Hizqīel 42
imāmoṅ ke liye maḵẖsūs kamre
1is ke bād ham dubārā bairūnī sahan meṅ āe. merā rāhanumā mujhe rabb ke ghar ke shimāl meṅ vāqe ek imārat ke pās le gayā jo rabb ke ghar ke pīchhe yānī maġrib meṅ vāqe imārat ke muqābil thī. 2yah imārat 175 fuṭ lambī aur sāḍhe 87 fuṭ chauṛī thī.
3us kā ruḵẖ andrūnī sahan kī us khulī jagah kī taraf thā jo 35 fuṭ chauṛī thī. dūsrā ruḵẖ bairūnī sahan ke pakke farsh kī taraf thā.
makān kī tīn manzileṅ thīṅ. dūsrī manzil pahalī kī nisbat kam chauṛī aur tīsrī dūsrī kī nisbat kam chauṛī thī. 4makān ke shimālī pahalū meṅ ek guzargāh thī jo ek sire se dūsre sire tak le jātī thī. us kī lambāī 175 fuṭ aur chauṛāī sāḍhe 17 fuṭ thī. kamroṅ ke darvāze sab shimāl kī taraf khulte the. 5-6 dūsrī manzil ke kamre pahalī manzil kī nisbat kam chauṛe the tāki un ke sāmne ṭairas ho. isī tarah tīsrī manzil ke kamre dūsrī kī nisbat kam chauṛe the. is imārat meṅ sahan kī dūsrī imāratoṅ kī tarah satūn nahīṅ the.
7kamroṅ ke sāmne ek bairūnī dīvār thī jo unheṅ bairūnī sahan se alag kartī thī. us kī lambāī sāḍhe 87 fuṭ thī, 8kyūṅki bairūnī sahan kī taraf kamroṅ kī mil milā kar lambāī sāḍhe 87 fuṭ thī agarchi pūrī dīvār kī lambāī 175 fuṭ thī. 9bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḵẖil hone ke liye mashriq kī taraf se ānā paṛtā thā. vahāṅ ek darvāzā thā.
10rabb ke ghar ke junūb meṅ us jaisī ek aur imārat thī jo rabb ke ghar ke pīchhe vālī yānī maġribī imārat ke muqābil thī. 11us ke kamroṅ ke sāmne bhī mazkūrā shimālī imārat jaisī guzargāh thī. us kī lambāī aur chauṛāī, ḍizāin aur darvāze, ġaraz sab kuchh shimālī makān kī mānind thā. 12kamroṅ ke darvāze junūb kī taraf the, aur un ke sāmne bhī ek hifāztī dīvār thī. bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḵẖil hone ke liye mashriq se ānā paṛtā thā. us kā darvāzā bhī guzargāh ke shurū meṅ thā.
13us ādmī ne mujh se kahā, “yah donoṅ imārateṅ muqaddas haiṅ. jo imām rabb ke huzūr āte haiṅ vah in hī meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ khāte haiṅ. chūṅki yah kamre muqaddas haiṅ is liye imām in meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ rakheṅge, ḵẖwāh ġallā, gunāh yā qusūr kī qurbāniyāṅ kyūṅ na hoṅ. 14jo imām maqdis se nikal kar bairūnī sahan meṅ jānā chāheṅ unheṅ in kamroṅ meṅ vah muqaddas libās utār kar chhoṛnā hai jo unhoṅ ne rabb kī ḵẖidmat karte vaqt pahane hue the. lāzim hai ki vah pahale apne kapṛe badleṅ, phir hī vahāṅ jāeṅ jahāṅ bāqī log jamā hote haiṅ.”
bāhar se rabb ke ghar kī chārdīvārī kī paimāish
15rabb ke ghar ke ihāte meṅ sab kuchh nāpne ke bād merā rāhanumā mujhe mashriqī darvāze se bāhar le gayā aur bāhar se chārdīvārī kī paimāish karne lagā. 16-20 fīte se pahale mashriqī dīvār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġribī dīvār. har dīvār kī lambāī 875 fuṭ thī. is chārdīvārī kā maqsad yah thā ki jo kuchh muqaddas hai vah us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.