Hizqīel 46

īdoṅ par hukmarān kī jānib se qurbāniyāṅ

1rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki lāzim hai ki andrūnī sahan meṅ pahuṅchāne vālā mashriqī darvāzā itwār se le kar jumae tak band rahe. use sirf sabat aur nae chāṅd ke din kholnā hai. 2us vaqt hukmarān bairūnī sahan se ho kar mashriqī darvāze ke barāmde meṅ dāḵẖil ho jāe aur us meṅ se guzar kar darvāze ke bāzū ke pās khaṛā ho jāe. vahāṅ se vah imāmoṅ ko us kī bhasm hone vālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh karte hue dekh sakegā. darvāze kī dahalīz par vah sijdā karegā, phir chalā jāegā. yah darvāzā shām tak khulā rahe. 3lāzim hai ki bāqī isrāīlī sabat aur nae chāṅd ke din bairūnī sahan meṅ ibādat kareṅ. vah isī mashriqī darvāze ke pās ā kar mere huzūr auṅdhe muṅh ho jāeṅ.

4sabat ke din hukmarān chhah beaib bheṛ ke bacche aur ek beaib meṅḍhā chun kar rabb ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh kare. 5vah har meṅḍhe ke sāth ġallā kī nazar bhī pesh kare yānī 16 kilogrām maidā aur 4 liṭar zaitūn kā tel. har bheṛ ke bacche ke sāth vah utnā hī ġallā de jitnā jī chāhe. 6nae chāṅd ke din vah ek javān bail, chhah bheṛ ke bacche aur ek meṅḍhā pesh kare. sab beaib hoṅ. 7javān bail aur meṅḍhe ke sāth ġallā kī nazar bhī pesh kī jāe. ġallā kī yah nazar 16 kilogrām maide aur 4 liṭar zaitūn ke tel par mushtamil ho. vah har bheṛ ke bacche ke sāth utnā hī ġallā de jitnā jī chāhe.

8hukmarān andrūnī mashriqī darvāze meṅ bairūnī sahan se ho kar dāḵẖil ho, aur vah isī rāste se nikle bhī. 9jab bāqī isrāīlī kisī īd par rabb ko sijdā karne āeṅ to jo shimālī darvāze se bairūnī sahan meṅ dāḵẖil hoṅ vah ibādat ke bād junūbī darvāze se nikleṅ, aur jo junūbī darvāze se dāḵẖil hoṅ vah shimālī darvāze se nikleṅ. koī us darvāze se na nikle jis meṅ se vah dāḵẖil huā balki muqābil ke darvāze se. 10hukmarān us vaqt sahan meṅ dāḵẖil ho jab bāqī isrāīlī dāḵẖil ho rahe hoṅ, aur vah us vaqt ravānā ho jab bāqī isrāīlī ravānā ho jāeṅ.

11īdoṅ aur muqarrarā tahavāroṅ par bail aur meṅḍhe ke sāth ġallā kī nazar pesh kī jāe. ġallā kī yah nazar 16 kilogrām maide aur 4 liṭar zaitūn ke tel par mushtamil ho. hukmarān bheṛ ke bacchoṅ ke sāth utnā hī ġallā de jitnā jī chāhe.

12jab hukmarān apnī ḵẖushī se mujhe qurbānī pesh karnā chāhe ḵẖwāh bhasm hone vālī yā salāmatī kī qurbānī ho, to us ke liye andrūnī darvāze kā mashriqī darvāzā kholā jāe. vahāṅ vah apnī qurbānī yūṅ pesh kare jis tarah sabat ke din kartā hai. us ke nikalne par yah darvāzā band kar diyā jāe.

rozānā kī qurbānī

13isrāīl rabb ko har subah ek beaib yaksālā bheṛ kā bacchā pesh kare. bhasm hone vālī yah qurbānī rozānā chaṛhāī jāe. 14sāth sāth ġallā kī nazar pesh kī jāe. is ke liye savā liṭar zaitūn kā tel ḍhāī kilogrām maide ke sāth milāyā jāe. ġallā kī yah nazar hameshā hī mujhe pesh karnī hai. 15lāzim hai ki har subah bheṛ kā bacchā, maidā aur tel mere liye jalāyā jāe.

hukmarān kī maurūsī zamīn

16qādir-e-mutlaq farmātā hai ki agar isrāīl kā hukmarān apne kisī beṭe ko kuchh maurūsī zamīn de to yah zamīn beṭe kī maurūsī zamīn ban kar us kī aulād kī milkiyat rahegī. 17lekin agar hukmarān kuchh maurūsī zamīn apne kisī mulāzim ko de to yah zamīn sirf agle bahālī ke sāl tak mulāzim ke hāth meṅ rahegī. phir yah dubārā hukmarān ke qabze meṅ vāpas āegī. kyūṅki yah maurūsī zamīn mustaqil taur par us kī aur us ke beṭoṅ kī milkiyat hai. 18hukmarān ko jabran dūsre isrāīliyoṅ kī maurūsī zamīn apnāne kī ijāzat nahīṅ. lāzim hai ki jo bhī zamīn vah apne beṭoṅ meṅ taqsīm kare vah us kī apnī hī maurūsī zamīn ho. merī qaum meṅ se kisī ko nikāl kar us kī maurūsī zamīn se maharūm karnā manā hai’.”

rabb ke ghar kā kichan

19is ke bād merā rāhanumā mujhe un kamroṅ ke darvāze ke pās le gayā jin kā ruḵẖ shimāl kī taraf thā aur jo andrūnī sahan ke junūbī darvāze ke qarīb the. yah imāmoṅ ke muqaddas kamre haiṅ. us ne mujhe kamroṅ ke maġribī sire meṅ ek jagah dikhā kar 20kahā, “yahāṅ imām vah gosht ubāleṅge jo gunāh aur qusūr kī qurbāniyoṅ meṅ se un kā hissā bantā hai. yahāṅ vah ġallā kī nazar le kar roṭī bhī banāeṅge. qurbāniyoṅ meṅ se koī bhī chīz bairūnī sahan meṅ nahīṅ lāī jā saktī, aisā na ho ki muqaddas chīzeṅ chhūne se ām logoṅ kī jān ḵẖatre meṅ paṛ jāe.”

21phir merā rāhanumā dubārā mere sāth bairūnī sahan meṅ ā gayā. vahāṅ us ne mujhe us ke chār kone dikhāe. har kone meṅ ek sahan thā 22jis kī lambāī 70 fuṭ aur chauṛāī sāḍhe 52 fuṭ thī. har sahan itnā hī baṛā thā 23aur ek dīvār se ghirā huā thā. dīvār ke sāth sāth chūlhe the. 24mere rāhanumā ne mujhe batāyā, “yah vah kichan haiṅ jin meṅ rabb ke ghar ke ḵẖādim logoṅ kī peshakaradā qurbāniyāṅ ubāleṅge.”