Hizqīel 45

isrāīl meṅ rabb kā hissā

1jab tum mulk ko qur’ā ḍāl kar qabīloṅ meṅ taqsīm karoge to ek hisse ko rabb ke liye maḵẖsūs karnā hai. us zamīn kī lambāī sāḍhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī 10 kilomīṭar hogī. pūrī zamīn muqaddas hogī.

2is ḵẖitte meṅ ek plāṭ rabb ke ghar ke liye maḵẖsūs hogā. us kī lambāī bhī 875 fuṭ hogī aur us kī chauṛāī bhī. us ke ird-gird khulī jagah hogī jis kī chauṛāī sāḍhe 87 fuṭ hogī. 3ḵẖitte kā ādhā hissā alag kiyā jāe. us kī lambāī sāḍhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī 5 kilomīṭar hogī, aur us meṅ maqdis yānī muqaddastarīn jagah hogī. 4yah ḵẖittā mulk kā muqaddas ilāqā hogā. vah un imāmoṅ ke liye maḵẖsūs hogā jo maqdis meṅ us kī ḵẖidmat karte haiṅ. us meṅ un ke ghar aur maqdis kā maḵẖsūs plāṭ hogā.

5ḵẖitte kā dūsrā hissā un bāqī lāviyoṅ ko diyā jāegā jo rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat kareṅge. yah un kī milkiyat hogī, aur us meṅ vah apnī ābādiyāṅ banā sakeṅge. us kī lambāī aur chauṛāī pahale hisse ke barābar hogī.

6muqaddas ḵẖitte se mulhiq ek aur ḵẖittā hogā jis kī lambāī sāḍhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī ḍhāī kilomīṭar hogī. yah ek aise shahar ke liye maḵẖsūs hogā jis meṅ koī bhī isrāīlī rah sakegā.

hukmarān ke liye zamīn

7hukmarān ke liye bhī zamīn alag karnī hai. yah zamīn muqaddas ḵẖitte kī mashriqī hadd se le kar mulk kī mashriqī sarhadd tak aur muqaddas ḵẖitte kī maġribī hadd se le kar samundar tak hogī. chunāṅche mashriq se maġrib tak muqaddas ḵẖitte aur hukmarān ke ilāqe kā mil milā kar fāsilā utnā hai jitnā qabāilī ilāqoṅ kā hai. 8yah ilāqā mulk-e-isrāīl meṅ hukmarān kā hissā hogā. phir vah āindā merī qaum par zulm nahīṅ karegā balki mulk ke bāqī hisse ko isrāīl ke qabīloṅ par chhoṛegā.

hukmarān ke liye hidāyāt

9rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai isrāīlī hukmrāno, ab bas karo! apnī ġalat harkatoṅ se bāz āo. apnā zulm-o-tashaddud chhoṛ kar insāf aur rāstbāzī qāim karo. merī qaum ko us kī maurūsī zamīn se bhagāne se bāz āo. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.

10sahīh tarāzū istemāl karo, tumhāre bāṭ aur paimāish ke ālāt ġalat na hoṅ. 11ġallā nāpne kā bartan banām aifā māe nāpne ke bartan banām bat jitnā baṛā ho. donoṅ ke liye kasauṭī ḵẖomar hai. ek ḵẖomar 10 aifā aur 10 bat ke barābar hai. 12tumhāre bāṭ yūṅ hoṅ ki 20 jīrah 1 misqāl ke barābar aur 60 misqāl 1 mānā ke barābar hoṅ.

13darj-e-zail tumhāre bāqāidā hadie haiṅ :

anāj : tumhārī fasal kā 60vāṅ hissā,

jau : tumhārī fasal kā 60vāṅ hissā,

14zaitūn kā tel : tumhārī fasal kā 100vāṅ hissā (tel ko bat ke hisāb se nāpnā hai. 10 bat 1 ḵẖomar aur 1 kor ke barābar hai.),

15200 bheṛ-bakriyoṅ meṅ se ek.

yah chīzeṅ ġallā kī nazroṅ ke liye, bhasm hone vālī qurbāniyoṅ aur salāmatī kī qurbāniyoṅ ke liye muqarrar haiṅ. un se qaum kā kaffārā diyā jāegā. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.

16lāzim hai ki tamām isrāīlī yah hadie mulk ke hukmarān ke havāle kareṅ. 17hukmarān kā farz hogā ki vah nae chāṅd kī īdoṅ, sabat ke dinoṅ aur dīgar īdoṅ par tamām isrāīlī qaum ke liye qurbāniyāṅ muhayyā kare. in meṅ bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, gunāh aur salāmatī kī qurbāniyāṅ aur ġallā aur mai kī nazreṅ shāmil hoṅgī. yūṅ vah isrāīl kā kaffārā degā.

baṛī īdoṅ par qurbāniyāṅ

18rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki pahale mahīne [a] mārch tā aprail. ke pahale din ko ek beaib bail ko qurbān karke maqdis ko pāk-sāf kar. 19imām bail kā ḵẖūn le kar use rabb ke ghar ke darvāzoṅ ke bāzūoṅ, qurbāngāh ke darmiyānī hisse ke konoṅ aur andrūnī sahan meṅ pahuṅchāne vāle darvāzoṅ ke bāzūoṅ par lagā de. 20yahī amal pahale mahīne ke sātveṅ din bhī kar tāki un sab kā kaffārā diyā jāe jinhoṅ ne ġairirādī taur par yā beḵẖabrī se gunāh kiyā ho. yūṅ tum rabb ke ghar kā kaffārā doge.

21pahale mahīne ke chaudhveṅ din fasah kī īd kā āġāz ho. use sāt din manāo, aur us ke daurān sirf beḵẖamīrī roṭī khāo. 22pahale din mulk kā hukmarān apne aur tamām qaum ke liye gunāh kī qurbānī ke taur par ek bail pesh kare. 23nīz, vah īd ke sāt din ke daurān rozānā sāt beaib bail aur sāt meṅḍhe bhasm hone vālī qurbānī ke taur par qurbān kare aur gunāh kī qurbānī ke taur par ek ek bakrā pesh kare. 24vah har bail aur har meṅḍhe ke sāth sāth ġallā kī nazar bhī pesh kare. is ke liye vah fī jānvar 16 kilogrām maidā aur 4 liṭar tel muhayyā kare.

25sātveṅ mahīne [b] sitambar tā aktūbar. ke paṅdrahaveṅ din jhoṁpaṛiyoṅ kī īd shurū hotī hai. hukmarān is īd par bhī sāt din ke daurān vahī qurbāniyāṅ pesh kare jo fasah kī īd ke liye darkār haiṅ yānī gunāh kī qurbāniyāṅ, bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, ġallā kī nazreṅ aur tel.

[a] mārch tā aprail.
[b] sitambar tā aktūbar.