Hizqīel 41

1is ke bād merā rāhanumā mujhe rabb ke ghar ke pahale kamre yānī ‘muqaddas kamrā’ meṅ le gayā. us ne darvāze ke satūn-numā bāzū nāpe to mālūm huā ki sāḍhe das das fuṭ moṭe haiṅ. 2darvāze kī chauṛāī sāḍhe 17 fuṭ thī, aur dāeṅ bāeṅ kī dīvāreṅ paune nau nau fuṭ lambī thīṅ. kamre kī pūrī lambāī 70 fuṭ aur chauṛāī 35 fuṭ thī.

3phir vah āge baṛh kar sab se andrūnī kamre meṅ dāḵẖil huā. us ne darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ kī paimāish kī to mālūm huā ki sāḍhe tīn tīn fuṭ moṭe haiṅ. darvāze kī chauṛāī sāḍhe 10 fuṭ thī, aur dāeṅ bāeṅ kī dīvāreṅ savā bārah bārah fuṭ lambī thīṅ. 4andrūnī kamre kī lambāī aur chauṛāī donoṅ 35, 35 fuṭ thīṅ. vah bolā, “yah muqaddastarīn kamrā hai.”

rabb ke ghar se mulhiq kamre

5phir us ne rabb ke ghar kī bairūnī dīvār nāpī. us kī moṭāī sāḍhe 10 fuṭ thī. dīvār ke sāth sāth kamre tāmīr kie gae the. har kamre kī chauṛāī 7 fuṭ thī. 6kamroṅ kī tīn manzileṅ thīṅ, kul 30 kamre the. rabb ke ghar kī bairūnī dīvār dūsrī manzil par pahalī manzil kī nisbat kam moṭī aur tīsrī manzil par dūsrī manzil kī nisbat kam moṭī thī. natījatan har manzil kā vazan us kī bairūnī dīvār par thā aur zarūrat nahīṅ thī ki is dīvār meṅ bīm lagāeṅ. 7chunāṅche dūsrī manzil pahalī kī nisbat chauṛī aur tīsrī dūsrī kī nisbat chauṛī thī. ek sīṛhī nichlī manzil se dūsrī aur tīsrī manzil tak pahuṅchātī thī.

8-11 in kamroṅ kī bairūnī dīvār paune 9 fuṭ moṭī thī. jo kamre rabb ke ghar kī shimālī dīvār meṅ the un meṅ dāḵẖil hone kā ek darvāzā thā, aur isī tarah junūbī kamroṅ meṅ dāḵẖil hone kā ek darvāzā thā. maiṅ ne dekhā ki rabb kā ghar ek chabūtre par tāmīr huā hai. is kā jitnā hissā us ke ird-gird nazar ātā thā vah paune 9 fuṭ chauṛā aur sāḍhe 10 fuṭ ūṅchā thā. rabb ke ghar kī bairūnī dīvār se mulhiq kamre is par banāe gae the. is chabūtre aur imāmoṅ se mustāmal makānoṅ ke darmiyān khulī jagah thī jis kā fāsilā 35 fuṭ thā. yah khulī jagah rabb ke ghar ke chāroṅ taraf nazar ātī thī.

maġrib meṅ imārat

12is khulī jagah ke maġrib meṅ ek imārat thī jo sāḍhe 157 fuṭ lambī aur sāḍhe 122 fuṭ chauṛī thī. us kī dīvāreṅ chāroṅ taraf paune nau nau fuṭ moṭī thīṅ.

rabb ke ghar kī bairūnī paimāish

13phir mere rāhanumā ne bāhar se rabb ke ghar kī paimāish kī. us kī lambāī 175 fuṭ thī. rabb ke ghar kī pichhlī dīvār se maġribī imārat tak kā fāsilā bhī 175 fuṭ thā. 14phir us ne rabb ke ghar ke sāmne vālī yānī mashriqī dīvār shimāl aur junūb meṅ khulī jagah samet kī paimāish kī. mālūm huā ki us kā fāsilā bhī 175 fuṭ hai. 15us ne maġrib meṅ us imārat kī lambāī nāpī jo rabb ke ghar ke pīchhe thī. mālūm huā ki yah bhī donoṅ pahalūoṅ kī guzaragāhoṅ samet 175 fuṭ lambī hai.

rabb ke ghar kā andrūnī hissā

rabb ke ghar ke barāmde, muqaddas kamre aur muqaddastarīn kamre kī dīvāroṅ par 16farsh se le kar khiṛkiyoṅ tak lakṛī ke taḵẖte lagāe gae the. in khiṛkiyoṅ ko band kiyā jā saktā thā.

17rabb ke ghar kī andrūnī dīvāroṅ par darvāzoṅ ke ūpar tak tasvīreṅ kandā kī gaī thīṅ. 18khajūr ke daraḵẖtoṅ aur karūbī farishtoṅ kī tasvīreṅ bārī bārī nazar ātī thīṅ. har farishte ke do chihare the. 19insān kā chiharā ek taraf ke daraḵẖt kī taraf dekhtā thā jabki sherbabar kā chiharā dūsrī taraf ke daraḵẖt kī taraf dekhtā thā. yah daraḵẖt aur karūbī pūrī dīvār par bārī bārī munaqqash kie gae the, 20farsh se le kar darvāzoṅ ke ūpar tak. 21muqaddas kamre meṅ dāḵẖil hone vāle darvāze ke donoṅ bāzū murabbā the.

lakṛī kī qurbāngāh

muqaddastarīn kamre ke darvāze ke sāmne 22lakṛī kī qurbāngāh nazar āī. us kī ūṅchāī savā 5 fuṭ aur chauṛāī sāḍhe tīn fuṭ thī. us ke kone, pāyā aur chāroṅ pahalū lakṛī se bane the. us ne mujh se kahā, “yah vahī mez hai jo rabb ke huzūr rahatī hai.”

darvāze

23muqaddas kamre meṅ dāḵẖil hone kā ek darvāzā thā aur muqaddastarīn kamre kā ek. 24har darvāze ke do kivāṛ the, vah darmiyān meṅ se khulte the. 25dīvāroṅ kī tarah muqaddas kamre ke darvāze par bhī khajūr ke daraḵẖt aur karūbī farishte kandā kie gae the. aur barāmde ke bāhar vāle darvāze ke ūpar lakṛī kī chhoṭī sī chhat banāī gaī thī.

26barāmde ke donoṅ taraf khiṛkiyāṅ thīṅ, aur dīvāroṅ par khajūr ke daraḵẖt kandā kie gae the.