Hizqīel 44
rabb ke ghar kā bairūnī mashriqī darvāzā band kiyā jātā hai
1merā rāhanumā mujhe dubārā maqdis ke bairūnī mashriqī darvāze ke pās le gayā. ab vah band thā. 2rabb ne farmāyā, “ab se yah darvāzā hameshā tak band rahe. ise kabhī nahīṅ kholnā hai. kisī ko bhī is meṅ se dāḵẖil hone kī ijāzat nahīṅ, kyūṅki rabb jo isrāīl kā ḵẖudā hai is darvāze meṅ se ho kar rabb ke ghar meṅ dāḵẖil huā hai. 3sirf isrāīl ke hukmarān ko is darvāze meṅ baiṭhne aur mere huzūr qurbānī kā apnā hissā khāne kī ijāzat hai. lekin is ke liye vah darvāze meṅ se guzar nahīṅ sakegā balki bairūnī sahan kī taraf se us meṅ dāḵẖil hogā. vah darvāze ke sāth mulhiq barāmde se ho kar vahāṅ pahuṅchegā aur isī rāste se vahāṅ se niklegā bhī.”
aksar lāviyoṅ kī ḵẖidmat ko mahdūd kiyā jātā hai
4phir merā rāhanumā mujhe shimālī darvāze meṅ se ho kar dubārā andrūnī sahan meṅ le gayā. ham rabb ke ghar ke sāmne pahuṅche. maiṅ ne dekhā ki rabb kā ghar rabb ke jalāl se māmūr ho rahā hai. maiṅ muṅh ke bal gir gayā.
5rabb ne farmāyā, “ai ādamzād, dhyān se dekh, ġaur se sun! rabb ke ghar ke bāre meṅ un tamām hidāyāt par tavajjuh de jo maiṅ tujhe batāne vālā hūṅ. dhyān de ki kaun kaun us meṅ jā sakegā. 6is sarkash qaum isrāīl ko batā,
‘ai isrāīlī qaum, rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tumhārī makrūh harkateṅ bahut haiṅ, ab bas karo! 7tum pardesiyoṅ ko mere maqdis meṅ lāe ho, aise logoṅ ko jo bātin aur zāhir meṅ nāmaḵẖtūn haiṅ. aur yah tum ne us vaqt kiyā jab tum mujhe merī ḵẖurāk yānī charbī aur ḵẖūn pesh kar rahe the. yūṅ tum ne mere ghar kī behuramtī karke apnī ghinaunī harkatoṅ se vah ahd toṛ ḍālā hai jo maiṅ ne tumhāre sāth bāṅdhā thā. 8tum ḵẖud mere maqdis meṅ ḵẖidmat nahīṅ karnā chāhate the balki tum ne pardesiyoṅ ko yah zimmādārī dī thī ki vah tumhārī jagah yah ḵẖidmat anjām deṅ.
9is liye rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āindā jo bhī ġairmulkī andrūnī aur bairūnī taur par nāmaḵẖtūn hai use mere maqdis meṅ dāḵẖil hone kī ijāzat nahīṅ. is meṅ vah ajnabī bhī shāmil haiṅ jo isrāīliyoṅ ke darmiyān rahate haiṅ. 10jab isrāīlī bhaṭak gae aur mujh se dūr ho kar butoṅ ke pīchhe lag gae to aksar lāvī bhī mujh se dūr hue. ab unheṅ apne gunāh kī sazā bhugatnī paṛegī. 11āindā vah mere maqdis meṅ har qism kī ḵẖidmat nahīṅ kareṅge. unheṅ sirf darvāzoṅ kī paharādārī karne aur jānvaroṅ ko zabah karne kī ijāzat hogī. in jānvaroṅ meṅ bhasm hone vālī qurbāniyāṅ bhī shāmil hoṅgī aur zabah kī qurbāniyāṅ bhī. lāvī qaum kī ḵẖidmat ke liye rabb ke ghar meṅ hāzir raheṅge, 12lekin chūṅki vah apne hamvatanoṅ ke butoṅ ke sāmne logoṅ kī ḵẖidmat karke un ke liye gunāh kā bāis bane rahe is liye maiṅ ne apnā hāth uṭhā kar qasam khāī hai ki unheṅ is kī sazā bhugatnī paṛegī. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
13ab se vah imām kī haisiyat se mere qarīb ā kar merī ḵẖidmat nahīṅ kareṅge, ab se vah un chīzoṅ ke qarīb nahīṅ āeṅge jin ko maiṅ ne muqaddastarīn qarār diyā hai. 14is ke bajāy maiṅ unheṅ rabb ke ghar ke nichle darje kī zimmādāriyāṅ dūṅgā.
