Hizqīel 39
1ai ādamzād, jūj ke ḵẖilāf nubuvvat karke kah,
‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai masak aur tūbal ke ālā raīs jūj, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. 2maiṅ terā muṅh pher dūṅgā aur tujhe shimāl ke dūrdarāz ilāqe se ghasīṭ kar isrāīl ke pahāṛoṅ par lāūṅgā. 3vahāṅ maiṅ tere bāeṅ hāth se kamān haṭāūṅgā aur tere dāeṅ hāth se tīr girā dūṅgā. 4isrāīl ke pahāṛoṅ par hī tū apne tamām bain-ul-aqvāmī faujiyoṅ ke sāth halāk ho jāegā. maiṅ tujhe har qism ke shikārī parindoṅ aur darindoṅ ko khilā dūṅgā. 5kyūṅki terī lāsh khule maidān meṅ gir kar paṛī rahegī. yah merā, rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
6maiṅ mājūj par aur apne āp ko mahfūz samajhne vāle sāhilī ilāqoṅ par āg bhejūṅgā. tab vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ. 7apnī qaum isrāīl ke darmiyān hī maiṅ apnā muqaddas nām zāhir karūṅgā. āindā maiṅ apne muqaddas nām kī behuramtī bardāsht nahīṅ karūṅgā. tab aqvām jān leṅgī ki maiṅ rabb aur isrāīl kā quddūs hūṅ. 8rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yah sab kuchh hone vālā hai, yah zarūr pesh āegā! vahī din hai jis kā zikr maiṅ kar chukā hūṅ.
jūj aur us kī fauj kī tadfīn
9phir isrāīlī shaharoṅ ke bāshinde maidān-e-jaṅg meṅ jā kar dushman ke asalihā ko īṅdhan ke liye jamā kareṅge. itnī chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ, kamān, tīr, lāṭhiyāṅ aur neze ikaṭṭhe ho jāeṅge ki sāt sāl tak kisī aur īṅdhan kī zarūrat nahīṅ hogī. 10isrāīliyoṅ ko khule maidān meṅ lakṛī chunne yā jaṅgal meṅ daraḵẖt kāṭne kī zarūrat nahīṅ hogī, kyūṅki vah yah hathiyār īṅdhan ke taur par istemāl kareṅge. ab vah unheṅ lūṭeṅge jinhoṅ ne unheṅ lūṭ liyā thā, vah un se māl-maveshī chhīn leṅge jinhoṅ ne un se sab kuchh chhīn liyā thā. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
11us din maiṅ isrāīl meṅ jūj ke liye qabristān muqarrar karūṅgā. yah qabristān vādī-e-abārīm [a] yā guzarne vāloṅ kī vādī. meṅ hogā jo bahīrā-e-murdār ke mashriq meṅ hai. jūj ke sāth us kī tamām fauj bhī dafan hogī, is liye musāfir āindā us meṅ se nahīṅ guzar sakeṅge. tab vah jagah vādī-e-hamūn jūj [b] jūj ke faujī hujūm kī vādī. bhī kahalāegī. 12jab isrāīlī tamām lāsheṅ dafnā kar mulk ko pāk-sāf kareṅge to sāt mahīne lageṅge. 13tamām ummat is kām meṅ masrūf rahegī. rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis din maiṅ duniyā par apnā jalāl zāhir karūṅgā us din yah un ke liye shuharat kā bāis hogā.
14sāt mahīnoṅ ke bād kuchh ādmiyoṅ ko alag karke kahā jāegā ki pūre mulk meṅ se guzar kar mālūm kareṅ ki abhī kahāṅ kahāṅ lāsheṅ paṛī haiṅ. kyūṅki lāzim hai ki sab dafan ho jāeṅ tāki mulk dubārā pāk-sāf ho jāe. 15jahāṅ kahīṅ koī lāsh nazar āe us jagah kī vah nishāndihī kareṅge tāki dafnāne vāle use vādī-e-hamūn jūj meṅ le jā kar dafan kareṅ. 16yūṅ mulk ko pāk-sāf kiyā jāegā. us vaqt se isrāīl ke ek shahar kā nām hamūnā [c] hujūm yānī jūj ke. kahalāegā.’
17ai ādamzād, rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki har qism ke parinde aur darinde bulā kar kah, ‘āo, idhar jamā ho jāo! chāroṅ taraf se ā kar isrāīl ke pahāṛī ilāqe meṅ jamā ho jāo! kyūṅki yahāṅ maiṅ tumhāre liye qurbānī kī zabardast ziyāfat tayyār kar rahā hūṅ. yahāṅ tumheṅ gosht khāne aur ḵẖūn pīne kā sunaharā mauqā milegā. 18tum sūrmāoṅ kā gosht aur duniyā ke hukmarānoṅ kā ḵẖūn piyoge. sab basan ke moṭe-tāze meṅḍhoṅ, bheṛ ke bacchoṅ, bakroṅ aur bailoṅ jaise mazedār hoṅge. 19kyūṅki jo qurbānī meṅ tumhāre liye tayyār kar rahā hūṅ us kī charbī tum jī bhar kar khāoge, us kā ḵẖūn pī pī kar mast ho jāoge. 20rabb farmātā hai ki tum merī mez par baiṭh kar ghoṛoṅ aur ghuṛasavāroṅ, sūrmāoṅ aur har qism ke faujiyoṅ se ser ho jāoge.’
rabb apnī qaum vāpas lāegā
21yūṅ maiṅ dīgar aqvām par apnā jalāl zāhir karūṅgā. kyūṅki jab maiṅ jūj aur us kī fauj kī adālat karke un se nipaṭ lūṅgā to tamām aqvām is kī gavāh hoṅgī. 22tab isrāīlī qaum hameshā ke liye jān legī ki maiṅ rabb us kā ḵẖudā hūṅ. 23aur dīgar aqvām jān leṅgī ki isrāīlī apne gunāhoṅ ke sabab se jilāvatan hue. vah jān leṅgī ki chūṅki isrāīlī mujh se bevafā hue, isī liye maiṅ ne apnā muṅh un se chhupā kar unheṅ un ke dushmanoṅ ke havāle kar diyā, isī liye vah sab talvār kī zad meṅ ā kar halāk hue. 24kyūṅki maiṅ ne unheṅ un kī nāpākī aur jarāim kā munāsib badlā de kar apnā chiharā un se chhupā liyā thā.
25chunāṅche rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ab maiṅ yāqūb kī aulād ko bahāl karke tamām isrāīlī qaum par taras khāūṅgā. ab maiṅ baṛī ġairat se apne muqaddas nām kā difā karūṅgā. 26jab isrāīlī sukūn se aur ḵẖauf khāe baġair apne mulk meṅ raheṅge to vah apnī rusvāī aur mere sāth bevafāī kā etirāf kareṅge. 27maiṅ unheṅ dīgar aqvām aur un ke dushmanoṅ ke mamālik meṅ se jamā karke unheṅ vāpas lāūṅgā aur yūṅ un ke zarīe apnā muqaddas kirdār mut’addid aqvām par zāhir karūṅgā. 28tab vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ. kyūṅki unheṅ aqvām meṅ jilāvatan karne ke bād maiṅ unheṅ un ke apne hī mulk meṅ dubārā jamā karūṅgā. ek bhī pīchhe nahīṅ chhoṛā jāegā. 29rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āindā maiṅ apnā chiharā un se nahīṅ chhupāūṅgā. kyūṅki maiṅ apnā rūh isrāīlī qaum par uṅḍel dūṅgā.”