Hizqīel 30

misr kī tāqat ḵẖatm ho jāegī

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, nubuvvat karke yah paiġām sunā de,

‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āh-o-zārī karo! us din par afsos 3jo āne vālā hai. kyūṅki rabb kā din qarīb hī hai. us din ghane bādal chhā jāeṅge, aur maiṅ aqvām kī adālat karūṅgā. 4misr par talvār nāzil ho kar vahāṅ ke bāshindoṅ ko mār ḍālegī. mulk kī daulat chhīn lī jāegī, aur us kī bunyādoṅ ko ḍhā diyā jāegā. yah dekh kar ethopiyā laraz uṭhegā, 5kyūṅki us ke log bhī talvār kī zad meṅ ā jāeṅge. kaī qaumoṅ ke afrād misriyoṅ ke sāth halāk ho jāeṅge. ethopiyā ke, libiyā ke, ludiyā ke, misr meṅ basne vāle tamām ajnabī qaumoṅ ke, kūb ke aur mere ahd kī qaum isrāīl ke log halāk ho jāeṅge. 6rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki misr ko sahārā dene vāle sab gir jāeṅge, aur jis tāqat par vah faḵẖar kartā hai vah jātī rahegī. shimāl meṅ mijdāl se le kar junūbī shahar asvān tak unheṅ talvār mār ḍālegī. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai. 7ird-gird ke dīgar mamālik kī tarah misr bhī vīrān-o-sunsān hogā, ird-gird ke dīgar shaharoṅ kī tarah us ke shahar bhī malbe ke ḍher hoṅge. 8jab maiṅ misr meṅ yūṅ āg lagā kar us ke madadgāroṅ ko kuchal ḍālūṅgā to log jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ.

9ab tak ethopiyā apne āp ko mahfūz samajhtā hai, lekin us din merī taraf se qāsid nikal kar us mulk ke bāshindoṅ ko aisī ḵẖabar pahuṅchāeṅge jis se vah tharathrā uṭheṅge. kyūṅki qāsid kashtiyoṅ meṅ baiṭh kar daryā-e-nīl ke zarīe un tak pahuṅcheṅge aur unheṅ ittilā deṅge ki misr tabāh ho gayā hai. yah sun kar vahāṅ ke log kāṁp uṭheṅge. yaqīn karo, yah din jald hī āne vālā hai. 10rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki shāh-e-bābal nabūkadnazzar ke zarīe maiṅ misr kī shān-o-shaukat chhīn lūṅgā. 11use fauj samet misr meṅ lāyā jāegā tāki use tabāh kare. tab aqvām meṅ se sab se zālim yah log apnī talvāroṅ ko chalā kar mulk ko maqtūloṅ se bhar deṅge. 12maiṅ daryā-e-nīl kī shāḵẖoṅ ko ḵẖushk karūṅgā aur misr ko faroḵẖt karke sharīr ādmiyoṅ ke havāle kar dūṅgā. pardesiyoṅ ke zarīe maiṅ mulk aur jo kuchh bhī us meṅ hai tabāh kar dūṅgā. yah merā, rabb kā farmān hai.

13rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ misrī butoṅ ko barbād karūṅgā aur memfis ke mujassme haṭā dūṅgā. misr meṅ hukmarān nahīṅ rahegā, aur maiṅ mulk par ḵẖauf tārī karūṅgā. 14mere hukm par junūbī misr barbād aur zuan nazar-e-ātish hogā. maiṅ thības kī adālat 15aur misrī qilae palūsiyam par apnā ġazab nāzil karūṅgā. hāṅ, thības kī shān-o-shaukat nest-o-nābūd ho jāegī. 16maiṅ misr ko nazar-e-ātish karūṅgā. tab palūsiyam dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāegā, thības dushman ke qabze meṅ āegā aur memfis musalsal musībat meṅ phaṅsā rahegā. 17dushman kī talvār hīliyopulis aur būbastis ke javānoṅ ko mār ḍālegī jabki bachī huī aurteṅ ġulām ban kar jilāvatan ho jāeṅgī. 18tahfanhīs meṅ din tārīk ho jāegā jab maiṅ vahāṅ misr ke jūe ko toṛ dūṅgā. vahīṅ us kī zabardast tāqat jātī rahegī. ghanā bādal shahar par chhā jāegā, aur gird-o-navāh kī ābādiyāṅ qaidī ban kar jilāvatan ho jāeṅgī. 19yūṅ maiṅ misr kī adālat karūṅgā aur vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ’.”

20yahūyākīn bādshāh kī jilāvatanī ke gyāraveṅ sāl meṅ rabb mujh se hamkalām huā. pahale mahīne kā sātvāṅ din [a] 29 aprail. thā. us ne farmāyā thā, 21“ai ādamzād, maiṅ ne misrī bādshāh firaaun kā bāzū toṛ ḍālā hai. shifā pāne ke liye lāzim thā ki bāzū par paṭṭī bāṅdhī jāe, ki ṭūṭī huī haḍḍī ke sāth khapacchī bāṅdhī jāe tāki bāzū mazbūt ho kar talvār chalāne ke qābil ho jāe. lekin is qism kā ilāj huā nahīṅ.

22chunāṅche rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ misrī bādshāh firaaun se nipaṭ kar us ke donoṅ bāzūoṅ ko toṛ ḍālūṅgā, sehatmand bāzū ko bhī aur ṭūṭe hue ko bhī. tab talvār us ke hāth se gir jāegī 23aur maiṅ misriyoṅ ko muḵẖtalif aqvām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā.

24maiṅ shāh-e-bābal ke bāzūoṅ ko taqviyat de kar use apnī hī talvār pakṛā dūṅgā. lekin firaaun ke bāzūoṅ ko maiṅ toṛ ḍālūṅgā, aur vah shāh-e-bābal ke sāmne marne vāle zaḵẖmī ādmī kī tarah karāh uṭhegā. 25shāh-e-bābal ke bāzūoṅ ko maiṅ taqviyat dūṅgā jabki firaaun ke bāzū behiss-o-harkat ho jāeṅge. jis vaqt maiṅ apnī talvār ko shāh-e-bābal ko pakṛā dūṅgā aur vah use misr ke ḵẖilāf chalāegā us vaqt log jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ. 26hāṅ, jis vaqt maiṅ misriyoṅ ko dīgar aqvām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā us vaqt vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ.”

[a] 29 aprail.