Hizqīel 38

isrāīl kā dushman jūj

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, mulk-e-mājūj ke hukmarān jūj kī taraf ruḵẖ kar jo masak aur tūbal kā ālā raīs hai. us ke ḵẖilāf nubuvvat karke 3kah,

‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai masak aur tūbal ke ālā raīs jūj, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. 4maiṅ tere muṅh ko pher dūṅgā, tere muṅh meṅ kāṅṭe ḍāl kar tujhe pūrī fauj samet nikāl dūṅgā. shāndār vardiyoṅ se ārāstā tere tamām ghuṛsavār aur faujī apne ghoṛoṅ samet nikal āeṅge, go terī baṛī fauj ke mard chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ uṭhāe phireṅge, aur har ek talvār se les hogā. 5fārs, ethopiyā aur libiyā ke mard bhī fauj meṅ shāmil hoṅge. har ek baṛī ḍhāl aur ḵẖod se musallah hogā. 6jumar aur shimāl ke dūrdarāz ilāqe bait-tujarmā ke tamām daste bhī sāth hoṅge. ġaraz us vaqt bahut sī qaumeṅ tere sāth nikaleṅgī. 7chunāṅche mustaid ho jā! jitne lashkar tere ird-gird jamā ho gae haiṅ un ke sāth mil kar ḵẖūb tayyāriyāṅ kar! un ke liye paharādārī kar.

8mut’addid dinoṅ ke bād tujhe mulk-e-isrāīl par hamlā karne ke liye bulāyā jāegā jise abhī jaṅg se chhuṭkārā milā hogā aur jis ke jilāvatan dīgar bahut sī qaumoṅ meṅ se vāpas ā gae hoṅge. go isrāīl kā pahāṛī ilāqā baṛī der se barbād huā hogā, lekin us vaqt us ke bāshinde jilāvatanī se vāpas ā kar amn-o-amān se us meṅ baseṅge.

9tab tū tūfān kī tarah āge baṛhegā, tere daste bādal kī tarah pūre mulk par chhā jāeṅge. tere sāth bahut sī qaumeṅ hoṅgī. 10rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us vaqt tere zahan meṅ bure ḵẖayālāt ubhar āeṅge aur tū sharīr mansūbe bāṅdhegā. 11tū kahegā, “yah mulk khulā hai, aur us ke bāshinde ārām aur sukūn ke sāth rah rahe haiṅ. āo, maiṅ un par hamlā karūṅ, kyūṅki vah apnī hifāzat nahīṅ kar sakte. na un kī chārdīvārī hai, na darvāzā yā kuṅḍā. 12maiṅ isrāīliyoṅ ko lūṭ lūṅgā. jo shahar pahale khaṅḍarāt the lekin ab nae sire se ābād hue haiṅ un par maiṅ ṭūṭ paṛūṅgā. jo jilāvatan dīgar aqvām se vāpas ā gae haiṅ un kī daulat maiṅ chhīn lūṅgā. kyūṅki unheṅ kāfī māl-maveshī hāsil hue haiṅ, aur ab vah duniyā ke markaz meṅ ā base haiṅ.” 13sabā, dadān aur tarsīs ke tājir aur buzurg pūchheṅge ki kyā tū ne vāqaī apne faujiyoṅ ko lūṭ-mār ke liye ikaṭṭhā kar liyā hai? kyā tū vāqaī sonā-chāṅdī, māl-maveshī aur bāqī bahut sī daulat chhīnnā chāhatā hai?’

14ai ādamzād, nubuvvat karke jūj ko batā, ‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us vaqt tujhe patā chalegā ki merī qaum isrāīl sukūn se zindagī guzār rahī hai, 15aur tū dūrdarāz shimāl ke apne mulk se niklegā. terī vasī aur tāqatvar fauj meṅ mut’addid qaumeṅ shāmil hoṅgī, aur sab ghoṛoṅ par savār 16merī qaum isrāīl par dhāvā bol deṅge. vah us par bādal kī tarah chhā jāeṅge. ai jūj, un āḵẖirī dinoṅ meṅ maiṅ ḵẖud tujhe apne mulk par hamlā karne dūṅgā tāki dīgar aqvām mujhe jān leṅ. kyūṅki jo kuchh maiṅ un ke dekhte dekhte tere sāth karūṅgā us se merā muqaddas kirdār un par zāhir ho jāegā. 17rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū vahī hai jis kā zikr maiṅ ne māzī meṅ kiyā thā. kyūṅki māzī meṅ mere ḵẖādim yānī isrāīl ke nabī kāfī sāloṅ se peshgoī karte rahe ki maiṅ tujhe isrāīl ke ḵẖilāf bhejūṅgā.

allāh ḵẖud jūj ko tabāh karegā

18rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis din jūj mulk-e-isrāīl par hamlā karegā us din maiṅ āg-bagūlā ho jāūṅgā. 19maiṅ farmātā hūṅ ki us din merī ġairat aur shadīd qahar yūṅ bhaṛak uṭhegā ki yaqīnan mulk-e-isrāīl meṅ zabardast zalzlā āegā. 20sab mere sāmne tharathrā uṭheṅge, ḵẖwāh machhliyāṅ hoṅ yā parinde, ḵẖwāh zamīn par chalne aur reṅgne vāle jānvar hoṅ yā insān. pahāṛ un kī guzaragāhoṅ samet ḵẖāk meṅ milāe jāeṅge, aur har dīvār gir jāegī.

21rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ apne tamām pahāṛī ilāqe meṅ jūj ke ḵẖilāf talvār bhejūṅgā. tab sab āpas meṅ laṛne lageṅge. 22maiṅ un meṅ muhalak bīmāriyāṅ aur qatl-o-ġārat phailā kar un kī adālat karūṅgā. sāth sāth maiṅ mūslādhār bārish, ole, āg aur gaṅdhak jūj aur us kī bain-ul-aqvāmī fauj par barsā dūṅgā. 23yūṅ maiṅ apnā azīm aur muqaddas kirdār mut’addid qaumoṅ par zāhir karūṅgā, un ke dekhte dekhte apne āp kā izhār karūṅgā. tab vah jān leṅgī ki maiṅ hī rabb hūṅ.’