Hizqīel 40
rabb ke nae ghar kī royā
1hamārī jilāvatanī ke 25veṅ sāl meṅ rabb kā hāth mujh par ā ṭhaharā aur vah mujhe yarūshalam le gayā. mahīne kā dasvāṅ din [a] 28 aprail. thā. us vaqt yarūshalam ko dushman ke qabze meṅ āe 14 sāl ho gae the. 2ilāhī royāoṅ meṅ allāh ne mujhe mulk-e-isrāīl ke ek nihāyat buland pahāṛ par pahuṅchāyā. pahāṛ ke junūb meṅ mujhe ek shahar sā nazar āyā. 3allāh mujhe shahar ke qarīb le gayā to maiṅ ne shahar ke darvāze meṅ khaṛe ek ādmī ko dekhā jo pītal kā banā huā lag rahā thā. us ke hāth meṅ katān kī rassī aur fītā thā. 4us ne mujh se kahā, “ai ādamzād, dhyān se dekh, ġaur se sun! jo kuchh bhī maiṅ tujhe dikhāūṅgā, us par tavajjuh de. kyūṅki tujhe isī liye yahāṅ lāyā gayā hai ki maiṅ tujhe yah dikhāūṅ. jo kuchh bhī tū dekhe use isrāīlī qaum ko sunā de!”
rabb ke ghar ke bairūnī sahan kā mashriqī darvāzā
5maiṅ ne dekhā ki rabb ke ghar kā sahan chārdīvārī se ghirā huā hai. jo fītā mere rāhanumā ke hāth meṅ thā us kī lambāī sāḍhe 10 fuṭ thī. is ke zarīe us ne chārdīvārī ko nāp liyā. dīvār kī moṭāī aur lambāī donoṅ sāḍhe das das fuṭ thī.
6phir merā rāhanumā mashriqī darvāze ke pās pahuṅchāne vālī sīṛhī par chaṛh kar darvāze kī dahalīz par ruk gayā. jab us ne us kī paimāish kī to us kī gaharāī sāḍhe 10 fuṭ niklī.
7jab vah darvāze meṅ khaṛā huā to dāīṅ aur bāīṅ taraf paharedāroṅ ke tīn tīn kamre nazar āe. har kamre kī lambāī aur chauṛāī sāḍhe das das fuṭ thī. kamroṅ ke darmiyān kī dīvār paune nau fuṭ moṭī thī. in kamroṅ ke bād ek aur dahalīz thī jo sāḍhe 10 fuṭ gaharī thī. us par se guzar kar ham darvāze se mulhiq ek barāmde meṅ āe jis kā ruḵẖ rabb ke ghar kī taraf thā. 8mere rāhanumā ne barāmde kī paimāish kī 9to patā chalā ki us kī lambāī 14 fuṭ hai. darvāze ke satūn-numā bāzū sāḍhe 3 fuṭ moṭe the. barāmde kā ruḵẖ rabb ke ghar kī taraf thā. 10paharedāroṅ ke mazkūrā kamre sab ek jaise baṛe the, aur un ke darmiyān vālī dīvāreṅ sab ek jaisī moṭī thīṅ.
11is ke bād us ne darvāze kī guzargāh kī chauṛāī nāpī. yah mil milā kar paune 23 fuṭ thī, alabattā jab kivāṛ khule the to un ke darmiyān kā fāsilā sāḍhe 17 fuṭ thā. 12paharedāroṅ ke har kamre ke sāmne ek chhoṭī sī dīvār thī jis kī ūṅchāī 21 iṅch thī jabki har kamre kī lambāī aur ūṅchāī sāḍhe das das fuṭ thī. 13phir mere rāhanumā ne vah fāsilā nāpā jo in kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīvār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīvār tak thā. mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
14sahan meṅ darvāze se mulhiq vah barāmdā thā jis kā ruḵẖ rabb ke ghar kī taraf thā. us kī chauṛāī 33 fuṭ thī. [b] ibrānī matan meṅ is āyat kā matlab ġairvāzih hai. 15jo bāhar se darvāze meṅ dāḵẖil hotā thā vah sāḍhe 87 fuṭ ke bād hī sahan meṅ pahuṅchtā thā.
16paharedāroṅ ke tamām kamroṅ meṅ chhoṭī khiṛkiyāṅ thīṅ. kuchh bairūnī dīvār meṅ thīṅ, kuchh kamroṅ ke darmiyān kī dīvāroṅ meṅ. darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ meṅ khajūr ke daraḵẖt munaqqash the.
rabb ke ghar kā bairūnī sahan
17phir merā rāhanumā darvāze meṅ se guzar kar mujhe rabb ke ghar ke bairūnī sahan meṅ lāyā. chārdīvārī ke sāth sāth 30 kamre banāe gae the jin ke sāmne patthar kā farsh thā. 18yah farsh chārdīvārī ke sāth sāth thā. jahāṅ darvāzoṅ kī guzaragāhaiṅ thīṅ vahāṅ farsh un kī dīvāroṅ se lagtā thā. jitnā lambā in guzaragāhoṅ kā vah hissā thā jo sahan meṅ thā utnā hī chauṛā farsh bhī thā. yah farsh andrūnī sahan kī nisbat nīchā thā.
