Hizqīel 3

1us ne farmāyā, “ai ādamzād, jo kuchh tujhe diyā jā rahā hai use khā le! tūmār ko khā, phir jā kar isrāīlī qaum se muḵẖātib ho jā.” 2maiṅ ne apnā muṅh kholā to us ne mujhe tūmār khilāyā. 3sāth sāth us ne farmāyā, “ādamzād, jo tūmār maiṅ tujhe khilātā hūṅ use khā, peṭ bhar kar khā!” jab maiṅ ne use khāyā to shahad kī tarah mīṭhā lagā.

4tab allāh mujh se hamkalām huā, “ai ādamzād, ab jā kar isrāīlī gharāne ko mere paiġāmāt sunā de. 5maiṅ tujhe aisī qaum ke pās nahīṅ bhej rahā jis kī ajnabī zabān tujhe samajh na āe balki tujhe isrāīlī qaum ke pās bhej rahā hūṅ. 6beshak aisī bahut sī qaumeṅ haiṅ jin kī ajnabī zabāneṅ tujhe nahīṅ ātīṅ, lekin un ke pās maiṅ tujhe nahīṅ bhej rahā. agar maiṅ tujhe un hī ke pās bhejtā to vah zarūr terī suntīṅ. 7lekin isrāīlī gharānā terī sunne ke liye tayyār nahīṅ hogā, kyūṅki vah merī sunne ke liye tayyār hī nahīṅ. kyūṅki pūrī qaum kā māthā saḵẖt aur dil aṛā huā hai. 8lekin maiṅ ne terā chiharā bhī un ke chihare jaisā saḵẖt kar diyā, terā māthā bhī un ke māthe jaisā mazbūt kar diyā hai. 9tū un kā muqāblā kar sakegā, kyūṅki maiṅ ne tere māthe ko hīre jaisā mazbūt, chaqmāq jaisā pāedār kar diyā hai. go yah qaum bāġī hai to bhī un se ḵẖauf na khā, na un ke sulūk se dahshatzadā ho.”

10allāh ne mazīd farmāyā, “ai ādamzād, merī har bāt par dhyān de kar use zahan meṅ biṭhā. 11ab ravānā ho kar apnī qaum ke un afrād ke pās jā jo bābal meṅ jilāvatan hue haiṅ. unheṅ vah kuchh sunā de jo rabb qādir-e-mutlaq unheṅ batānā chāhatā hai, ḵẖwāh vah suneṅ yā na suneṅ.”

12phir allāh ke rūh ne mujhe vahāṅ se uṭhāyā. jab rabb kā jalāl apnī jagah se uṭhā to maiṅ ne apne pīchhe ek gaṛgaṛātī āvāz sunī. 13fizā chāroṅ jāndāroṅ ke shor se gūṅj uṭhī jab un ke par ek dūsre se lagne aur un ke pahie ghūmne lage. 14allāh kā rūh mujhe uṭhā kar vahāṅ se le gayā, aur maiṅ talḵẖamizājī aur baṛī sargarmī se ravānā huā. kyūṅki rabb kā hāth zor se mujh par ṭhaharā huā thā. 15chalte chalte maiṅ daryā-e-kibār kī ābādī tal-abīb meṅ rahane vāle jilāvatanoṅ ke pās pahuṅch gayā. maiṅ un ke darmiyān baiṭh gayā. sāt din tak merī hālat gumsum rahī.

merī qaum ko āgāh kar!

16sāt din ke bād rabb mujh se hamkalām huā, 17“ai ādamzād, maiṅ ne tujhe isrāīlī qaum par paharedār banāyā, is liye jab bhī tujhe mujh se kalām mile to unheṅ merī taraf se āgāh kar!

18maiṅ tere zarīe bedīn ko ittilā dūṅgā ki use marnā hī hai tāki vah apnī burī rāh se haṭ kar bach jāe. agar tū use yah paiġām na pahuṅchāe, na use tambīh kare aur vah apne qusūr ke bāis mar jāe to maiṅ tujhe hī us kī maut kā zimmādār ṭhaharāūṅgā. 19lekin agar vah terī tambīh par apnī bedīnī aur burī rāh se na haṭe to yah alag bāt hai. beshak vah maregā, lekin tū zimmādār nahīṅ ṭhaharegā balki apnī jān ko chhuṛāegā.

20jab rāstbāz apnī rāstbāzī ko chhoṛ kar burī rāh par ā jāegā to maiṅ tujhe use āgāh karne kī zimmādārī dūṅgā. agar tū yah karne se bāz rahā to tū hī zimmādār ṭhaharegā jab maiṅ use ṭhokar khilā kar mār ḍālūṅgā. us vaqt us ke rāst kām yād nahīṅ raheṅge balki vah apne gunāh ke sabab se maregā. lekin tū hī us kī maut kā zimmādār ṭhaharegā. 21lekin agar tū use tambīh kare aur vah apne gunāh se bāz āe to vah merī tambīh ko qabūl karne ke bāis bachegā, aur tū bhī apnī jān ko chhuṛāegā.”

22vahīṅ rabb kā hāth dubārā mujh par ā ṭhaharā. us ne farmāyā, “uṭh, yahāṅ se nikal kar vādī ke khule maidān meṅ chalā jā! vahāṅ maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā.”

23maiṅ uṭhā aur nikal kar vādī ke khule maidān meṅ chalā gayā. jab pahuṅchā to kyā dekhtā hūṅ ki rabb kā jalāl vahāṅ yūṅ maujūd hai jis tarah pahalī royā meṅ daryā-e-kibār ke kināre par thā. maiṅ muṅh ke bal gir gayā. 24tab allāh ke rūh ne ā kar mujhe dubārā khaṛā kiyā aur farmāyā, “apne ghar meṅ jā kar apne pīchhe kuṅḍī lagā. 25ai ādamzād, log tujhe rassiyoṅ meṅ jakaṛ kar band rakheṅge tāki tū nikal kar dūsroṅ meṅ na phir sake. 26maiṅ hone dūṅgā ki terī zabān tālū se chipak jāe aur tū ḵẖāmosh rah kar unheṅ ḍāṅṭ na sake. kyūṅki yah qaum sarkash hai. 27lekin jab bhī maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā to tere muṅh ko kholūṅgā. tab tū merā kalām sunā kar kahegā, ‘rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai!’ tab jo sunne ke liye tayyār ho vah sune, aur jo tayyār na ho vah na sune. kyūṅki yah qaum sarkash hai.