Hizqīel 37
haḍḍiyoṅ se bharī vādī kī royā
1ek din rabb kā hāth mujh par ā ṭhaharā. rabb ne mujhe apne rūh se bāhar le jā kar ek khulī vādī ke bīch meṅ khaṛā kiyā. vādī haḍḍiyoṅ se bharī thī. 2us ne mujhe un meṅ se guzarne diyā to maiṅ ne dekhā ki vādī kī zamīn par beshumār haḍḍiyāṅ bikhrī paṛī haiṅ. yah haḍḍiyāṅ sarāsar sūkhī huī thīṅ.
3rabb ne mujh se pūchhā, “ai ādamzād, kyā yah haḍḍiyāṅ dubārā zindā ho saktī haiṅ?” maiṅ ne javāb diyā, “ai rabb qādir-e-mutlaq, tū hī jāntā hai.”
4tab us ne farmāyā, “nubuvvat karke haḍḍiyoṅ ko batā, ‘ai sūkhī huī haḍḍiyo, rabb kā kalām suno! 5rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tum meṅ dam ḍālūṅgā to tum dubārā zindā ho jāogī. 6maiṅ tum par naseṅ aur gosht chaṛhā kar sab kuchh jild se ḍhāṁp dūṅgā. maiṅ tum meṅ dam ḍāl dūṅgā, aur tum zindā ho jāogī. tab tum jān logī ki maiṅ hī rabb hūṅ’.”
7maiṅ ne aisā hī kiyā. aur jūṅ hī maiṅ nubuvvat karne lagā to shor mach gayā. haḍḍiyāṅ khaṛkhaṛāte hue ek dūsrī ke sāth juṛ gaīṅ, aur hote hote pūre ḍhāṅche ban gae. 8mere dekhte dekhte naseṅ aur gosht ḍhāṅchoṅ par chaṛh gayā aur sab kuchh jild se ḍhāṁpā gayā. lekin ab tak jismoṅ meṅ dam nahīṅ thā.
9phir rabb ne farmāyā, “ai ādamzād, nubuvvat karke dam se muḵẖātib ho jā, ‘ai dam, rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chāroṅ taraf se ā kar maqtūloṅ par phūṅk mār tāki dubārā zindā ho jāeṅ’.”
10maiṅ ne aisā hī kiyā to maqtūloṅ meṅ dam ā gayā, aur vah zindā ho kar apne pāoṅ par khaṛe ho gae. ek nihāyat baṛī fauj vujūd meṅ ā gaī thī!
11tab rabb ne farmāyā, “ai ādamzād, yah haḍḍiyāṅ isrāīlī qaum ke tamām afrād haiṅ. vah kahate haiṅ, ‘hamārī haḍḍiyāṅ sūkh gaī haiṅ, hamārī ummīd jātī rahī hai. ham ḵẖatm hī ho gae haiṅ!’ 12chunāṅche nubuvvat karke unheṅ batā,
‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai merī qaum, maiṅ tumhārī qabroṅ ko khol dūṅgā aur tumheṅ un meṅ se nikāl kar mulk-e-isrāīl meṅ vāpas lāūṅgā. 13ai merī qaum, jab maiṅ tumhārī qabroṅ ko khol dūṅgā aur tumheṅ un meṅ se nikāl lāūṅgā tab tum jān loge ki maiṅ hī rabb hūṅ. 14maiṅ apnā rūh tum meṅ ḍāl dūṅgā to tum zindā ho jāoge. phir maiṅ tumheṅ tumhāre apne mulk meṅ basā dūṅgā. tab tum jān loge ki yah merā, rabb kā farmān hai aur maiṅ yah karūṅgā bhī’.”
yahūdāh aur isrāīl muttahid ho jāeṅge
15rabb mujh se hamkalām huā, 16“ai ādamzād, lakṛī kā ṭukṛā le kar us par likh de, ‘junūbī qabīlā yahūdāh aur jitne isrāīlī qabīle us ke sāth muttahid haiṅ.’ phir lakṛī kā ek aur ṭukṛā le kar us par likh de, ‘shimālī qabīlā yūsuf yānī ifrāīm aur jitne isrāīlī qabīle us ke sāth muttahid haiṅ.’ 17ab lakṛī ke donoṅ ṭukṛe ek dūsre ke sāth yūṅ joṛ de ki tere hāth meṅ ek ho jāeṅ.
18tere hamvatan tujh se pūchheṅge, ‘kyā āp hameṅ is kā matlab nahīṅ batāeṅge?’ 19tab unheṅ batā, ‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ yūsuf yānī lakṛī ke mālik ifrāīm aur us ke sāth muttahid isrāīlī qabīloṅ ko le kar yahūdāh kī lakṛī ke sāth joṛ dūṅgā. mere hāth meṅ vah lakṛī kā ek hī ṭukṛā ban jāeṅge.’
20apne hamvatanoṅ kī maujūdgī meṅ lakṛī ke mazkūrā ṭukṛe hāth meṅ thāme rakh 21aur sāth sāth unheṅ batā, ‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ isrāīliyoṅ ko un qaumoṅ meṅ se nikāl lāūṅgā jahāṅ vah jā base haiṅ. maiṅ unheṅ jamā karke un ke apne mulk meṅ vāpas lāūṅgā. 22vahīṅ isrāīl ke pahāṛoṅ par maiṅ unheṅ muttahid karke ek hī qaum banā dūṅgā. un par ek hī bādshāh hukūmat karegā. āindā vah na kabhī do qaumoṅ meṅ taqsīm ho jāeṅge, na do saltanatoṅ meṅ. 23āindā vah apne āp ko na apne butoṅ yā bāqī makrūh chīzoṅ se nāpāk kareṅge, na un gunāhoṅ se jo ab tak karte āe haiṅ. maiṅ unheṅ un tamām maqāmoṅ se nikāl kar chhuṛāūṅgā jin meṅ unhoṅ ne gunāh kiyā hai. maiṅ unheṅ pāk-sāf karūṅgā. yūṅ vah merī qaum hoṅge aur maiṅ un kā ḵẖudā hūṅgā. 24merā ḵẖādim dāūd un kā bādshāh hogā, un kā ek hī gallābān hogā. tab vah merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāreṅge aur dhyān se mere ahkām par amal kareṅge.
25jo mulk maiṅ ne apne ḵẖādim yāqūb ko diyā thā aur jis meṅ tumhāre bāpdādā rahate the us meṅ isrāīlī dubārā baseṅge. hāṅ, vah aur un kī aulād hameshā tak us meṅ ābād raheṅge, aur merā ḵẖādim dāūd abad tak un par hukūmat karegā. 26tab maiṅ un ke sāth salāmatī kā ahd bāṅdhūṅgā, ek aisā ahd jo hameshā tak qāim rahegā. maiṅ unheṅ qāim karke un kī tādād baṛhātā jāūṅgā, aur merā maqdis abad tak un ke darmiyān rahegā. 27vah merī sukūnatgāh ke sāy meṅ baseṅge. maiṅ un kā ḵẖudā hūṅgā, aur vah merī qaum hoṅge. 28jab merā maqdis abad tak un ke darmiyān hogā to dīgar aqvām jān leṅgī ki maiṅ hī rabb hūṅ, ki isrāīl ko muqaddas karne vālā maiṅ hī hūṅ’.”