19bairūnī aur andrūnī sahanoṅ ke darmiyān bhī darvāzā thā. yah bairūnī darvāze ke muqābil thā. jab mere rāhanumā ne donoṅ darvāzoṅ kā darmiyānī fāsilā nāpā to mālūm huā ki 175 fuṭ hai.
bairūnī sahan kā shimālī darvāzā
20is ke bād us ne chārdīvārī ke shimālī darvāze kī paimāish kī.
21is darvāze meṅ bhī dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn kamre the jo mashriqī darvāze ke kamroṅ jitne baṛe the. us meṅ se guzar kar ham vahāṅ bhī darvāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḵẖ rabb ke ghar kī taraf thā. us kī aur us ke satūn-numā bāzūoṅ kī lambāī aur chauṛāī utnī hī thī jitnī mashriqī darvāze ke barāmde aur us ke satūn-numā bāzūoṅ kī thī. guzargāh kī pūrī lambāī sāḍhe 87 fuṭ thī. jab mere rāhanumā ne vah fāsilā nāpā jo paharedāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīvār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīvār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 22darvāze se mulhiq barāmdā, khiṛkiyāṅ aur kandā kie gae khajūr ke daraḵẖt usī tarah banāe gae the jis tarah mashriqī darvāze meṅ. bāhar ek sīṛhī darvāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. mashriqī darvāze kī tarah shimālī darvāze ke andrūnī sire ke sāth ek barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā.
23mashriqī darvāze kī tarah is darvāze ke muqābil bhī andrūnī sahan meṅ pahuṅchāne vālā darvāzā thā. donoṅ darvāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā.
bairūnī sahan kā junūbī darvāzā
24is ke bād merā rāhanumā mujhe bāhar le gayā. chalte chalte ham junūbī chārdīvārī ke pās pahuṅche. vahāṅ bhī darvāzā nazar āyā. us meṅ se guzar kar ham vahāṅ bhī darvāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḵẖ rabb ke ghar kī taraf thā. yah barāmdā darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ samet dīgar darvāzoṅ ke barāmde jitnā baṛā thā. 25darvāze aur barāmde kī khiṛkiyāṅ bhī dīgar khiṛkiyoṅ kī mānind thīṅ. guzargāh kī pūrī lambāī sāḍhe 87 fuṭ thī. jab us ne vah fāsilā nāpā jo paharedāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīvār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīvār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 26bāhar ek sīṛhī darvāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. dīgar darvāzoṅ kī tarah junūbī darvāze ke andrūnī sire ke sāth barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā. barāmde ke donoṅ satūn-numā bāzūoṅ par khajūr ke daraḵẖt kandā kie gae the.
27is darvāze ke muqābil bhī andrūnī sahan meṅ pahuṅchāne vālā darvāzā thā. donoṅ darvāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā.
andrūnī sahan kā junūbī darvāzā
28phir merā rāhanumā junūbī darvāze meṅ se guzar kar mujhe andrūnī sahan meṅ lāyā. jab us ne vahāṅ kā darvāzā nāpā to mālūm huā ki vah bairūnī darvāzoṅ kī mānind hai. 29-30 paharedāroṅ ke kamre, barāmdā aur us ke satūn-numā bāzū sab paimāish ke hisāb se dīgar darvāzoṅ kī mānind the. is darvāze aur is ke sāth mulhiq barāmde meṅ bhī khiṛkiyāṅ thīṅ. guzargāh kī pūrī lambāī sāḍhe 87 fuṭ thī. jab mere rāhanumā ne vah fāsilā nāpā jo paharedāroṅ ke kamre meṅ se ek kī pichhlī dīvār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīvār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai. 31lekin us ke barāmde kā ruḵẖ bairūnī sahan kī taraf thā. us meṅ pahuṅchne ke liye ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the. darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ par khajūr ke daraḵẖt kandā kie gae the.
andrūnī sahan kā mashriqī darvāzā
32is ke bād merā rāhanumā mujhe mashriqī darvāze se ho kar andrūnī sahan meṅ lāyā. jab us ne yah darvāzā nāpā to mālūm huā ki yah bhī dīgar darvāzoṅ jitnā baṛā hai. 33paharedāroṅ ke kamre, darvāze ke satūn-numā bāzū aur barāmdā paimāish ke hisāb se dīgar darvāzoṅ kī mānind the. yahāṅ bhī darvāze aur barāmde meṅ khiṛkiyāṅ lagī thīṅ. guzargāh kī lambāī sāḍhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī. 34is darvāze ke barāmde kā ruḵẖ bhī bairūnī sahan kī taraf thā. darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ par khajūr ke daraḵẖt kandā kie gae the. barāmde meṅ pahuṅchne ke liye ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the.
