Hizqīel 47
rabb ke ghar meṅ se nikalne vālā daryā
1is ke bād merā rāhanumā mujhe ek bār phir rabb ke ghar ke darvāze ke pās le gayā. yah darvāzā mashriq meṅ thā, kyūṅki rabb ke ghar kā ruḵẖ hī mashriq kī taraf thā. maiṅ ne dekhā ki dahalīz ke nīche se pānī nikal rahā hai. darvāze se nikal kar vah pahale rabb ke ghar kī junūbī dīvār ke sāth sāth bahatā thā, phir qurbāngāh ke junūb meṅ se guzar kar mashriq kī taraf bah niklā. 2merā rāhanumā mere sāth bairūnī sahan ke shimālī darvāze meṅ se niklā. bāhar chārdīvārī ke sāth sāth chalte chalte ham bairūnī sahan ke mashriqī darvāze ke pās pahuṅch gae. maiṅ ne dekhā ki pānī is darvāze ke junūbī hisse meṅ se nikal rahā hai.
3ham pānī ke kināre kināre chal paṛe. mere rāhanumā ne apne fīte ke sāth ādhā kilomīṭar kā fāsilā nāpā. phir us ne mujhe pānī meṅ se guzarne ko kahā. yahāṅ pānī ṭaḵẖnoṅ tak pahuṅchtā thā. 4us ne mazīd ādhe kilomīṭar kā fāsilā nāpā, phir mujhe dubārā pānī meṅ se guzarne ko kahā. ab pānī ghuṭnoṅ tak pahuṅchā. jab us ne tīsrī martabā ādhā kilomīṭar kā fāsilā nāp kar mujhe us meṅ se guzarne diyā to pānī kamar tak pahuṅchā. 5ek āḵẖirī dafā us ne ādhe kilomīṭar kā fāsilā nāpā. ab maiṅ pānī meṅ se guzar na sakā. pānī itnā gaharā thā ki us meṅ se guzarne ke liye tairne kī zarūrat thī.
6us ne mujh se pūchhā, “ai ādamzād, kyā tū ne ġaur kiyā hai?” phir vah mujhe daryā ke kināre tak vāpas lāyā.
7jab vāpas āyā to maiṅ ne dekhā ki daryā ke donoṅ kināroṅ par mut’addid daraḵẖt lage haiṅ. 8vah bolā, “yah pānī mashriq kī taraf bah kar vādī-e-yardan meṅ pahuṅchtā hai. use pār karke vah bahīrā-e-murdār meṅ ā jātā hai. us ke asar se bahīrā-e-murdār kā namkīn pānī pīne ke qābil ho jāegā. 9jahāṅ bhī daryā bahegā vahāṅ ke beshumār jāndār jīte raheṅge. bahut machhliyāṅ hoṅgī, aur daryā bahīrā-e-murdār kā namkīn pānī pīne ke qābil banāegā. jahāṅ se bhī guzregā vahāṅ sab kuchh phaltā phūltā rahegā. 10ain-jadī se le kar ain-ajlaim tak us ke kināroṅ par machhere khaṛe hoṅge. har taraf un ke jāl sūkhne ke liye phailāe hue nazar āeṅge. daryā meṅ har qism kī machhliyāṅ hoṅgī, utnī jitnī bahīrā-e-rūm meṅ pāī jātī haiṅ. 11sirf bahīrā-e-murdār ke ird-gird kī daldlī jagahoṅ aur johaṛoṅ kā pānī namkīn rahegā, kyūṅki vah namak hāsil karne ke liye istemāl hogā. 12daryā ke donoṅ kināroṅ par har qism ke phaldār daraḵẖt ugeṅge. in daraḵẖtoṅ ke patte na kabhī murajhāeṅge, na kabhī un kā phal ḵẖatm hogā. vah har mahīne phal lāeṅge, is liye ki maqdis kā pānī un kī ābpāshī kartā rahegā. un kā phal logoṅ kī ḵẖurāk banegā, aur un ke patte shifā deṅge.”
isrāīl kī sarhaddeṅ
13phir rabb qādir-e-mutlaq ne farmāyā, “maiṅ tujhe us mulk kī sarhaddeṅ batātā hūṅ jo bārah qabīloṅ meṅ taqsīm karnā hai. yūsuf ko do hisse dene haiṅ, bāqī qabīloṅ ko ek ek hissā. 14maiṅ ne apnā hāth uṭhā kar qasam khāī thī ki maiṅ yah mulk tumhāre bāpdādā ko atā karūṅgā, is liye tum yah mulk mīrās meṅ pāoge. ab use āpas meṅ barābar taqsīm kar lo.
15shimālī sarhadd bahīrā-e-rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf hatlūn, labo-hamāt aur sidād ke pās se guzartī hai. 16vahāṅ se vah berotā aur sibraim ke pās pahuṅchtī hai (sibraim mulk-e-damishq aur mulk-e-hamāt ke darmiyān vāqe hai). phir sarhadd hasar-enān shahar tak āge nikaltī hai jo haurān kī sarhadd par vāqe hai. 17ġaraz shimālī sarhadd bahīrā-e-rūm se le kar hasar-enān tak pahuṅchtī hai. damishq aur hamāt kī sarhaddeṅ us ke shimāl meṅ haiṅ.
18mulk kī mashriqī sarhadd vahāṅ shurū hotī hai jahāṅ damishq kā ilāqā haurān ke pahāṛī ilāqe se miltā hai. vahāṅ se sarhadd daryā-e-yardan ke sāth sāth chaltī huī junūb meṅ bahīrā-e-rūm ke pās tamar shahar tak pahuṅchtī hai. yūṅ daryā-e-yardan mulk-e-isrāīl kī mashriqī sarhadd aur mulk-e-jiliād kī maġribī sarhadd hai.
19junūbī sarhadd tamar se shurū ho kar junūb-maġrib kī taraf chaltī chaltī marībā-qādis ke chashmoṅ tak pahuṅchtī hai. phir vah shimāl-maġrib kī taraf ruḵẖ karke misr kī sarhadd yānī vādī-e-misr ke sāth sāth bahīrā-e-rūm tak pahuṅchtī hai.
20maġribī sarhadd bahīrā-e-rūm hai jo shimāl meṅ labo-hamāt ke muqābil ḵẖatm hotī hai.
21mulk ko apne qabīloṅ meṅ taqsīm karo! 22yah tumhārī maurūsī zamīn hogī. jab tum qur’ā ḍāl kar use āpas meṅ taqsīm karo to un ġairmulkiyoṅ ko bhī zamīn milnī hai jo tumhāre darmiyān rahate aur jin ke bacche yahāṅ paidā hue haiṅ. tumhārā un ke sāth vaisā sulūk ho jaisā isrāīliyoṅ ke sāth. qur’ā ḍālte vaqt unheṅ isrāīlī qabīloṅ ke sāth zamīn milnī hai. 23rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis qabīle meṅ bhī pardesī ābād hoṅ vahāṅ tumheṅ unheṅ maurūsī zamīn denī hai.