kisī shaḵẖs ne balki īsā masīh aur ḵẖudā bāp ne jis ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. 2tamām bhāī bhī jo mere sāth haiṅ galtiyā kī jamāatoṅ ko salām kahate haiṅ.

3ḵẖudā hamārā bāp aur ḵẖudāvand īsā masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.

4masīh vahī hai jis ne apne āp ko hamāre gunāhoṅ kī ḵẖātir qurbān kar diyā aur yūṅ hameṅ is maujūdā sharīr jahān se bachā liyā hai, kyūṅki yah allāh hamāre bāp kī marzī thī. 5usī kā jalāl abad tak hotā rahe! āmīn.

ek hī ḵẖushḵẖabarī

6maiṅ hairān hūṅ! āp itnī jaldī se use tark kar rahe haiṅ jis ne masīh ke fazl se āp ko bulāyā. aur ab āp ek farq qism kī “ḵẖushḵẖabarī” ke pīchhe lag gae haiṅ. 7asal meṅ yah allāh kī ḵẖushḵẖabarī hai nahīṅ. bas kuchh log āp ko uljhan meṅ ḍāl kar masīh kī ḵẖushḵẖabarī meṅ tabdīlī lānā chāhate haiṅ. 8ham ne to aslī ḵẖushḵẖabarī sunāī aur jo is se farq paiġām sunātā hai us par lānat, ḵẖwāh ham ḵẖud aisā kareṅ ḵẖwāh āsmān se koī farishtā utar kar yah ġalat paiġām sunāe. 9ham yah pahale bayān kar chuke haiṅ aur ab maiṅ dubārā kahatā hūṅ ki agar koī āp ko aisī “ḵẖushḵẖabarī” sunāe jo us se farq hai jise āp ne qabūl kiyā hai to us par lānat!

10kyā maiṅ is meṅ yah koshish kar rahā hūṅ ki log mujhe qabūl kareṅ? hargiz nahīṅ! maiṅ chāhatā hūṅ ki allāh mujhe qabūl kare. kyā merī koshish yah hai ki maiṅ logoṅ ko pasand āūṅ? agar maiṅ ab tak aisā kartā to masīh kā ḵẖādim na hotā.

paulus kis tarah rasūl ban gayā

11bhāiyo, maiṅ chāhatā hūṅ ki āp jān leṅ ki jo ḵẖushḵẖabarī maiṅ ne sunāī vah insān kī taraf se nahīṅ hai. 12na mujhe yah paiġām kisī insān se milā, na yah mujhe kisī ne sikhāyā hai balki īsā masīh ne ḵẖud mujh par yah paiġām zāhir kiyā.

13āp ne to ḵẖud sun liyā hai ki maiṅ us vaqt kis tarah zindagī guzārtā thā jab yahūdī mazhab kā pairokār thā. us vaqt maiṅ ne kitne josh aur shiddat se allāh kī jamāat ko īzā pahuṅchāī. merī pūrī koshish yah thī ki yah jamāat ḵẖatm ho jāe. 14yahūdī mazhab ke lihāz se maiṅ aksar dīgar hamumr yahūdiyoṅ par sabqat le gayā thā. hāṅ, maiṅ apne bāpdādā kī rivāyatoṅ kī pairvī meṅ hadd se ziyādā sargarm thā.

15lekin allāh ne apne fazl se mujhe paidā hone se peshtar hī chun kar apnī ḵẖidmat karne ke liye bulāyā. aur jab us ne apnī marzī se 16apne farzand ko mujh par zāhir kiyā tāki maiṅ us ke bāre meṅ ġairyahūdiyoṅ ko ḵẖushḵẖabarī sunāūṅ to maiṅ ne kisī bhī shaḵẖs se mashvrā na liyā. 17us vaqt maiṅ yarūshalam bhī na gayā tāki un se milūṅ jo mujh se pahale rasūl the balki maiṅ sīdhā arab chalā gayā aur bād meṅ damishq vāpas āyā. 18is ke tīn sāl bād hī maiṅ patras se shanāsā hone ke liye yarūshalam gayā. vahāṅ maiṅ paṅdrah din us ke sāth rahā. 19is ke ilāvā maiṅ ne sirf ḵẖudāvand ke bhāī yāqūb ko dekhā, kisī aur rasūl ko nahīṅ.

20jo kuchh maiṅ likh rahā hūṅ allāh gavāh hai ki vah sahīh hai. maiṅ jhūṭ nahīṅ bol rahā.

21bād meṅ maiṅ mulk-e-shām aur kilikiyā chalā gayā. 22us vaqt sūbā yahūdiyā meṅ masīh kī jamāateṅ mujhe nahīṅ jāntī thīṅ. 23un tak sirf yah ḵẖabar pahuṅchī thī ki jo ādmī pahale hameṅ īzā pahuṅchā rahā thā vah ab ḵẖud us īmān kī ḵẖushḵẖabarī sunātā hai jise vah pahale ḵẖatm karnā chāhatā thā. 24yah sun kar unhoṅ ne merī vajah se allāh kī tamjīd kī.