imāmoṅ ke liye hidāyāt
15lekin rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki lāvī kā ek ḵẖāndān un meṅ shāmil nahīṅ hai. sadoq kā ḵẖāndān āindā bhī merī ḵẖidmat karegā. us ke imām us vaqt bhī vafādārī se mere maqdis meṅ merī ḵẖidmat karte rahe jab isrāīl ke bāqī log mujh se dūr ho gae the. is liye yah āindā bhī mere huzūr ā kar mujhe qurbāniyoṅ kī charbī aur ḵẖūn pesh kareṅge. 16sirf yahī imām mere maqdis meṅ dāḵẖil hoṅge aur merī mez par merī ḵẖidmat karke mere tamām farāiz adā kareṅge.
17jab bhī imām andrūnī darvāze meṅ dāḵẖil hote haiṅ to lāzim hai ki vah katān ke kapṛe pahan leṅ. andrūnī sahan aur rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat karte vaqt ūn ke kapṛe pahannā manā hai. 18vah katān kī pagṛī aur pājāmā pahaneṅ, kyūṅki unheṅ pasīnā dilāne vāle kapṛoṅ se gurez karnā hai. 19jab bhī imām andrūnī sahan se dubārā bairūnī sahan meṅ jānā chāheṅ to lāzim hai ki vah ḵẖidmat ke liye mustāmal kapṛoṅ ko utāreṅ. vah in kapṛoṅ ko muqaddas kamroṅ meṅ chhoṛ āeṅ aur ām kapṛe pahan leṅ, aisā na ho ki muqaddas kapṛe chhūne se ām logoṅ kī jān ḵẖatre meṅ paṛ jāe.
20na imām apnā sar muṅḍavāeṅ, na un ke bāl lambe hoṅ balki vah unheṅ kaṭvāte raheṅ. 21imām ko andrūnī sahan meṅ dāḵẖil hone se pahale mai pīnā manā hai.
22imām ko kisī talākshudā aurat yā bevā se shādī karne kī ijāzat nahīṅ hai. vah sirf isrāīlī kuṅvārī se shādī kare. sirf us vaqt bevā se shādī karne kī ijāzat hai jab marhūm shauhar imām thā.
23imām avām ko muqaddas aur ġairmuqaddas chīzoṅ meṅ farq kī tālīm deṅ. vah unheṅ nāpāk aur pāk chīzoṅ meṅ imtiyāz karnā sikhāeṅ. 24agar tanāzo ho to imām mere ahkām ke mutābiq hī us par faislā kareṅ. un kā farz hai ki vah merī muqarrarā īdoṅ ko merī hidāyāt aur qavāid ke mutābiq hī manāeṅ. vah merā sabat kā din maḵẖsūs-o-muqaddas rakheṅ.
25imām apne āp ko kisī lāsh ke pās jāne se nāpāk na kare. is kī ijāzat sirf isī sūrat meṅ hai ki us ke māṅ-bāp, bacchoṅ, bhāiyoṅ yā ġairshādīshudā bahanoṅ meṅ se koī intiqāl kar jāe. 26agar kabhī aisā ho to vah apne āp ko pāk-sāf karne ke bād mazīd sāt din intizār kare, 27phir maqdis ke andrūnī sahan meṅ jā kar apne liye gunāh kī qurbānī pesh kare. tab hī vah dubārā maqdis meṅ ḵẖidmat kar saktā hai. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
28sirf maiṅ hī imāmoṅ kā maurūsī hissā hūṅ. unheṅ isrāīl meṅ maurūsī milkiyat mat denā, kyūṅki maiṅ ḵẖud un kī maurūsī milkiyat hūṅ. 29khāne ke liye imāmoṅ ko ġallā, gunāh aur qusūr kī qurbāniyāṅ mileṅgī, nīz isrāīl meṅ vah sab kuchh jo rabb ke liye maḵẖsūs kiyā jātā hai. 30imāmoṅ ko fasal ke pahale phal kā behtarīn hissā aur tumhāre tamām hadie mileṅge. unheṅ apne guṅdhe hue āṭe se bhī hissā denā hai. tab allāh kī barkat tere gharāne par ṭhaharegī.
31jo parindā yā dīgar jānvar fitrī taur par yā kisī dūsre jānvar ke hamle se mar jāe us kā gosht khānā imām ke liye manā hai.