Hizqīel 25
ammoniyoṅ kā mulk un se chhīn liyā jāegā
1rabb mujh se hamkalām huā, 2“ai ādamzād, ammoniyoṅ ke mulk kī taraf ruḵẖ karke un ke ḵẖilāf nubuvvat kar. 3unheṅ batā,
‘suno rabb qādir-e-mutlaq kā kalām! vah farmātā hai ki ai ammon beṭī, tū ne ḵẖush ho kar qahqahā lagāyā jab mere maqdis kī behuramtī huī, mulk-e-isrāīl tabāh huā aur yahūdāh ke bāshinde jilāvatan hue. 4is liye maiṅ tujhe mashriqī qabīloṅ ke havāle karūṅgā jo apne ḍere tujh meṅ lagā kar pūrī bastiyāṅ qāim kareṅge. vah terā hī phal khāeṅge, terā hī dūdh pieṅge. 5rabbā shahar ko maiṅ ūṅṭoṅ kī charāgāh meṅ badal dūṅgā aur mulk-e-ammon ko bheṛ-bakriyoṅ kī ārāmgāh banā dūṅgā. tab tum jān loge ki maiṅ hī rabb hūṅ.
6kyūṅki rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū ne tāliyāṅ bajā bajā kar aur pāoṅ zamīn par mār mār kar isrāīl ke anjām par apnī dilī ḵẖushī kā izhār kiyā. terī isrāīl ke liye hiqārat sāf taur par nazar āī. 7is liye maiṅ apnā hāth tere ḵẖilāf baṛhā kar tujhe dīgar aqvām ke havāle kar dūṅgā tāki vah tujhe lūṭ leṅ. maiṅ tujhe yūṅ miṭā dūṅgā ki aqvām-o-mamālik meṅ terā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. tab tū jān legī ki maiṅ hī rabb hūṅ’.”
moāb ke shahar tabāh ho jāeṅge
8“rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki moāb aur saīr isrāīl kā mazāq uṛā kar kahate haiṅ, ‘lo, dekho yahūdāh ke gharāne kā hāl! ab vah bhī bāqī qaumoṅ kī tarah ban gayā hai.’ 9is liye maiṅ moāb kī pahāṛī ḍhalānoṅ ko un ke shaharoṅ se maharūm karūṅgā. mulk ke ek sire se dūsre sire tak ek bhī ābādī nahīṅ rahegī. go moābī apne shaharoṅ bait-yasīmot, bāl-maūn aur qiryatāim par ḵẖās faḵẖar karte haiṅ, lekin vah bhī zamīnabos ho jāeṅge. 10ammon kī tarah maiṅ moāb ko bhī mashriqī qabīloṅ ke havāle karūṅgā. āḵẖirkār aqvām meṅ ammoniyoṅ kī yād tak nahīṅ rahegī, 11aur moāb ko bhī mujh se munāsib sazā milegī. tab vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ.”
allāh adomiyoṅ se intiqām legā
12“rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yahūdāh se intiqām lene se adom ne saṅgīn gunāh kiyā hai. 13is liye maiṅ apnā hāth adom ke ḵẖilāf baṛhā kar us ke insān-o-haivān ko mār ḍālūṅgā, aur vah talvār se māre jāeṅge. temān se le kar dadān tak yah mulk vīrān-o-sunsān ho jāegā. yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai. 14rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki apnī qaum ke hāthoṅ maiṅ adom se badlā lūṅgā, aur isrāīl mere ġazab aur qahar ke mutābiq hī adom se nipaṭ legā. tab vah merā intiqām jān leṅge.”
filistiyoṅ kā ḵẖātmā
15“rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki filistiyoṅ ne baṛe zulm ke sāth yahūdāh se badlā liyā hai. unhoṅ ne us par apnī dilī hiqārat aur dāimī dushmanī kā izhār kiyā aur intiqām le kar use tabāh karne kī koshish kī. 16is liye rabb qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ apnā hāth filistiyoṅ ke ḵẖilāf baṛhāne ko hūṅ. maiṅ in karetiyoṅ aur sāhilī ilāqe ke bache huoṅ ko miṭā dūṅgā. 17maiṅ apnā ġazab un par nāzil karke saḵẖtī se un se badlā lūṅgā. tab vah jān leṅge ki maiṅ hī rabb hūṅ.”