Hizqīel 48
qabīloṅ meṅ mulk kī taqsīm
1-7 isrāīl kī shimālī sarhadd bahīrā-e-rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf hatlūn, labo-hamāt aur hasar-enān ke pās se guzartī hai. damishq aur hamāt sarhadd ke shimāl meṅ haiṅ. har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. har ḵẖitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhadd aur dūsrā sirā maġribī sarhadd hogā. shimāl se le kar junūb tak qabāilī ilāqoṅ kī yah tartīb hogī : dān, āshar, naftālī, manassī, ifrāīm, rūbin aur yahūdāh.
mulk ke bīch meṅ maḵẖsūs ilāqā
8yahūdāh ke junūb meṅ vah ilāqā hogā jo tumheṅ mere liye alag karnā hai. qabāilī ilāqoṅ kī tarah us kā bhī ek sirā mulk kī mashriqī sarhadd aur dūsrā sirā maġribī sarhadd hogā. shimāl se junūb tak kā fāsilā sāḍhe 12 kilomīṭar hai. us ke bīch meṅ maqdis hai.
9is ilāqe ke darmiyān ek ḵẖās ḵẖittā hogā. mashriq se maġrib tak us kā fāsilā sāḍhe 12 kilomīṭar hogā jabki shimāl se junūb tak fāsilā 10 kilomīṭar hogā. rabb ke liye maḵẖsūs is ḵẖitte 10kā ek hissā imāmoṅ ke liye maḵẖsūs hogā. is hisse kā fāsilā mashriq se maġrib tak sāḍhe 12 kilomīṭar aur shimāl se junūb tak 5 kilomīṭar hogā. is ke bīch meṅ hī rabb kā maqdis hogā. 11yah muqaddas ilāqā lāvī ke ḵẖāndān sadoq ke maḵẖsūs-o-muqaddas kie gae imāmoṅ ko diyā jāegā. kyūṅki jab isrāīlī mujh se bargashtā hue to bāqī lāvī un ke sāth bhaṭak gae, lekin sadoq kā ḵẖāndān vafādārī se merī ḵẖidmat kartā rahā. 12is liye unheṅ mere liye maḵẖsūs ilāqe kā muqaddastarīn hissā milegā. yah lāviyoṅ ke ḵẖitte ke shimāl meṅ hogā. 13imāmoṅ ke junūb meṅ bāqī lāviyoṅ kā ḵẖittā hogā. mashriq se maġrib tak us kā fāsilā sāḍhe 12 kilomīṭar aur shimāl se junūb tak 5 kilomīṭar hogā.
14rabb ke liye maḵẖsūs yah ilāqā pūre mulk kā behtarīn hissā hai. us kā koī bhī plāṭ kisī dūsre ke hāth meṅ dene kī ijāzat nahīṅ. use na bechā jāe, na kisī dūsre ko kisī plāṭ ke ivz meṅ diyā jāe. kyūṅki yah ilāqā rabb ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas hai.
15rabb ke maqdis ke is ḵẖās ilāqe ke junūb meṅ ek aur ḵẖittā hogā jis kī lambāī sāḍhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī aṛhāī kilomīṭar hai. vah muqaddas nahīṅ hai balki ām logoṅ kī rihāish ke liye hogā. is ke bīch meṅ shahar hogā, jis ke ird-gird charāgāheṅ hoṅgī. 16yah shahar murabbā shakl kā hogā. lambāī aur chauṛāī donoṅ savā do do kilomīṭar hogī.
17shahar ke chāroṅ taraf jānvaroṅ ko charāne kī khulī jagah hogī jis kī chauṛāī 133 mīṭar hogī. 18chūṅki shahar apne ḵẖitte ke bīch meṅ hogā is liye mazkūrā khulī jagah ke mashriq meṅ ek ḵẖittā bāqī rah jāegā jis kā mashriq se shahar tak fāsilā 5 kilomīṭar aur shimāl se junūb tak fāsilā aṛhāī kilomīṭar hogā. shahar ke maġrib meṅ bhī itnā hī baṛā ḵẖittā hogā. in do ḵẖittoṅ meṅ khetībāṛī kī jāegī jis kī paidāvār shahar meṅ kām karne vāloṅ kī ḵẖurāk hogī. 19shahar meṅ kām karne vāle tamām qabīloṅ ke hoṅge. vahī in khetoṅ kī khetībāṛī kareṅge.
20chunāṅche mere liye alag kiyā gayā yah pūrā ilāqā murabbā shakl kā hai. us kī lambāī aur chauṛāī sāḍhe bārah bārah kilomīṭar hai. is meṅ shahar bhī shāmil hai.
21-22 mazkūrā muqaddas ḵẖitte meṅ maqdis, imāmoṅ aur bāqī lāviyoṅ kī zamīneṅ haiṅ. us ke mashriq aur maġrib meṅ bāqīmāndā zamīn hukmarān kī milkiyat hai. muqaddas ḵẖitte ke mashriq meṅ hukmarān kī zamīn mulk kī mashriqī sarhadd tak hogī aur muqaddas ḵẖitte ke maġrib meṅ vah samundar tak hogī. shimāl se junūb tak vah muqaddas ḵẖitte jitnī chauṛī yānī sāḍhe 12 kilomīṭar hogī. shimāl meṅ yahūdāh kā qabāilī ilāqā hogā aur junūb meṅ binyamīn kā.
dīgar qabīloṅ kī zamīn
23-27 mulk ke is ḵẖās darmiyānī hisse ke junūb meṅ bāqī qabīloṅ ko ek ek ilāqā milegā. har ilāqe kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhadd aur dūsrā sirā bahīrā-e-rūm hogā. shimāl se le kar junūb tak qabāilī ilāqoṅ kī yah tartīb hogī : binyamīn, shamāūn, ishkār, zabūlūn aur jad.
28jad ke qabīle kī junūbī sarhadd mulk kī sarhadd bhī hai. vah tamar se junūb-maġrib meṅ marībā-qādis ke chashmoṅ tak chaltī hai, phir misr kī sarhadd yānī vādī-e-misr ke sāth sāth shimāl-maġrib kā ruḵẖ karke bahīrā-e-rūm tak pahuṅchtī hai.
29rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yahī tumhārā mulk hogā! use isrāīlī qabīloṅ meṅ taqsīm karo. jo kuchh bhī unheṅ qur’ā ḍāl kar mile vah un kī maurūsī zamīn hogī.
yarūshalam ke darvāze
30-34 yarūshalam shahar ke 12 darvāze hoṅge. fasīl kī chāroṅ dīvāreṅ savā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. har dīvār ke tīn darvāze hoṅge, ġaraz kul bārah darvāze hoṅge. har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. chunāṅche shimāl meṅ rūbin kā darvāzā, yahūdāh kā darvāzā aur lāvī kā darvāzā hogā, mashriq meṅ yūsuf kā darvāzā, binyamīn kā darvāzā aur dān kā darvāzā hogā, junūb meṅ shamāūn kā darvāzā, ishkār kā darvāzā aur zabūlūn kā darvāzā hogā, aur maġrib meṅ jad kā darvāzā, āshar kā darvāzā aur naftālī kā darvāzā hogā. 35fasīl kī pūrī lambāī 9 kilomīṭar hai.
tab shahar ‘yahāṅ rabb hai’ kahalāegā.!”