Hizqīel 6

bulandiyoṅ par mazāroṅ kī adālat

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, isrāīl ke pahāṛoṅ kī taraf ruḵẖ karke un ke ḵẖilāf nubuvvat kar. 3un se kah, ‘ai isrāīl ke pahāṛo, rabb qādir-e-mutlaq kā kalām suno! vah pahāṛoṅ, pahāṛiyoṅ, ghāṭiyoṅ aur vādiyoṅ ke bāre meṅ farmātā hai ki maiṅ tumhāre ḵẖilāf talvār chalā kar tumhārī ūṅchī jagahoṅ ke mandiroṅ ko tabāh kar dūṅgā. 4jin qurbānagāhoṅ par tum apne jānvar aur baḵẖūr jalāte ho vah ḍhā dūṅgā. maiṅ tere maqtūloṅ ko tere butoṅ ke sāmne hī phaiṅk chhoṛūṅgā. 5maiṅ isrāīliyoṅ kī lāshoṅ ko un ke butoṅ ke sāmne ḍāl kar tumhārī haḍḍiyoṅ ko tumhārī qurbānagāhoṅ ke ird-gird bikher dūṅgā. 6jahāṅ bhī tum ābād ho vahāṅ tumhāre shahar khaṅḍarāt ban jāeṅge aur ūṅchī jagahoṅ ke mandir mismār ho jāeṅge. kyūṅki lāzim hai ki jin qurbānagāhoṅ par tum apne jānvar aur baḵẖūr jalāte ho vah ḵẖāk meṅ milāī jāeṅ, ki tumhāre butoṅ ko pāsh pāsh kiyā jāe, ki tumhārī butparastī kī chīzeṅ nest-o-nābūd ho jāeṅ. 7maqtūl tumhāre darmiyān gir kar paṛe raheṅge. tab tum jān loge ki maiṅ hī rabb hūṅ.

8lekin maiṅ chand ek ko zindā chhoṛūṅgā. kyūṅki jab tumheṅ dīgar mamālik aur aqvām meṅ muntashir kiyā jāegā to kuchh talvār se bache raheṅge. 9jab yah log qaidī ban kar muḵẖtalif mamālik meṅ lāe jāeṅge to unheṅ merā ḵẖayāl āegā. unheṅ yād āegā ki mujhe kitnā ġam khānā paṛā jab un ke zinākār dil mujh se dūr hue aur un kī āṅkheṅ apne butoṅ se zinā kartī rahīṅ. tab vah yah soch kar ki ham ne kitnā burā kām kiyā aur kitnī makrūh harkateṅ kī haiṅ apne āp se ghin khāeṅge. 10us vaqt vah jān leṅge ki maiṅ rabb hūṅ, ki un par yah āfat lāne kā elān karte vaqt maiṅ ḵẖālī bāteṅ nahīṅ kar rahā thā’.”

11phir rabb qādir-e-mutlaq ne mujh se farmāyā, “tāliyāṅ bajā kar pāoṅ zor se zamīn par mār! sāth sāth yah kah, isrāīlī qaum kī ghinaunī harkatoṅ par afsos! vah talvār, kāl aur muhalak bīmāriyoṅ kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge. 12jo dūr hai vah muhalak vabā se mar jāegā, jo qarīb hai vah talvār se qatl ho jāegā, aur jo bach jāe vah bhūkoṅ maregā. yūṅ maiṅ apnā ġazab un par nāzil karūṅgā. 13vah jān leṅge ki maiṅ rabb hūṅ jab un ke maqtūl un ke butoṅ ke darmiyān, un kī qurbānagāhoṅ ke ird-gird, har pahāṛ aur pahāṛ kī choṭī par aur har hare daraḵẖt aur balūt ke ghane daraḵẖt ke sāy meṅ nazar āeṅge. jahāṅ bhī vah apne butoṅ ko ḵẖush karne ke liye koshāṅ rahe vahāṅ un kī lāsheṅ pāī jāeṅgī. 14maiṅ apnā hāth un ke ḵẖilāf uṭhā kar mulk ko yahūdāh ke registān se le kar diblā tak tabāh kar dūṅgā. un kī tamām ābādiyāṅ vīrān-o-sunsān ho jāeṅgī. tab vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ.”