andrūnī sahan kā shimālī darvāzā
35phir merā rāhanumā mujhe shimālī darvāze ke pās lāyā. us kī paimāish karne par mālūm huā ki yah bhī dīgar darvāzoṅ jitnā baṛā hai. 36paharedāroṅ ke kamre, satūn-numā bāzū, barāmdā aur dīvāroṅ meṅ khiṛkiyāṅ bhī dūsre darvāzoṅ kī mānind thīṅ. guzargāh kī lambāī sāḍhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī. 37us ke barāmde kā ruḵẖ bhī bairūnī sahan kī taraf thā. darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ par khajūr ke daraḵẖt kandā kie gae the. us meṅ pahuṅchne ke liye ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the.
andrūnī shimālī darvāze ke pās zabah kā band-o-bast
38andrūnī shimālī darvāze ke barāmde meṅ darvāzā thā jis meṅ se guzar kar insān us kamre meṅ dāḵẖil hotā thā jahāṅ un zabah kie hue jānvaroṅ ko dhoyā jātā thā jinheṅ bhasm karnā hotā thā. 39barāmde meṅ chār mezeṅ thīṅ, kamre ke donoṅ taraf do do mezeṅ. in mezoṅ par un jānvaroṅ ko zabah kiyā jātā thā jo bhasm hone vālī qurbāniyoṅ, gunāh kī qurbāniyoṅ aur qusūr kī qurbāniyoṅ ke liye maḵẖsūs the. 40is barāmde se bāhar mazīd chār aisī mezeṅ thīṅ, do ek taraf aur do dūsrī taraf. 41mil milā kar āṭh mezeṅ thīṅ jin par qurbāniyoṅ ke jānvar zabah kie jāte the. chār barāmde ke andar aur chār us se bāhar ke sahan meṅ thīṅ.
42barāmde kī chār mezeṅ tarāshe hue patthar se banāī gaī thīṅ. har ek kī lambāī aur chauṛāī sāḍhe 31 iṅch aur ūṅchāī 21 iṅch thī. un par vah tamām ālāt paṛe the jo jānvaroṅ ko bhasm hone vālī qurbānī aur bāqī qurbāniyoṅ ke liye tayyār karne ke liye darkār the. 43jānvaroṅ kā gosht in mezoṅ par rakhā jātā thā. ird-gird kī dīvāroṅ meṅ tīn tīn iṅch lambī hukeṅ lagī thīṅ.
44phir ham andrūnī sahan meṅ dāḵẖil hue. vahāṅ shimālī darvāze ke sāth ek kamrā mulhiq thā jo andrūnī sahan kī taraf khulā thā aur jis kā ruḵẖ junūb kī taraf thā. junūbī darvāze ke sāth bhī aisā kamrā thā. us kā ruḵẖ shimāl kī taraf thā. 45mere rāhanumā ne mujh se kahā, “jis kamre kā ruḵẖ junūb kī taraf hai vah un imāmoṅ ke liye hai jo rabb ke ghar kī dekh-bhāl karte haiṅ, 46jabki jis kamre kā ruḵẖ shimāl kī taraf hai vah un imāmoṅ ke liye hai jo qurbāngāh kī dekh-bhāl karte haiṅ. tamām imām sadoq kī aulād haiṅ. lāvī ke qabīle meṅ se sirf un hī ko rabb ke huzūr ā kar us kī ḵẖidmat karne kī ijāzat hai.”
andrūnī sahan aur rabb kā ghar
47mere rāhanumā ne andrūnī sahan kī paimāish kī. us kī lambāī aur chauṛāī 175 fuṭ thī. qurbāngāh is sahan meṅ rabb ke ghar ke sāmne hī thī. 48phir us ne mujhe rabb ke ghar ke barāmde meṅ le jā kar darvāze ke satūn-numā bāzūoṅ kī paimāish kī. mālūm huā ki yah paune 9 fuṭ moṭe haiṅ. darvāze kī chauṛāī sāḍhe 24 fuṭ thī jabki dāeṅ bāeṅ kī dīvāroṅ kī lambāī savā pāṅch pāṅch fuṭ thī. 49chunāṅche barāmde kī pūrī chauṛāī 35 aur lambāī 21 fuṭ thī. us meṅ dāḵẖil hone ke liye das qadamchoṅ vālī sīṛhī banāī gaī thī. darvāze ke donoṅ satūn-numā bāzūoṅ ke sāth sāth ek ek satūn khaṛā kiyā gayā thā.