Hizqīel 35
adom registān banegā
1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, saīr ke pahāṛī ilāqe kī taraf ruḵẖ karke us ke ḵẖilāf nubuvvat kar! 3use batā,
‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai saīr ke pahāṛī ilāqe, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. maiṅ apnā hāth tere ḵẖilāf uṭhā kar tujhe vīrān-o-sunsān kar dūṅgā. 4maiṅ tere shaharoṅ ko malbe ke ḍher banā dūṅgā, aur tū sarāsar ujaṛ jāegā. tab tū jān legā ki maiṅ hī rabb hūṅ.
5tū hameshā isrāīliyoṅ kā saḵẖt dushman rahā hai, aur jab un par āfat āī aur un kī sazā urūj tak pahuṅchī to tū bhī talvār le kar un par ṭūṭ paṛā. 6is liye rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tujhe qatl-o-ġārat ke havāle karūṅgā, aur qatl-o-ġārat terā tāqqub kartī rahegī. chūṅki tū ne qatl-o-ġārat karne se nafrat na kī, is liye qatl-o-ġārat tere pīchhe paṛī rahegī. 7maiṅ saīr ke pahāṛī ilāqe ko vīrān-o-sunsān karke vahāṅ ke tamām āne jāne vāloṅ ko miṭā ḍālūṅgā. 8tere pahāṛī ilāqe ko maiṅ maqtūloṅ se bhar dūṅgā. talvār kī zad meṅ āne vāle har taraf paṛe raheṅge. terī pahāṛiyoṅ, vādiyoṅ aur tamām ghāṭiyoṅ meṅ lāsheṅ nazar āeṅgī . 9mere hukm par tū abad tak vīrān rahegā, aur tere shahar ġair’ābād raheṅge. tab tū jān legā ki maiṅ hī rabb hūṅ.
10tū bolā, “isrāīl aur yahūdāh kī donoṅ qaumeṅ apne ilāqoṅ samet merī hī haiṅ! āo ham un par qabzā kareṅ.” tujhe ḵẖayāl tak nahīṅ āyā ki rabb vahāṅ maujūd hai. 11is liye rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tujh se vahī sulūk karūṅgā jo tū ne un se kiyā jab tū ne ġusse aur hasad ke ālam meṅ un par apnī pūrī nafrat kā izhār kiyā. lekin un hī par maiṅ apne āp ko zāhir karūṅgā jab maiṅ terī adālat karūṅgā. 12us vaqt tū jān legā ki maiṅ, rabb ne vah tamām kufr sun liyā hai jo tū ne isrāīl ke pahāṛoṅ ke ḵẖilāf bakā hai. kyūṅki tū ne kahā, “yah ujaṛ gae haiṅ, ab yah hamāre qabze meṅ ā gae haiṅ aur ham unheṅ khā sakte haiṅ.” 13tū ne sheḵẖī mār mār kar mere ḵẖilāf kufr bakā hai, lekin ḵẖabardār! maiṅ ne in tamām bātoṅ par tavajjuh dī hai. 14rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū ne ḵẖushī manāī ki pūrā mulk vīrān-o-sunsān hai, lekin maiṅ tujhe bhī utnā hī vīrān kar dūṅgā. 15tū kitnā ḵẖush huā jab isrāīl kī maurūsī zamīn ujaṛ gaī! ab maiṅ tere sāth bhī aisā hī karūṅgā. ai saīr ke pahāṛī ilāqe, tū pūre adom samet vīrān-o-sunsān ho jāegā. tab vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ.’