Hizqīel 19

isrāīlī buzurgoṅ par mātmī gīt

1ai nabī, isrāīl ke raīsoṅ par mātmī gīt gā,

2‘terī māṅ kitnī zabardast shernī thī. javān sherbabroṅ ke darmiyān hī apnā ghar banā kar us ne apne bacchoṅ ko pāl liyā.

3ek bacche ko us ne ḵẖās tarbiyat dī. jab baṛā huā to jānvaroṅ ko phāṛnā sīkh liyā, balki insān bhī us kī ḵẖurāk ban gae.

4is kī ḵẖabar dīgar aqvām tak pahuṅchī to unhoṅ ne use apne gaṛhe meṅ pakaṛ liyā. vah us kī nāk meṅ kāṅṭe ḍāl kar use misr meṅ ghasīṭ le gae.

5jab shernī ke is bacche par se ummīd jātī rahī to us ne dīgar bacchoṅ meṅ se ek ko chun kar use ḵẖās tarbiyat dī.

6yah bhī tāqatvar ho kar dīgar sheroṅ meṅ ghūmne phirne lagā. us ne jānvaroṅ ko phāṛnā sīkh liyā, balki insān bhī us kī ḵẖurāk ban gae.

7un ke qilaoṅ ko girā kar us ne un ke shaharoṅ ko ḵẖāk meṅ milā diyā. us kī dahāṛatī āvāz se mulk bāshindoṅ samet ḵẖaufzadā ho gayā.

8tab ird-gird ke sūboṅ meṅ basne vālī aqvām us se laṛne āīṅ. unhoṅ ne apnā jāl us par ḍāl diyā, use apne gaṛhe meṅ pakaṛ liyā.

9vah us kī gardan meṅ paṭṭā aur nāk meṅ kāṅṭe ḍāl kar use shāh-e-bābal ke pās ghasīṭ le gae. vahāṅ use qaid meṅ ḍālā gayā tāki āindā isrāīl ke pahāṛoṅ par us kī garajtī āvāz sunāī na de.

10terī māṅ pānī ke kināre lagāī gaī aṅgūr kī sī bel thī. bel kasrat ke pānī ke bāis phaldār aur shāḵẖdār thī.

11us kī shāḵẖeṅ itnī mazbūt thīṅ ki un se shāhī asā ban sakte the. vah bāqī paudoṅ se kahīṅ ziyādā ūṅchī thī balki us kī shāḵẖeṅ dūr dūr tak nazar ātī thīṅ.

12lekin āḵẖirkār logoṅ ne taish meṅ ā kar use ukhāṛ kar phaiṅk diyā. mashriqī lū ne us kā phal murjhāne diyā. sab kuchh utārā gayā, lihāzā vah sūkh gayā aur us kā mazbūt tanā nazar-e-ātish huā.

13ab bel ko registān meṅ lagāyā gayā hai, vahāṅ jahāṅ ḵẖushk aur piyāsī zamīn hotī hai.

14us ke tane kī ek ṭahanī se āg ne nikal kar us kā phal bhasm kar diyā. ab koī mazbūt shāḵẖ nahīṅ rahī jis se shāhī asā ban sake’.”

darj-e-bālā gīt mātmī hai aur āh-o-zārī karne ke liye istemāl huā hai.