Hizqīel 31

misrī daraḵẖt dhaṛām se gir jāegā

1yahūyākīn bādshāh kī jilāvatanī ke gyāraveṅ sāl meṅ rabb mujh se hamkalām huā. tīsre mahīne kā pahalā din [a] 21 jūn. thā. us ne farmāyā, 2“ai ādamzād, misrī bādshāh firaaun aur us kī shān-o-shaukat se kah,

‘kaun tujh jaisā azīm thā? 3tū sarv kā daraḵẖt, lubnān kā deodār kā daraḵẖt thā, jis kī ḵẖūbsūrat aur ghanī shāḵẖeṅ jaṅgal ko sāyā detī thīṅ. vah itnā baṛā thā ki us kī choṭī bādloṅ meṅ ojhal thī. 4pānī kī kasrat ne use itnī taraqqī dī, gahare chashmoṅ ne use baṛā banā diyā. us kī nadiyāṅ tane ke chāroṅ taraf bahatī thīṅ aur phir āge jā kar khet ke bāqī tamām daraḵẖtoṅ ko bhī serāb kartī thīṅ. 5chunāṅche vah dīgar daraḵẖtoṅ se kahīṅ ziyādā baṛā thā. us kī shāḵẖeṅ baṛhtī aur us kī ṭahaniyāṅ lambī hotī gaīṅ. vāfir pānī ke bāis vah ḵẖūb phailtā gayā. 6tamām parinde apne ghoṅsle us kī shāḵẖoṅ meṅ banāte the. us kī shāḵẖoṅ kī āṛ meṅ jaṅglī jānvaroṅ ke bacche paidā hote, us ke sāy meṅ tamām azīm qaumeṅ bastī thīṅ. 7chūṅki daraḵẖt kī jaṛoṅ ko pānī kī kasrat miltī thī is liye us kī lambāī aur shāḵẖeṅ qābil-e-tārīf aur ḵẖūbsūrat ban gaīṅ. 8bāġ-e-ḵẖudā ke deodār ke daraḵẖt us ke barābar nahīṅ the. na jūnīpar kī ṭahaniyāṅ, na chanār kī shāḵẖeṅ us kī shāḵẖoṅ ke barābar thīṅ. bāġ-e-ḵẖudā meṅ koī bhī daraḵẖt us kī ḵẖūbsūrtī kā muqāblā nahīṅ kar saktā thā. 9maiṅ ne ḵẖud use mut’addid ḍāliyāṅ muhayyā karke ḵẖūbsūrat banāyā thā. allāh ke bāġ-e-adan ke tamām dīgar daraḵẖt us se rashak khāte the.

10lekin ab rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jab daraḵẖt itnā baṛā ho gayā ki us kī choṭī bādloṅ meṅ ojhal ho gaī to vah apne qad par faḵẖar karke maġrūr ho gayā.

11yah dekh kar maiṅ ne use aqvām ke sab se baṛe hukmarān ke havāle kar diyā tāki vah us kī bedīnī ke mutābiq us se nipaṭ le. maiṅ ne use nikāl diyā, 12to ajnabī aqvām ke sab se zālim logoṅ ne use ṭukṛe ṭukṛe karke zamīn par chhoṛ diyā. tab us kī shāḵẖeṅ pahāṛoṅ par aur tamām vādiyoṅ meṅ gir gaīṅ, us kī ṭahaniyāṅ ṭūṭ kar mulk kī tamām ghāṭiyoṅ meṅ paṛī rahīṅ. duniyā kī tamām aqvām us ke sāy meṅ se nikal kar vahāṅ se chalī gaīṅ. 13tamām parinde us ke kaṭe hue tane par baiṭh gae, tamām jaṅglī jānvar us kī sūkhī huī shāḵẖoṅ par leṭ gae. 14yah is liye huā ki āindā pānī ke kināre par lagā koī bhī daraḵẖt itnā baṛā na ho ki us kī choṭī bādloṅ meṅ ojhal ho jāe aur natījatan vah apne āp ko dūsroṅ se bartar samjhe. kyūṅki sab ke liye maut aur zamīn kī gaharāiyāṅ muqarrar haiṅ, sab ko pātāl meṅ utar kar murdoṅ ke darmiyān basnā hai.

15rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis vaqt yah daraḵẖt pātāl meṅ utar gayā us din maiṅ ne gaharāiyoṅ ke chashmoṅ ko us par mātam karne diyā aur un kī nadiyoṅ ko rok diyā tāki pānī itnī kasrat se na bahe. us kī ḵẖātir maiṅ ne lubnān ko mātmī libās pahanāe. tab khule maidān ke tamām daraḵẖt murjhā gae. 16vah itne dhaṛām se gir gayā jab maiṅ ne use pātāl meṅ un ke pās utār diyā jo gaṛhe meṅ utar chuke the ki dīgar aqvām ko dhachkā lagā. lekin bāġ-e-adan ke bāqī tamām daraḵẖtoṅ ko tasallī milī. kyūṅki go lubnān ke in chīdā aur behtarīn daraḵẖtoṅ ko pānī kī kasrat miltī rahī thī tāham yah bhī pātāl meṅ utar gae the. 17go yah baṛe daraḵẖt kī tāqat rahe the aur aqvām ke darmiyān rah kar us ke sāy meṅ apnā ghar banā liyā thā to bhī yah baṛe daraḵẖt ke sāth vahāṅ utar gae jahāṅ maqtūl un ke intizār meṅ the.

18ai misr, azmat aur shān ke lihāz se bāġ-e-adan kā kaun sā daraḵẖt terā muqāblā kar saktā hai? lekin tujhe bāġ-e-adan ke dīgar daraḵẖtoṅ ke sāth zamīn kī gaharāiyoṅ meṅ utārā jāegā. vahāṅ tū nāmaḵẖtūnoṅ aur maqtūloṅ ke darmiyān paṛā rahegā. rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yahī firaaun aur us kī shān-o-shaukat kā anjām hogā’.”

[a] 21 jūn.